kis naaz kis andaz se tum haae chalo ho roz ek ghhazal ham se kahlvae chalo ho rakhna hai kahin paanv to rakkho ho kahin paanv chalna zara aaya hai to itrae chalo ho mai men koi khami hai na saghhar men koi khot piina nahin aae hai to chhalkae chalo ho ham kuchh nahin kahte hain koi kuchh nahin kahta tum kya ho tumhin sab se kahlvae chalo ho kis naz kis andaz se tum hae chalo ho roz ek ghazal hum se kahlwae chalo ho rakhna hai kahin panw to rakkho ho kahin panw chalna zara aaya hai to itrae chalo ho mai mein koi khami hai na saghar mein koi khot pina nahin aae hai to chhalkae chalo ho hum kuchh nahin kahte hain koi kuchh nahin kahta tum kya ho tumhin sab se kahlwae chalo ho
Related Ghazal
ye kis tarah ka ta'alluq hai aapka mere saath mujhe hi chhod ke jaane ka mashwara mere saath yahii kahii ha men raston ne baddua dii thii magar main bhool gaya aur kaun tha mere saath vo jhaankta nahin khidki se din nikalta hai tujhe yaqeen nahin aa raha to aa mere saath
Tehzeeb Hafi
92 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
More from Kaleem Aajiz
mirii shaayeri men na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa vahii dukh-bharon ki hikaayaten vahii dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi be-vafa ki nishaaniyaan yahii mire din ke rafeeq hain yahii mirii raat ki raaniyaan ye mirii zabaan pe ghazal nahin main suna raha hooñ kahaaniyaan ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan k abhii aañsuon ko sukha gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein k abhii dil ki naav dubo gaiin mire aañsuon ki ravaaniyaan abhii us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhii maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mira nichoda hua lahu abhii sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan
Kaleem Aajiz
0 likes
main rooun hooñ rona mujhe bh aa.e hai kisi ka bhala is men kya jaa.e hai dil aa.e hai phir dil men dard aa.e hai yuñ hi baat men baat badh jaa.e hai koi der se haath fail aa.e hai vo na-mehrabaan aa.e hai jaa.e hai mohabbat men dil jaa.e gar jaa.e hai jo khoye nahin hai vo kya paa.e hai junoon sab ishaare men kah jaa.e hai magar aql ko kab samajh aa.e hai pukaaroon hooñ lekin na baaz aa.e hai ye duniya kahaan doobne jaa.e hai KHamoshii men har baat ban jaa.e hai jo bole hai deewaana kahl aa.e hai qayamat jahaan aayegi aayegi yahaañ subh aa.e hai shaam aa.e hai junoon khatm daar-o-rasan par nahin ye rastaa bahut door tak jaa.e hai
Kaleem Aajiz
0 likes
meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche
Kaleem Aajiz
1 likes
ye deewane kabhi paabandiyo ka gham nahin lenge garebaan chaak jab tak kar na lenge dam nahin lenge lahu denge to lenge pyaar moti ham nahin lenge ha men phoolon ke badle phool do shabnam nahin lenge ye gham kis ne diya hai pooch mat ai hum-nasheen ham se zamaana le raha hai naam us ka ham nahin lenge mohabbat karne waale bhi ajab khuddaar hote hain jigar par zakham lenge zakham par marham nahin lenge gham-e-dil hi ke maaron ko gham-e-ayyaam bhi de do gham itnaa lene waale kya ab itnaa gham nahin lenge sanwaare ja rahe hain ham uljhti jaati hain zulfen tum apne zimma lo ab ye bakheda ham nahin lenge shikaayat un se karna go museebat mol lena hai magar aajiz ghazal ham be-sunaaye dam nahin lenge
Kaleem Aajiz
0 likes
har-chand gham-o-dard ki qeemat bhi bahut thii lena hi pada dil ko zaroorat bhi bahut thii zalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thii majboor the ham us se mohabbat bhi bahut thii go tark-e-ta'alluq men suhulat bhi bahut thii lekin na hua ham se ki ghairat bhi bahut thii us but ke sitam sah ke dikha hi diya ham ne go apni tabi'at men baghaavat bhi bahut thii waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se vo warna dil ke li.e thodii si inaayat hi bahut thii yuñ hi nahin mashhoor-e-zamaana mira qaateelus shaKHs ko is fan men mahaarat bhi bahut thii kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil men bahut tha aur dil ko lahu karne ke furqat bhi bahut thii har shaam sunaate the haseenon ko ghazal ham jab maal bahut tha to sakhaawat bhi bahut thii bulwa ke ham aajiz ko pashemaan bhi bahut hain kya keejie kam-bakht ki shohrat bhi bahut thii
Kaleem Aajiz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaleem Aajiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.







