koi ham-dam na raha koi sahara na raha ham kisi ke na rahe koi hamara na raha shaam tanhai ki hai aaegi manzil kaise jo mujhe raah dikha de vahi taara na raha ai nazaro na hanso mil na sakunga tum se tum mire ho na sake main bhi tumhara na raha kya bataun main kahan yunhi chala jaata huun jo mujhe phir se bula le vo ishara na raha koi ham-dam na raha koi sahaara na raha hum kisi ke na rahe koi hamara na raha sham tanhai ki hai aaegi manzil kaise jo mujhe rah dikha de wahi tara na raha ai nazaro na hanso mil na sakunga tum se tum mere ho na sake main bhi tumhaara na raha kya bataun main kahan yunhi chala jata hun jo mujhe phir se bula le wo ishaara na raha
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
More from Majrooh Sultanpuri
jab hua irfaan to gham aaraam-e-jaan banta gaya soz-e-jaanaan dil men soz-e-deegaraan banta gaya rafta rafta munqalib hoti gaii rasm-e-chaman dheere dheere naghma-e-dil bhi fugaan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log saath aate ga.e aur kaarwaan banta gaya main to jab jaanoon ki bhar de saaghar-e-har-khaas-o-aam yuñ to jo aaya vahii peer-e-mugaan banta gaya jis taraf bhi chal pade ham aabla-paayaan-e-shauq khaar se gul aur gul se gulsitaan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gaii us ke huzoor lafz jo munh se na niklaa dastaan banta gaya dehr men majrooh koi jaavedaan mazmoon kahaan main jise chhoota gaya vo jaavedaan banta gaya
Majrooh Sultanpuri
1 likes
aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh ho hi jaayegi koi jeene ki tadbeer na dekh haadse aur bhi guzre tiri ulfat ke siva haan mujhe dekh mujhe ab meri tasveer na dekh ye zaraa door pe manzil ye ujaala ye sukoon KHvaab ko dekh abhii KHvaab ki taabeer na dekh dekh zindaan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjeer na dekh kuchh bhi hooñ phir bhi dukhe dil ki sadaa hooñ naadaan meri baaton ko samajh talkhi-e-taqreer na dekh vahii majrooh vahii shaair-e-aawara-mizaaj koi utha hai tiri bazm se dil-geer na dekh
Majrooh Sultanpuri
1 likes
koi ham-dam na raha koi sahaara na raha ham kisi ke na rahe koi hamaara na raha shaam tanhaaii ki hai aayegi manzil kaise jo mujhe raah dikha de vahii taara na raha ai nazaaro na haso mil na sakunga tum se tum mire ho na sake main bhi tumhaara na raha kya bataaun main kahaan yoonhi chala jaata hooñ jo mujhe phir se bula le vo ishaara na raha
Majrooh Sultanpuri
2 likes
jala ke mish'al-e-jaan ham junoon-sifaat chale jo ghar ko aag lagaaye hamaare saath chale dayaar-e-shaam nahin manzil-e-sehr bhi nahin ajab nagar hai yahaañ din chale na raat chale hamaare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi wahin pahunchti hai yaaro kahii se baat chale sutoon-e-daar pe rakhte chalo saroon ke charaaghh jahaan talak ye sitam ki siyaah raat chale hua aseer koi ham-nava to door talak ba-paas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale bacha ke laaye ham ai yaar phir bhi naqd-e-wafa agarche lutte rahe rahzano ke haath chale phir aayi fasl ki maanind barg-e-aawara hamaare naam gulon ke muraasalaat chale qataar-e-sheesha hai ya kaarwaan-e-ham-safaraan khiraam-e-jaam hai ya jaise kaayenaat chale bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai majrooh baghal men ham bhi li.e ik sanam ka haath chale
Majrooh Sultanpuri
0 likes
yuñ to aapas men bigadte hain KHafaa hote hain milne waale kahii ulfat men juda hote hain hain zamaane men ajab cheez mohabbat waale dard KHud bante hain KHud apni davaa hote hain haal-e-dil mujh se na poochho mirii nazrein dekho raaz dil ke to nigaahon se ada hote hain milne ko yuñ to mila karti hain sab se aañkhen dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib log aisi hi adaaon pe fida hote hain
Majrooh Sultanpuri
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Majrooh Sultanpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Majrooh Sultanpuri's ghazal.







