koi ummid bar nahin aati koi surat nazar nahin aati no hope is there that now comes to light nor is there any avenue in sight maut ka ek din muayyan hai niind kyuun raat bhar nahin aati when for death a day has been ordained what reason that i cannot sleep all night? aage aati thi hal-e-dil pe hansi ab kisi baat par nahin aati nothing now could even make me smile, i once could laugh at my heart's own plight janta huun savab-e-taat-o-zohd par tabiat idhar nahin aati virtues of restraint and prayer i know but neither do my temperament excite hai kuchh aisi hi baat jo chup huun varna kya baat kar nahin aati do you think i know not how to speak? there's something- my tongue i have to bite kyuun na chikhun ki yaad karte hain meri avaz gar nahin aati when absence of my voice makes her pine why then should i not shout with all my might? daghh-e-dil gar nazar nahin aata bu bhi ai chara-gar nahin aati o healer does not any smell persist if burning scars of heart are not in sight? ham vahan hain jahan se ham ko bhi kuchh hamari khabar nahin aati i'm at a place from where no news of me now even to myself can come to light marte hain aarzu men marne ki maut aati hai par nahin aati i die yearning as i hope for death death does come to me but then not quite ka'ba kis munh se jaoge 'ghhalib' sharm tum ko magar nahin aati ghalib,what face will you to the kaabaa take when you are not ashamed and not contrite koi ummid bar nahin aati koi surat nazar nahin aati no hope is there that now comes to light nor is there any avenue in sight maut ka ek din muayyan hai nind kyun raat bhar nahin aati when for death a day has been ordained what reason that i cannot sleep all night? aage aati thi haal-e-dil pe hansi ab kisi baat par nahin aati nothing now could even make me smile, i once could laugh at my heart's own plight jaanta hun sawab-e-taat-o-zohd par tabiat idhar nahin aati virtues of restraint and prayer i know but neither do my temperament excite hai kuchh aisi hi baat jo chup hun warna kya baat kar nahin aati do you think i know not how to speak? there's something- my tongue i have to bite kyun na chikhun ki yaad karte hain meri aawaz gar nahin aati when absence of my voice makes her pine why then should i not shout with all my might? dagh-e-dil gar nazar nahin aata bu bhi ai chaara-gar nahin aati o healer does not any smell persist if burning scars of heart are not in sight? hum wahan hain jahan se hum ko bhi kuchh hamari khabar nahin aati i'm at a place from where no news of me now even to myself can come to light marte hain aarzu mein marne ki maut aati hai par nahin aati i die yearning as i hope for death death does come to me but then not quite ka'ba kis munh se jaoge 'ghaalib' sharm tum ko magar nahin aati ghalib,what face will you to the kaabaa take when you are not ashamed and not contrite
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Mirza Ghalib
hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz
Mirza Ghalib
0 likes
dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya
Mirza Ghalib
0 likes
dil laga kar lag gaya un ko bhi tanhaa baithna baare apni bekasi ki ham ne paai daad yaa hain zavaal-aamada ajzaa aafreenash ke tamaam mehr-e-gardoon hai charaagh-e-rahguzar-e-baad yaa hai tarhuhum-aafreen aaraish-e-be-daad yaa ashk-e-chashm-e-daam hai har daana-e-sayyaad yaa hai gudaaz-e-mom andaaz-e-chakeedan-ha-e-khoon neesh-e-zamboor-e-asl hai nashtar-e-fassaad yaa naa-gawaara hai ha men ehsaan-e-saahib-daulataan hai zar-e-gul bhi nazar men jauhar-e-faulaad yaa jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kaar vaa kam-tareen mazdoor-e-sangeen-dast hai farhaad yaa qatra-ha-e-khoon-e-bismil zeb-e-daamaan hain asad hai tamasha kardani gul-cheeni-e-jallaad yaa
Mirza Ghalib
1 likes
raftaar-e-umr qat-e-rah-e-iztiraab hai is saal ke hisaab ko barq aftaab hai meena-e-may hai sarv nashaat-e-bahaar se baal-e-tadarrav jalwa-e-mauj-e-sharaab hai zakhmi hua hai paashnaa pa-e-sabaat ka ne bhaagne ki goon na iqaamat ki taab hai jaadaad-e-baada-noshi-e-rindaan hai shash-jihat ghaafil gumaan kare hai ki geeti KHaraab hai naz zaraa kya hareef ho us barq-e-husn ka josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqaab hai main na-muraad dil ki tasalli ko kya karoon maana ki tere rukh se nigah kaamyaab hai guzra asad masarrat-e-paighaam-e-yaar se qaasid pe mujh ko rashk-e-sawaal-o-jawaab hai zaahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki garz jo daana daam men hai so ashk-e-kabaab hai be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-laala-zaar ya'ni ye har varq warq-e-intikhaab hai
Mirza Ghalib
1 likes
koh ke hon baar-e-khaatir gar sadaa ho jaaie be-takalluf ai sharaar-e-jasta kya ho jaaie beza-aasa nang-e-baal-o-par hai ye kunj-e-qafas az-sar-e-nau zindagi ho gar rihaa ho jaaie wus'at-e-mashrab niyaaz-e-kulfat-e-vahshat asad yak-bayaabaan saaya-e-baal-e-huma ho jaaie
Mirza Ghalib
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mirza Ghalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.







