ghazalKuch Alfaaz

kuchh ishq tha kuchh majboori thii so main ne jeevan vaar diya main kaisa zinda aadmi tha ik shaKHs ne mujh ko maar diya ik sabz shaakh gulaab ki tha ik duniya apne KHvaab ki tha vo ek bahaar jo aayi nahin us ke li.e sab kuchh haar diya ye sija-sajaya ghar saa thii mirii zaat nahin mira haal nahin ai kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazaar diya main khulii hui ik sachchaai mujhe jaanne waale jaante hain main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyaar diya vo ishq bahut mushkil tha magar aasaan na tha yuñ jeena bhius ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindaar diya main rota hooñ aur aasmaan se taare tootte dekhta hooñ un logon par jin logon ne mire logon ko aazaar diya mire bacchon ko allah rakhe in taaza hawa ke jhonkon ne main khushk ped khizaan ka tha mujhe kaisa barg-o-baar diya

Related Ghazal

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Obaidullah Aleem

aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e

Obaidullah Aleem

1 likes

vo raat be-panaah thii aur main gareeb tha vo jis ne ye charaaghh jalaya ajeeb tha vo raushni ki aankh uthaai nahin gaii kal mujh se meraa chaand bahut hi qareeb tha dekha mujhe to taba ravaan ho gaii mirii vo muskuraa diya to main shayar adeeb tha rakhta na kyun main rooh o badan us ke saamne vo yuñ bhi tha tabeeb vo yuñ bhi tabeeb tha har silsila tha us ka KHuda se mila hua chup ho ki lab-kusha ho bala ka khateeb tha mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath gulshan men naghma-sanj ajab andaleeb tha main bhi raha hooñ khalvat-e-jaanan men ek shaam ye KHvaab hai ya Vaaqaii main khush-naseeb tha harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke baab men KHud meraa tajurba hai vo be-had najeeb tha dekha hai us ko khilwat o jalvat men baar-ha vo aadmi bahut hi ajeeb-o-ghareeb tha likkho tamaam umr magar phir bhi tum aleemus ko dikha na paao vo aisa habeeb tha

Obaidullah Aleem

0 likes

koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun

Obaidullah Aleem

1 likes

banaa gulaab to kaañte chubha gaya ik shaKHs hua charaaghh to ghar hi jala gaya ik shaKHs tamaam rang mire aur saare KHvaab mire fasana the ki fasana banaa gaya ik shaKHs main kis hawa men udoon kis fazaa men lehraaoon dukhon ke jaal har ik soo bichha gaya ik shaKHs palat sakoon hi na aage hi badh sakoon jis par mujhe ye kaun se raaste laga gaya ik shaKHs mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal mirii hi tarah ka mujh men samaa gaya ik shaKHs mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use mile vo zakham ki phir yaad aa gaya ik shaKHs khula ye raaz ki aaina-khaana hai duniya aur us men mujh ko tamasha banaa gaya ik shaKHs

Obaidullah Aleem

1 likes

hijr karte ya koi vasl guzaara karte ham bahr-haal basar KHvaab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq men aayi thii ki ham KHaak ko haath lagaate to sitaara karte ab to mil jaao ha men tum ki tumhaari khaatir itni door aa ga.e duniya se kinaara karte mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazaara karte ek chehre men to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke li.e phir koi aa.e yahaañ kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere men diya aankh men KHvaab teri jaanib hi tire log ishaara karte zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan ham tire chehre se aaina sanwaara karte

Obaidullah Aleem

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Obaidullah Aleem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.