kuchh kahne ka vaqt nahin ye kuchh na kaho khamosh raho ai logo khamosh raho haan ai logo khamosh raho sach achchha par us ke jilau men zahr ka hai ik pyala bhi pagal ho kyuun nahaq ko suqrat bano khamosh raho un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do khamosh raho mahbas men kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai phir socho haan phir socho haan phir socho khamosh raho garm aansu aur thandi aahen man men kya kya mausam hain is bagiya ke bhed na kholo sair karo khamosh raho ankhen muund kinare baitho man ke rakkho band kivad 'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo khamosh raho kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho khamosh raho ai logo khamosh raho han ai logo khamosh raho sach achchha par us ke jilau mein zahr ka hai ek pyala bhi pagal ho kyun nahaq ko suqraat bano khamosh raho un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do khamosh raho mahbas mein kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai phir socho han phir socho han phir socho khamosh raho garm aansu aur thandi aahen man mein kya kya mausam hain is bagiya ke bhed na kholo sair karo khamosh raho aankhen mund kinare baitho man ke rakkho band kiwad 'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo khamosh raho
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Ibn۔e۔Insha
aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka subh ka hona doobhar kar den rastaa rok sitaaron ka jhoote sikko men bhi utha dete hain ye akshar saccha maal shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge 'aashiq log tum se to itnaa ho saka hai poochho haal bechaaron ka jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usii ki khoj rahi yuñ to hamaare shahar men akshar mela laga nigaaron ka ek zaraa si baat thii jis ka charcha pahuncha gali gali ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka insha jee ab ajnabiyo'n men chain se baaki umr kate jin ki khaatir bastii chhodi naam na lo un pyaaron ka
Ibn E Insha
0 likes
raat ke KHvaab sunaayein kis ko raat ke KHvaab suhaane the dhundle dhundle chehre the par sab jaane-pahchaane the zid dii wahshi allahad chanchal meethe log raseele log hont un ke ghazalon ke misre aankhoñ men afsaane the vehshat ka unwaan hamaari un men se jo naar banii dekhenge to log kaheinge insha'-ji deewane the ye ladki to in galiyon men roz hi ghooma karti thii is se un ko milnaa tha to is ke laakh bahaane the ham ko saari raat jagaaya jalte bujhte taaron ne ham kyun un ke dar par utre kitne aur thikaane the
Ibn E Insha
2 likes
sunte hain phir chhup chhup un ke ghar men aate jaate ho insha sahab naahak jee ko vehshat men uljhaate ho dil ki baat chhupani mushkil lekin khoob chhupaate ho ban men daana shahar ke andar deewane kahlaate ho bekal bekal rahte ho par mehfil ke aadaab ke saath aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho peet men aise laakh jatan hain lekin ik din sab naakaam aap jahaan men rusva hoge vaaz ha men farmaate ho ham se naam junoon ka qaaim ham se dasht ki aabaa dii ham se dard ka shikwa karte ham ko zakham dikhaate ho
Ibn E Insha
0 likes
ham un se agar mil baithe hain kya dosh hamaara hota hai kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai katne lagin raatein aankhoñ men dekha nahin palkon par akshar ya shaam-e-ghareebaan ka jugnoo ya subh ka taara hota hai ham dil ko li.e har des phire is jins ke gaahak mil na sake ai banjaaro ham log chale ham ko to khasaara hota hai daftar se uthe kaife men ga.e kuchh she'r kahe kuchh coffee pee poochho jo ma'aash ka insha'-ji yuñ apna guzaara hota hai
Ibn E Insha
0 likes
kal chaudahveen ki raat thii shab bhar raha charcha tira kuchh ne kaha ye chaand hai kuchh ne kaha chehra tira ham bhi wahin maujood the ham se bhi sab poocha ki.e ham hañs diye ham chup rahe manzoor tha parda tira is shahar men kis se milen ham se to chhootiin mahfilein har shaKHs teraa naam le har shaKHs deewaana tira kooche ko tere chhod kar jogi hi ban jaayen magar jungle tire parbat tire bastii tiri sehra tira ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi uftaadagi ehsaan hai kya kya tira ai husn-e-be-parwa tira do ashk jaane kis li.e palkon pe aa kar tik ga.e altaaf ki baarish tiri ikraam ka dariyaa tira ai be-daregh o be-amaan ham ne kabhi ki hai fugaan ham ko tiri vehshat sahi ham ko sahi sauda tira ham par ye saKHtii ki nazar ham hain faqeer-e-rahguzar rastaa kabhi roka tira daaman kabhi thaama tira haan haan tiri soorat haseen lekin tu aisa bhi nahin ik shaKHs ke ashaar se shohra hua kya kya tira bedard sunni ho to chal kahtaa hai kya achchhii ghazal aashiq tira rusva tira shaair tira insha tira
Ibn E Insha
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ibn۔e۔Insha.
Similar Moods
More moods that pair well with Ibn۔e۔Insha's ghazal.







