kuchh miri sun kuchh apni suna zindagi dard-e-dil aur thoda badha zindagi zindagani ke fan se huun la-ilm main zindagi karna mujh ko sikha zindagi tu ne ab tak vafa ki bahut shukriya shukriya shukriya shukriya zindagi har qadam thokaren zakhm har gaam hain kab talak duun bata khun-baha zindagi ye kya har gaam bas lan-tarani vahi giit koi naya gunguna zindagi ye bhi batla zara tujh ko kaisa laga maut se jab hua samna zindagi raushni kyuun siyahi men dhalne lagi tujh se 'arif' hui kya khafa zindagi kuchh meri sun kuchh apni suna zindagi dard-e-dil aur thoda badha zindagi zindagani ke fan se hun la-ilm main zindagi karna mujh ko sikha zindagi tu ne ab tak wafa ki bahut shukriya shukriya shukriya shukriya zindagi har qadam thokaren zakhm har gam hain kab talak dun bata khun-baha zindagi ye kya har gam bas lan-tarani wahi git koi naya gunguna zindagi ye bhi batla zara tujh ko kaisa laga maut se jab hua samna zindagi raushni kyun siyahi mein dhalne lagi tujh se 'arif' hui kya khafa zindagi
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya
Mehshar Afridi
53 likes
KHaak hi KHaak thii aur KHaak bhi kya kuchh nahin tha main jab aaya to mere ghar ki jagah kuchh nahin tha kya karoon tujhse khayaanat nahin kar saka main varna us aankh men mere li.e kya kuchh nahin tha ye bhi sach hai mujhe kabhi usne kuchh na kaha ye bhi sach hai ki us aurat se chhupa kuchh nahin tha ab vo mere hi kisi dost ki mankooha hai main palat jaata magar peeche bacha kuchh nahin tha
Tehzeeb Hafi
61 likes
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin toota main patthar ho gaya phir bhi teraa khanjar nahin toota mujhe barbaad karne tak hi uske aastaan toote meraa dil tootne ke baad uskaa ghar nahin toota ham uskaa gham bhala qismat pe kaise taal sakte hain hamaare haath men toota hai vo girkar nahin toota saroon par aasmaañ aankhoñ se aaiine nazar se dil bahut kuchh toot saka tha bahut kuchh par nahin toota tilism-e-yaar men jab bhi kamii aayi nami aayi un aankhoñ men jinhen lagta tha farmaish nahin toota tere bheje hue teshon ki dhaarein tez thii haafi magar insey ye koh-e-gham ziyaada tar nahin toota
Tehzeeb Hafi
60 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Arif Ansari.
Similar Moods
More moods that pair well with Arif Ansari's ghazal.







