musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin toota main patthar ho gaya phir bhi teraa khanjar nahin toota mujhe barbaad karne tak hi uske aastaan toote meraa dil tootne ke baad uskaa ghar nahin toota ham uskaa gham bhala qismat pe kaise taal sakte hain hamaare haath men toota hai vo girkar nahin toota saroon par aasmaañ aankhoñ se aaiine nazar se dil bahut kuchh toot saka tha bahut kuchh par nahin toota tilism-e-yaar men jab bhi kamii aayi nami aayi un aankhoñ men jinhen lagta tha farmaish nahin toota tere bheje hue teshon ki dhaarein tez thii haafi magar insey ye koh-e-gham ziyaada tar nahin toota
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Tehzeeb Hafi
ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
44 likes
ajeeb KHvaab tha us ke badan men kaai thii vo ik pari jo mujhe sabz karne aayi thii vo ik charagh-kada jis men kuchh nahin tha meraa vo jal rahi thii vo qindeel bhi paraai thii na jaane kitne parindon ne is men shirkat ki kal ek ped ki taraqeeb-e-ro-numaai thii hawaon aao mire gaav ki taraf dekho jahaan ye ret hai pahle yahaañ taraai thii kisi sipaah ne khe men laga diye hain vahaañ jahaan ye main ne nishaani tiri dabaai thii gale mila tha kabhi dukh bhare december se mire vujood ke andar bhi dhund chhaai thii
Tehzeeb Hafi
15 likes
jab us ki tasveer banaya karta tha kamra rangon se bhar jaaya karta tha ped mujhe hasrat se dekha karte the main jungle men paani laaya karta tha thak jaata tha baadal saaya karte karte aur phir main baadal pe saaya karta tha baitha rehta tha saahil pe saara din dariyaa mujh se jaan chhudaaya karta tha bint-e-sehra rootha karti thii mujh se main sehra se ret churaaya karta tha
Tehzeeb Hafi
24 likes
KHud par jab ishq ki vehshat ko musallat karunga is kadar KHaak udaaunga qayamat karunga hijr ki raat meri jaan ko aayi hui hai bach gaya to main mohabbat ki mazammat karunga ab tere raaz sambhaale nahin jaate mujhse main kisi roz amaanat men khayaanat karunga laylaatul qadar guzrenge kisi jungle men noor barsega darakhton ki imaamat karunga
Tehzeeb Hafi
22 likes
ik tira hijr daaimi hai mujhe warna har cheez arjee hai mujhe ek saaya mire taakub men ek awaaz dhundti hai mujhe meri aankhoñ pe do mukaddas haath ye andhera bhi raushni hai mujhe main sukhun men hooñ us jagah ki jahaan saans lena bhi shayari hai mujhe in parindon se bolna seekha ped se KHaamushi mili hai mujhe main use kab ka bhool-bhaal chuka zindagi hai ki ro rahi hai mujhe main ki kaaghaz ki ek kashtii hooñ pahli baarish hi aakhiri hai mujhe
Tehzeeb Hafi
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







