main pareshaan vo dukhi hui hai ye mohabbat hai to ba dii hui hai kuchh bhi apna nahin hai mere paas baddua bhi kisi ki dii hui hai us ne poochi hai aakhiri KHvaahish aur mohabbat bhi main ne ki hui hai aaj ghussa nahin piu'nga main aaj main ne sharaab pee hui hai main tumhein itni baar chahta hoon jitni aurat pe shayari hui hai bachcha girwa ke kya milega tumhein duniya pahle bahut giri hui hai
Related Ghazal
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Muzdum Khan
teri tasveer moattal nahin hoti mere dost varna deewaar to paagal nahin hoti mere dost ishq men jeet muqaddar se hai mehnat se nahin aise khelon men rehersal nahin hoti mere dost usne bechaini bhi bakshi hai badi mushkil se aur bechaini musalsal nahin hoti mere dost
Muzdum Khan
9 likes
mujhe na maangti to bolti KHuda do mujhe bacha liya hai gunaah se tumhein dua do mujhe ye log dekh rahen hain meri chamak men tumhein kahii akelaa jalana abhii bujha do mujhe mujhe kisi se muhabbat nahin tumhaare siva tumhein kisi se muhabbat hai to bataa do mujhe
Muzdum Khan
11 likes
hamaara dil jab nahin laga to sawaal paida hua lagega javaab men hamne kah diya theek hai magar aur kya lagega yuhi kabhi teer choom kar vo meri taraf chhod de kamaan se meraa muqaddar to is tarah ka hai teer dushman ko ja lagega ki dost aise muaashre men muaashqa chahte hain mujhse main jis men thappad bhi khaana chaahoon to vo bhi burke men aa lagega hamaara naqsha kirayaa mehnat dimaag lagta hai raaston par tumhaari to insey dosti hai tumhaara to shukriya lagega mushaayaron men ghazal nahin log sirf huliyo ko dekhte hain meraa bhi ek dost hai jo hansne ke baad john alia lagega
Muzdum Khan
11 likes
vo jo meri taabkaari men pighalne lag gaya jo sitaara bhi nahin tha vo bhi jalne lag gaya khoobsurat auraton ne kar dii beenaai ata aankh malne vaala aaKHir haath malne lag gaya doosra paanv nahin rakhne diya maine use pehla paanv rakhte hi chashma ubalne lag gaya
Muzdum Khan
8 likes
duniya mere KHilaaf thii tu bhi KHilaaf hai ye sach nahin hai hai to mujhe ikhtilaaf hai jo bhi kare jahaan bhi kare jis tarah kare us..ko meri taraf se sabhi kuchh muaaf hai bheege hue hai daaman-o-roomaal-o-aasteen haalanki aasmaan pe matla bhi saaf hai awaaz hi sooni na ho jis shaKHs ne kabhi uske li.e main jo bhi kahooñ inkishaaf hai badnaam ho gaya hooñ mohabbat men naam par muzdam ye meraa sabse badaa eitraaf hai
Muzdum Khan
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muzdum Khan.
Similar Moods
More moods that pair well with Muzdum Khan's ghazal.







