ghazalKuch Alfaaz

main zindagi ka saath nibhata chala gaya har fikr ko dhuen men udata chala gaya barbadiyon ka sog manana fuzul tha barbadiyon ka jashn manata chala gaya jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya ghham aur khushi men farq na mahsus ho jahan main dil ko us maqam pe laata chala gaya main zindagi ka sath nibhata chala gaya har fikr ko dhuen mein udata chala gaya barbaadiyon ka sog manana fuzul tha barbaadiyon ka jashn manata chala gaya jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya gham aur khushi mein farq na mahsus ho jahan main dil ko us maqam pe lata chala gaya

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

More from Sahir Ludhianvi

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Sahir Ludhianvi

14 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se ai rooh-e-asr jaag kahaan so rahi hai tu awaaz de rahe hain payambar saleeb se is rengti hayaat ka kab tak uthaaye baar beemaar ab uljhane lage hain tabeeb se har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir maqtal ki raah milti hai koo-e-habeeb se is tarah zindagi ne diya hai hamaara saath jaise koi nibaah raha ho raqeeb se

Sahir Ludhianvi

3 likes

door rah kar na karo baat qareeb aa jaao yaad rah jaayegi ye raat qareeb aa jaao ek muddat se tamannaa thii tumhein choone ki aaj bas men nahin jazbaat qareeb aa jaao sard jhonkon se bhadakte hain badan men shole jaan le legi ye barsaat qareeb aa jaao is qadar ham se jhijakne ki zaroorat kya hai zindagi bhar ka hai ab saath qareeb aa jaao

Sahir Ludhianvi

7 likes

bhule se mohabbat kar baitha naadaan tha bechaara dil hi to hai har dil se KHataa ho jaati hai bigdo na khudaara dil hi to hai is tarah nigaahen mat phero aisa na ho dhadkan ruk jaa.e seene men koi patthar to nahin ehsaas ka maara dil hi to hai jazbaat bhi hindu hote hain chaahat bhi musalmaan hoti hai duniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara dil hi to hai bedaad-garon ki thokar se sab KHvaab suhaane choor hue ab dil ka sahaara gham hi to hai ab gham ka sahaara dil hi to hai

Sahir Ludhianvi

4 likes

havas-naseeb nazar ko kahii qaraar nahin main muntazir hooñ magar teraa intizaar nahin humeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaar humeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin abhii na chhed mohabbat ke geet ai mutarib abhii hayaat ka maahol khush-gawaar nahin tumhaare ahad-e-wafaa ko main ahd kya samjhoon mujhe KHud apni mohabbat pe e'tibaar nahin na jaane kitne gile is men muztarib hain nadeem vo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahin gurez ka nahin qaail hayaat se lekin jo sach kahooñ ki mujhe maut naagawaar nahin ye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane ne ki ab hayaat pe teraa bhi ikhtiyaar nahin

Sahir Ludhianvi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.