ghazalKuch Alfaaz

marne ki duaen kyuun mangun jiine ki tamanna kaun kare ye duniya ho ya vo duniya ab khvahish-e-duniya kaun kare jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne jo ashkon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare duniya ne hamen chhoda 'jazbi' ham chhod na den kyuun duniya ko duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare ye duniya ho ya wo duniya ab khwahish-e-duniya kaun kare jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne jo ashkon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare duniya ne hamein chhoda 'jazbi' hum chhod na den kyun duniya ko duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare

Related Ghazal

kya karoge meraa jaadu chal gaya to hafta bhar men us ko paagal kar diya to bolna agli dafa talwaar uthegi ghalti se bhi us ke u uupar haath utha to bad-duaaen marne ki de to rahi ho aur kahii main sach men is se mar gaya to jee mujhe darasl achchhe lagte ho aapus ne meri baat sun kar ke kaha to

Kushal Dauneria

29 likes

naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham

Jaun Elia

67 likes

tamanna phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao ye mausam hi badal jaa.e agar tum milne aa jaao mujhe gham hai ki maine zindagi men kuchh nahin paaya ye gham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere zamaana mujhse jal jaa.e agar tum milne aa jaao ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein bala har ek tal jaa.e agar tum milne aa jaao

Javed Akhtar

48 likes

har kadam par jo itnaa rote ho kis tamannaa ka bojh dhote ho har kisi se gurez kya matlab aaj kal kis hawa men hote ho iska matlab hai dekh li duniya baat karne se pahle rote ho chaand par ja basoge kya tum sab nafratein is qadar jo bote ho ye khudaai sift bhi hai tum men door rah kar qareeb hote ho tum aziyat pasand ho khalid apne ashqon se zaKHm dhote hi

Khalid Nadeem Shani

14 likes

jeena mushkil hai ki aasaan zaraa dekh to lo log lagte hain pareshaan zaraa dekh to lo phir muqarrir koi sargarm sar-e-minbar hai kis ke hai qatl ka samaan zaraa dekh to lo ye naya shahar to hai khoob basaaya tum ne kyun puraana hua veeraan zaraa dekh to lo in charaaghon ke tale aise andhere kyun hai tum bhi rah jaaoge hairaan zaraa dekh to lo tum ye kahte ho ki main gair hooñ phir bhi shaayad nikal aa.e koi pahchaan zaraa dekh to lo ye sataish ki tamannaa ye sile ki parwaah kahaan l aa.e hain ye armaan zaraa dekh to lo

Javed Akhtar

33 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Moin Ahsan Jazbi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Moin Ahsan Jazbi's ghazal.