ghazalKuch Alfaaz

mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sehr lagti hai sar se pa tak vo samaan hai ki nazar lagti hai ham ne har gaam pe sajdon ke jalaae hain charaaghh ab ha men teri gali raahguzar lagti hai lamhe lamhe men basi hai tiri yaadon ki mahak aaj ki raat to KHushboo ka safar lagti hai jal gaya apna nasheeman to koi baat nahin dekhna ye hai ki ab aag kidhar lagti hai saari duniya men ghareebon ka lahu bahta hai har zameen mujh ko mire KHoon se tar lagti hai koi aasooda nahin ahl-e-siyaasat ke siva ye sadi dushman-e-arbaab-e-hunar lagti hai vaqiaa' shahar men kal to koi aisa na hua ye to akhbaar ke daftar ki khabar lagti hai lucknow kya tiri galiyon ka muqaddar tha yahii har gali aaj tiri khaak-basar lagti hai

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

bade tahammul se rafta rafta nikaalna hai bacha hai jo tujh men meraa hissa nikaalna hai ye rooh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikaalna hai nazar men rakhna kahii koi gham-shanaas gaahak mujhe sukhun bechna hai kharcha nikaalna hai nikaal laaya hooñ ek pinjare se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikaalna hai ye tees barson se kuchh baras peeche chal rahi hai mujhe ghadi ka KHaraab purza nikaalna hai khayal hai khaandaan ko ittilaa' de doon jo kat gaya us shajar ka shajra nikaalna hai main ek kirdaar se badaa tang hooñ qalamkaar mujhe kahaanii men daal ghussa nikaalna hai

Umair Najmi

42 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

sar jhukaoge to patthar devta ho jaayega itnaa mat chaaho use vo be-vafa ho jaayega ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega kitnii sachchaai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi doosra ho jaayega main KHuda ka naam le kar pee raha hooñ dosto zahar bhi is men agar hogaa davaa ho jaayega sab usii ke hain hawa KHushboo zameen o aasmaañ main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jaayega

Bashir Badr

43 likes

kise fursat-e-mah-o-saal hai ye sawaal hai koi waqt hai bhi ki jaal hai ye sawaal hai na hai fikr-e-gardish-e-aasmaan na khayal-e-jaan mujhe phir ye kaisa malaal hai ye sawaal hai vo sawaal jiska javaab hai meri zindagi meri zindagi ka sawaal hai ye sawaal hai main bichhad ke tujh se bulandiyon pe jo past hooñ ye urooj hai ki zawaal hai ye sawaal hai

Abbas Qamar

46 likes

More from Jaan Nisar Akhtar

har ek shaKHs pareshaan-o-dar-badar sa lage ye shahar mujh ko to yaaro koi bhanwar sa lage ab us ke tarz-e-tajaahul ko kya kahe koi vo be-KHabar to nahin phir bhi be-KHabar sa lage har ek gham ko khushi ki tarah bartana hai ye daur vo hai ki jeena bhi ik hunar sa lage nashaat-e-sohbat-e-rindaan bahut ghaneemat hai ki lamha lamha pur-aashob-o-pur-khatr sa lage kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hogaa kabhi kabhi to mujhe aadmi se dar sa lage vo tund vaqt ki rau hai ki paanv tik na saken har aadmi koi ukhadta hua shajar sa lage jahaan-e-nau ke mukammal singaar ki khaatir sadi sadi ka zamaana bhi mukhtasar sa lage

Jaan Nisar Akhtar

0 likes

zindagi tujh ko bhulaaya hai bahut din ham ne vaqt KHvaabon men ganwaaya hai bahut din ham ne ab ye neki bhi ha men jurm nazar aati hai sab ke aibon ko chhupaaya hai bahut din ham ne tum bhi is dil ko dukha lo to koi baat nahin apna dil aap dukhaaya hai bahut din ham ne muddaton tark-e-tamanna pe lahu roya hai ishq ka qarz chukaaya hai bahut din ham ne kya pata ho bhi sake is ki talaafi ki nahin shayari tujh ko ganwaaya hai bahut din ham ne

Jaan Nisar Akhtar

1 likes

may-kashi ab mirii aadat ke siva kuchh bhi nahin ye bhi ik talkh haqeeqat ke siva kuchh bhi nahin fitna-e-aql ke juyaa mirii duniya se guzar mirii duniya men mohabbat ke siva kuchh bhi nahin dil men vo shorish-e-jazbaat kahaan tere baghair ek KHaamosh qayamat ke siva kuchh bhi nahin mujh ko KHud apni jawaani ki qasam hai ki ye ishqik jawaani ki sharaarat ke siva kuchh bhi nahin

Jaan Nisar Akhtar

0 likes

tamaam umr azaabon ka silsila to raha ye kam nahin ha men jeene ka hausla to raha guzar hi aa.e kisi tarah tere deewane qadam qadam pe koi sakht marhala to raha chalo na ishq hi jeeta na aql haar saki tamaam vaqt maze ka muqaabla to raha main teri zaat men gum ho sakaa na tu mujh men bahut qareeb the ham phir bhi fasla to raha ye aur baat ki har chhed la-ubaali thii tiri nazar ka dilon se moamala to raha

Jaan Nisar Akhtar

1 likes

zulfen seena naaf kamar ek nadi men kitne bhanwar sadiyon sadiyon meraa safar manzil manzil raahguzar kitna mushkil kitna kathin jeene se jeene ka hunar gaav men aa kar shahar base gaav bichaare jaayen kidhar phoonkne waale socha bhi failegi ye aag kidhar laakh tarah se naam tira baitha likkhoon kaaghaz par chhote chhote zehan ke log ham se un ki baat na kar pet pe patthar baandh na le haath men sajte hain patthar raat ke peeche raat chale KHvaab hua har khwaab-e-seher shab bhar to aawaara phire laut chalen ab apne ghar

Jaan Nisar Akhtar

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaan Nisar Akhtar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaan Nisar Akhtar's ghazal.