zindagi tujh ko bhulaaya hai bahut din ham ne vaqt KHvaabon men ganwaaya hai bahut din ham ne ab ye neki bhi ha men jurm nazar aati hai sab ke aibon ko chhupaaya hai bahut din ham ne tum bhi is dil ko dukha lo to koi baat nahin apna dil aap dukhaaya hai bahut din ham ne muddaton tark-e-tamanna pe lahu roya hai ishq ka qarz chukaaya hai bahut din ham ne kya pata ho bhi sake is ki talaafi ki nahin shayari tujh ko ganwaaya hai bahut din ham ne
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
More from Jaan Nisar Akhtar
zaraa si baat pe har rasm tod aaya tha dil-e-tabah ne bhi kya mizaaj paaya tha guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah abhii to main use pahchaan bhi na paaya tha muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha shagufta phool simat kar kali bane jaise kuchh is kamaal se tu ne badan churaaya tha pata nahin ki mire baad un pe kya guzri main chand KHvaab zamaane men chhod aaya tha
Jaan Nisar Akhtar
2 likes
chaunk chaunk uthatii hai mahlon ki fazaa raat ga.e kaun deta hai ye galiyon men sadaa raat ga.e ye haqaaiq ki chataanon se taraashi duniya odh letii hai tilismon ki rida raat ga.e chubh ke rah jaati hai seene men badan ki khushboo khol deta hai koi band-e-qaba raat ga.e aao ham jism ki shamon se ujaala kar len chaand niklaa bhi to niklega zaraa raat ga.e tu na ab aa.e to kya aaj talak aati hai seedhiyon se tire qadmon ki sadaa raat ga.e
Jaan Nisar Akhtar
1 likes
tamaam umr azaabon ka silsila to raha ye kam nahin ha men jeene ka hausla to raha guzar hi aa.e kisi tarah tere deewane qadam qadam pe koi sakht marhala to raha chalo na ishq hi jeeta na aql haar saki tamaam vaqt maze ka muqaabla to raha main teri zaat men gum ho sakaa na tu mujh men bahut qareeb the ham phir bhi fasla to raha ye aur baat ki har chhed la-ubaali thii tiri nazar ka dilon se moamala to raha
Jaan Nisar Akhtar
1 likes
har ek shaKHs pareshaan-o-dar-badar sa lage ye shahar mujh ko to yaaro koi bhanwar sa lage ab us ke tarz-e-tajaahul ko kya kahe koi vo be-KHabar to nahin phir bhi be-KHabar sa lage har ek gham ko khushi ki tarah bartana hai ye daur vo hai ki jeena bhi ik hunar sa lage nashaat-e-sohbat-e-rindaan bahut ghaneemat hai ki lamha lamha pur-aashob-o-pur-khatr sa lage kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hogaa kabhi kabhi to mujhe aadmi se dar sa lage vo tund vaqt ki rau hai ki paanv tik na saken har aadmi koi ukhadta hua shajar sa lage jahaan-e-nau ke mukammal singaar ki khaatir sadi sadi ka zamaana bhi mukhtasar sa lage
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
har ek rooh men ik gham chhupa lage hai mujhe ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe pasand-e-khaatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se ye dil ka daagh jo KHud bhi bhala lage hai mujhe jo aañsuon men k abhii raat bheeg jaati hai bahut qareeb vo aawaaz-e-paa lage hai mujhe main so bhi jaaun to kya meri band aankhoñ men tamaam raat koi jhaankta lage hai mujhe main jab bhi us ke khayaalon men kho sa jaata hooñ vo KHud bhi baat kare to bura lage hai mujhe main sochta tha ki lautunga ajnabi ki tarah ye meraa gaav to pahchaanta lage hai mujhe na jaane vaqt ki raftaar kya dikhaati hai k abhii k abhii to badaa khauf sa lage hai mujhe bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka vujood har ek fard koi saanehaa lage hai mujhe ab ek aadh qadam ka hisaab kya rakhiye abhii talak to vahii fasla lage hai mujhe hikaayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai zamaana ghaur se sunta hua lage hai mujhe
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaan Nisar Akhtar.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaan Nisar Akhtar's ghazal.







