mire junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nuur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar vo duub gaya hai to duur niklega usi ka shahr vahi muddai vahi munsif hamen yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ik baat puchh kar dekho jo hans raha hai vo zakhmon se chuur niklega us astin se ashkon ko pochhne vaale us astin se khanjar zarur niklega mere junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar wo dub gaya hai to dur niklega usi ka shahr wahi muddai wahi munsif hamein yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ek baat puchh kar dekho jo hans raha hai wo zakhmon se chur niklega us aastin se ashkon ko pochhne wale us aastin se khanjar zarur niklega
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
More from Ameer Qazalbash
fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhaai hai zindagi kitne hawadis se guzar aayi hai log jis haal men marne ki dua karte hain main ne us haal men jeene ki qasam khaai hai ham na suqraat na mansoor na iisa lekin jo bhi qaateel hai hamaara hi tamannaai hai zindagi aur hain kitne tire chehre ye bataa tujh se ik umr ki haalaanki shanaasaai hai kaun na-waaqif-e-anjaam-e-tabassum hai ameer mere haalaat pe ye kis ko hañsi aayi hai
Ameer Qazalbash
2 likes
har gaam haadsa hai thehar jaaie janab rastaa agar ho yaad to ghar jaaie janab zinda haqeeqaton ke talaatum hain saamne KHvaabon ki kashtiyon se utar jaaie janab insaaf ki saleeb hooñ sacchaaiyon ka zahar mujh se mile baghair guzar jaaie janab din ka safar to kat gaya suraj ke saath saath ab shab ki anjuman men bikhar jaaie janab koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqaad mimbar ki seedhiyon se utar jaaie janab
Ameer Qazalbash
2 likes
khauf ban kar ye khayal aata hai akshar mujh ko dasht kar jaayega ik roz samundar mujh ko main saraapa hooñ khabar-naama-e-imroz-e-jahaan kal bhula de na ye duniya kahii padh kar mujh ko har nafs mujh men taghayyur ki hawaaye larzaan murtasim kar na sakaa koi bhi manzar mujh ko apne saahil pe main KHud tishna-dahan baitha hooñ dekh dariyaa ki taraai se nikal kar mujh ko mire saa.e men bhi mujh ko nahin rahne dega mire hi ghar men rakhega koi be-ghar mujh ko kaargar koi bhi tadbeer na hone dega kya muqaddar hai ki le jaayega dar-dar mujh ko kaam aayegi na bedaar-nigaahi bhi ameer KHvaab kah jaayega ik din mira paikar mujh ko
Ameer Qazalbash
0 likes
vo sarfiree hawa thii sambhalna pada mujhe main aakhiri charaaghh tha jalnaa pada mujhe mehsoos kar raha tha use apne aas paas apna khayal KHud hi badalna pada mujhe suraj ne chhupte chhupte ujaagar kiya to tha lekin tamaam raat pighalna pada mujhe mauzoo-e-guftugoo thii meri khaamoshi kahii jo zahar pee chuka tha ugalnaa pada mujhe kuchh door tak to jaise koi mere saath tha phir apne saath aap hi chalna pada mujhe
Ameer Qazalbash
2 likes
dil men be-naam si khushi hai abhii zindagi mere kaam ki hai abhii main bhi tujh se bichhad ke sargardaan teri aankhoñ men bhi nami hai abhii dil ki sunsaan rahguzaron par main ne ik cheekh si sooni hai abhii main ne maana bahut andhera hai phir bhi thodii si raushni hai abhii apne aañsu ameer kyun ponchhoon in charaaghon men raushni hai abhii
Ameer Qazalbash
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Qazalbash.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Qazalbash's ghazal.







