mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne zamane ab to khush ho zahr ye bhi pi liya main ne love i have renounced and sewn the collar that was ripped o world now you be happy for this poison i have sipped abhi zinda huun lekin sochta rahta huun khalvat men ki ab tak kis tamanna ke sahare ji liya main ne though i am alive, i often think, when there is no throng based on what desire, tell me, have i lived this long unhen apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai ki kuchh muddat hasin khvabon men kho kar ji liya main ne though i cannot possess her, it's of major consequence that for a while, her in my dreams, i did experience bas ab to daman-e-dil chhod do bekar ummido bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne the vestment of my heart o helpless hopes now leave alone i've lived far too long and sorrows ample have i borne mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne zamane ab to khush ho zahr ye bhi pi liya main ne love i have renounced and sewn the collar that was ripped o world now you be happy for this poison i have sipped abhi zinda hun lekin sochta rahta hun khalwat mein ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne though i am alive, i often think, when there is no throng based on what desire, tell me, have i lived this long unhen apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai ki kuchh muddat hasin khwabon mein kho kar ji liya main ne though i cannot possess her, it's of major consequence that for a while, her in my dreams, i did experience bas ab to daman-e-dil chhod do bekar ummido bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne the vestment of my heart o helpless hopes now leave alone i've lived far too long and sorrows ample have i borne
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Sahir Ludhianvi
sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai
Sahir Ludhianvi
14 likes
saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karen KHuda mila ho jinhen vo KHuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo KHafaa bhi na hon is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karen hamaare ahd ki tahzeeb men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka mazhab naya KHuda laaya karen to ham bhi magar kis KHuda ki baat karen wafa-shiaar kaii hain koi haseen bhi to ho chalo phir aaj usii be-vafa ki baat karen
Sahir Ludhianvi
6 likes
fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha
Sahir Ludhianvi
2 likes
havas-naseeb nazar ko kahii qaraar nahin main muntazir hooñ magar teraa intizaar nahin humeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaar humeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin abhii na chhed mohabbat ke geet ai mutarib abhii hayaat ka maahol khush-gawaar nahin tumhaare ahad-e-wafaa ko main ahd kya samjhoon mujhe KHud apni mohabbat pe e'tibaar nahin na jaane kitne gile is men muztarib hain nadeem vo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahin gurez ka nahin qaail hayaat se lekin jo sach kahooñ ki mujhe maut naagawaar nahin ye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane ne ki ab hayaat pe teraa bhi ikhtiyaar nahin
Sahir Ludhianvi
2 likes
mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne zamaane ab to KHush ho zahar ye bhi pee liya main ne abhii zinda hooñ lekin sochta rehta hooñ khilwat men ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne unhen apna nahin saka magar itnaa bhi kya kam hai ki kuchh muddat haseen KHvaabon men kho kar jee liya main ne bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo bahut dukh sah li.e main ne bahut din jee liya main ne
Sahir Ludhianvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.







