ghazalKuch Alfaaz

muddaton tak jo padhaya kiya ustad mujhe ishq men bhuul gaya kuchh na raha yaad mujhe kya main divana huun ya-rab ki sar-e-rahguzar duur se ghurne lagte hain pari-zad mujhe ab hai avaz ki vo shaan na baazu ki udaan aur sayyad kiye deta hai azad mujhe dad-khvahi ke liye aur to saman na mila nala-o-ah pe rakhni padi buniyad mujhe mere sheron pe vo sharmae to ahbab hanse ai 'hafiz' aaj ghhazal ki ye mili daad mujhe muddaton tak jo padhaya kiya ustad mujhe ishq mein bhul gaya kuchh na raha yaad mujhe kya main diwana hun ya-rab ki sar-e-rahguzar dur se ghurne lagte hain pari-zad mujhe ab hai aawaz ki wo shan na bazu ki udan aur sayyaad kiye deta hai aazad mujhe dad-khwahi ke liye aur to saman na mila nala-o-ah pe rakhni padi buniyaad mujhe mere sheron pe wo sharmae to ahbab hanse ai 'hafiz' aaj ghazal ki ye mili dad mujhe

Related Ghazal

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

More from Hafeez Jalandhari

mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main

Hafeez Jalandhari

0 likes

aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge

Hafeez Jalandhari

1 likes

ham hi men thii na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne ha men bhula diya ham na tumhein bhula sake tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun kis ki zabaan khulegi phir ham na agar suna sake hosh men aa chuke the ham josh men aa chuke the ham bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikaayaten raheen dil men shikaayaten raheen lab na magar hila sake shauq-e-visaal hai yahaañ lab pe sawaal hai yahaañ kis ki majaal hai yahaañ ham se nazar mila sake aisa ho koi nama-bar baat pe kaan dhar sake sun ke yaqeen kar sake ja ke unhen suna sake izz se aur badh gaii barhamee-e-mizaaj-e-dost ab vo kare ilaaj-e-dost jis ki samajh men aa sake ahl-e-zabaan to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil kaun tiri tarah hafiz dard ke geet ga sake

Hafeez Jalandhari

0 likes

ye mulaqaat mulaqaat nahin hoti hai baat hoti hai magar baat nahin hoti hai baaryaabi ka bura ho ki ab un ke dar par agle waqton ki mudaarat nahin hoti hai gham to ghanghor ghataon ki tarah uthte hain zabt ka dasht hai barsaat nahin hoti hai ye mira tajurba hai husn koi chaal chale baazi-e-ishq kabhi maat nahin hoti hai vasl hai naam ham-aahangi o yak-rangi ka vasl men koi burii baat nahin hoti hai hijr tanhaai hai suraj hai sawaa neze par din hi rehta hai yahaañ raat nahin hoti hai zabt-e-girya kabhi karta hooñ to farmaate hain aaj kya baat hai barsaat nahin hoti hai mujhe allah ki qasam she'r men tahseen-e-butaan main jo karta hooñ meri zaat nahin hoti hai fikr-e-takhleeq-e-sukhan masnad-e-raahat pe hafiz bais-e-kashf-o-karaamaat nahin hoti hai

Hafeez Jalandhari

0 likes

koi davaa na de sake mashwara-e-dua diya charagaron ne aur bhi dard dil ka badha diya dono ko de ke sooraten saath hi aaina diya ishq bisorne laga husn ne muskuraa diya zaauq-e-nigaah ke siva shauq-e-gunaah ke siva mujh ko buton se kya mila mujh ko KHuda ne kya diya thii na khizaan ki rok-thaam daman-e-ikhtiyaar men ham ne bharii bahaar men apna chaman luta diya husn-e-nazar ki aabroo sanat-e-barahman se hai jis ko sanam banaa liya us ko KHuda banaa diya daagh hai mujh pe ishq ka meraa gunaah bhi to dekhus ki nigaah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya ishq ki mamlakat men hai shorish-e-aql-e-na-muraad ubhara kahii jo ye fasaad dil ne wahin daba diya naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe dhoondte ho kya harf-e-ghalat nazar pada tum ne mujhe mita diya khubs-e-darun dikha diya har dehan-e-ghaliz ne kuchh na kaha hafiz ne hañs diya muskuraa diya

Hafeez Jalandhari

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.