ye mulaqaat mulaqaat nahin hoti hai baat hoti hai magar baat nahin hoti hai baaryaabi ka bura ho ki ab un ke dar par agle waqton ki mudaarat nahin hoti hai gham to ghanghor ghataon ki tarah uthte hain zabt ka dasht hai barsaat nahin hoti hai ye mira tajurba hai husn koi chaal chale baazi-e-ishq kabhi maat nahin hoti hai vasl hai naam ham-aahangi o yak-rangi ka vasl men koi burii baat nahin hoti hai hijr tanhaai hai suraj hai sawaa neze par din hi rehta hai yahaañ raat nahin hoti hai zabt-e-girya kabhi karta hooñ to farmaate hain aaj kya baat hai barsaat nahin hoti hai mujhe allah ki qasam she'r men tahseen-e-butaan main jo karta hooñ meri zaat nahin hoti hai fikr-e-takhleeq-e-sukhan masnad-e-raahat pe hafiz bais-e-kashf-o-karaamaat nahin hoti hai
Related Ghazal
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Hafeez Jalandhari
mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main
Hafeez Jalandhari
0 likes
ham hi men thii na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne ha men bhula diya ham na tumhein bhula sake tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun kis ki zabaan khulegi phir ham na agar suna sake hosh men aa chuke the ham josh men aa chuke the ham bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikaayaten raheen dil men shikaayaten raheen lab na magar hila sake shauq-e-visaal hai yahaañ lab pe sawaal hai yahaañ kis ki majaal hai yahaañ ham se nazar mila sake aisa ho koi nama-bar baat pe kaan dhar sake sun ke yaqeen kar sake ja ke unhen suna sake izz se aur badh gaii barhamee-e-mizaaj-e-dost ab vo kare ilaaj-e-dost jis ki samajh men aa sake ahl-e-zabaan to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil kaun tiri tarah hafiz dard ke geet ga sake
Hafeez Jalandhari
0 likes
dosti ka chalan raha hi nahin ab zamaane ki vo hawa hi nahin sach to ye hai sanam-kade waalo dil KHuda ne tumhein diya hi nahin palat aane se ho gaya saabit nama-bar tu vahaañ gaya hi nahin haal ye hai ki ham ghareebon ka haal tum ne k abhii suna hi nahin kya chale zor dasht-e-vahshat ka ham ne daaman k abhii siya hi nahin gair bhi ek din marengay zaroor un ke hisse men kya qaza hi nahin us ki soorat ko dekhta hooñ main meri seerat vo dekhta hi nahin ishq meraa hai shahar men mashhoor aur tum ne abhii suna hi nahin qissa-e-qais sun ke farmaaya jhooth ki koi intiha hi nahin vaasta kis ka den hafiz un ko un buton ka koi KHuda hi nahin
Hafeez Jalandhari
0 likes
aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge
Hafeez Jalandhari
1 likes
koi chaara nahin dua ke siva koi sunta nahin KHuda ke siva mujh se kya ho sakaa vafaa ke siva mujh ko milta bhi kya saza ke siva bar-sar-e-saahil muraad yahaañ koi ubhara hai naKHuda ke siva koi bhi to dikhaao manzil par jis ko dekha ho rehnuma ke siva dil sabhi kuchh zabaan par laaya ik faqat arz-e-muddaa ke siva koi raazi na rah sakaa mujh se mere allah tiri raza ke siva but-kade se chale ho kaabe ko kya milega tumhein KHuda ke siva doston ke ye mukhlisaana teer kuchh nahin meri hi KHataa ke siva mehr o mah se buland ho kar bhi nazar aaya na kuchh khala ke siva ai hafiz aah aah par aaKHir kya kahein dost waah vaa ke siva
Hafeez Jalandhari
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.







