mujh se milta hai par jism ki sarhad paar nahin karta iska matlab tu bhi mujhse saccha pyaar nahin karta dushman achha ho to jang men dil ko thaaras rahtii hai dushman achha ho to vo peeche se vaar nahin karta roz tujhe toote dil kam qeemat par lena padte hain isse achha tha tu ishq ka kaarobaar nahin karta
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
More from Tehzeeb Hafi
ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
44 likes
cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main aankh khulne pe bhi bedaar nahin hota main KHvaab karna ho safar karna ho ya rona ho mujh men khoobi hai bezaar nahin hota men ab bhala apne li.e banna sanwarna kaisa KHud se milnaa ho to taiyyaar nahin hota main kaun aayega bhala meri ayaadat ke li.e bas isee khauf se beemaar nahin hota main manzil-e-ishq pe niklaa to kaha raaste ne har kisi ke li.e hamvaar nahin hota main teri tasveer se taskin nahin hoti mujhe teri awaaz se sarshaar nahin hota main log kahte hain main baarish ki tarah hooñ haafi akshar auqaat lagaataar nahin hota main
Tehzeeb Hafi
35 likes
raat ko deep ki lo kam nahin rakhi jaati dhundh men roshni madhyam nahin rakhi jaati kaise dariyaa ki hifaazat tere jim men theharaau tujh se ik aankh agar nam nahin rakhi jaati isliye chhodkar jaane lage sab chaaragaraa zakhm se izzate marham nahin rakhi jaati aise kaise main tujhe chaahne lag jaaun bhala ghar ki buniyaad to yakdam nahin rakhi jaati
Tehzeeb Hafi
25 likes
KHud par jab ishq ki vehshat ko musallat karunga is kadar KHaak udaaunga qayamat karunga hijr ki raat meri jaan ko aayi hui hai bach gaya to main mohabbat ki mazammat karunga ab tere raaz sambhaale nahin jaate mujhse main kisi roz amaanat men khayaanat karunga laylaatul qadar guzrenge kisi jungle men noor barsega darakhton ki imaamat karunga
Tehzeeb Hafi
22 likes
ashk zaaeaa ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mire gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh pe kitne saanhe guzre par in aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ki meraa hum-safar rota na tha main ne us ke vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mire kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi us se tha magar itnaa nahin tab main us ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
48 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







