ghazalKuch Alfaaz

na jhatko zulf se paani ye moti tuut jaenge tumhara kuchh na bigdega magar dil tuut jaenge ye bhigi raat ye bhiga badan ye husn ka aalam ye sab andaz mil kar do jahan ko luut jaenge ye nazuk lab hain ya aapas men do lipti hui kaliyan zara in ko alag kar do tarannum phuut jaenge hamari jaan le lega ye nichi aankh ka jaadu chalo achchha hua mar kar jahan se chhut jaenge na jhatko zulf se pani ye moti tut jaenge tumhaara kuchh na bigdega magar dil tut jaenge ye bhigi raat ye bhiga badan ye husn ka aalam ye sab andaz mil kar do jahan ko lut jaenge ye nazuk lab hain ya aapas mein do lipti hui kaliyan zara in ko alag kar do tarannum phut jaenge hamari jaan le lega ye nichi aankh ka jadu chalo achchha hua mar kar jahan se chhut jaenge

Related Ghazal

paani ki chot chot hai kacche ghadoon se pooch kam umr men biyaahi gaii ladkiyon se pooch kis kis se tere baare men poocha nahin bataa ja daakiyon se pooch ja conductoron se pooch ye hijr kaise kaatta hai aadmi ki umr nadiyon se katne waale bade parvaton se pooch kaise juda kiya hai use kaise KHush rahen barase baghair jaate hue baadlon se pooch

Rishabh Sharma

21 likes

man jis ka maula hota hai vo bilkul mujh sa hota hai tum mujh...ko apna kahte ho kah lene se kya hota hai achchhii ladki zid nahin karte dekho ishq bura hota hai aañkhen hans kar pooch rahi hain neend aane se kya hota hai miTTi ki izzat hoti hai paani ka charcha hota hai marne men koi bahs na karna mar jaana achha hota hai

Ali Zaryoun

14 likes

kaun kahtaa hai faqat khauf-e-azal deta hai zulm to zulm hai eimaan badal deta hai bebaasi mazhabi insaan banaa deti hai maan lete hain KHuda sabr ka phal deta hai vo bakheel aaj bhi daata hai bhale waqt na de main use yaad bhi kar luun to ghazal deta hai uski koshish hai ki vo apni kashish baqi rakhe mere jazbaat machalte hain to chal deta hai khaali bartan hi khanakta hai tabhi aadmi bhi ghaas mat daalo to auqaat ugal deta hai ham ko mehnat pe hi milnaa hai agar khuld men chain ye to ghar baithe-bithaaye ha men thal deta hai zehan men aur koi dukh nahin rehta afkaar jitne bal bande ko vo zulf ka bal deta hai

Afkar Alvi

10 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

ye shokhiyaan ye jawaani kahaan se laayein ham tumhaare husn ka saani kahaan se laayein ham mohabbatein vo puraani kahaan se laayein ham ruki nadi men ravaani kahaan se laayein ham hamaari aankh hai paivast ek sehra men ab aisi aankh men paani kahaan se laayein ham har ek lafz ke maani talashte ho tum har ek lafz ka maani kahaan se laayein ham chalo bataa den zamaane ko apne baare men ki roz jhooti kahaanii kahaan se laayein ham

Varun Anand

18 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rajendera Krishan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rajendera Krishan's ghazal.