nadi ka aab diya hai to kuchh bahav bhi de miri ghhazal ko naya-pan bhi de rachav bhi de chala ke sard hava mujh ko munjamid bhi kar pighal ke phailna chahun to ik alaav bhi de ki jis ke dard ka ehsas tere jaisa ho kabhi kabhi miri fitrat ko aisa ghaav bhi de azab-e-sail-e-musalsal jo de raha hai mujhe to sath-e-ab pe chalne ko ek naav bhi de musafirat ke kai marhale tamam hue ki meri khana-badoshi ko ab padav bhi de nadi ka aab diya hai to kuchh bahaw bhi de meri ghazal ko naya-pan bhi de rachaw bhi de chala ke sard hawa mujh ko munjamid bhi kar pighal ke phailna chahun to ek alaw bhi de ki jis ke dard ka ehsas tere jaisa ho kabhi kabhi meri fitrat ko aisa ghaw bhi de azab-e-sail-e-musalsal jo de raha hai mujhe to sath-e-ab pe chalne ko ek naw bhi de musafirat ke kai marhale tamam hue ki meri khana-badoshi ko ab padaw bhi de
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Shakeel Azmi
ajeeb manzar hai baarishon ka makaan paani men bah raha hai falak zameen ki hudoos men hai nishaan paani men bah raha hai tamaam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baaki kisaan girvi rakha hua hai lagaan paani men bah raha hai azaab utara to paanv sab ke zameen ki satahon se aa lage hain hawa ke ghar men nahin hai koi machaan paani men bah raha hai koi kisi ko nahin bachaata sab apni khaatir hi tairte hain ye din qayamat ka din ho jaise jahaan paani men bah raha hai udaas aankhoñ ke baadlon ne dilon ke gard-o-ghubaar dhoye yaqeen patthar banaa khada hai gumaan paani men bah raha
Shakeel Azmi
4 likes
mujh pe hain saikron ilzaam mire saath na chal tu bhi ho jaayega badnaam mire saath na chal tu nayi subah ke suraj ki hai ujli si kiran main hooñ ik dhool bharii shaam mire saath na chal apni khushiyaan mire aalaam se mansoob na kar mujh se mat maang mira naam mire saath na chal tu bhi kho jaayegi tapke hue aañsu ki tarah dekh ai gardish-e-ayyaam mire saath na chal meri deewaar ko tu kitna sambhaalega shakeel tootaa rehta hooñ har gaam mire saath na chal
Shakeel Azmi
26 likes
akelaa rahne ki KHud hi saza qubool ki hai ye ham ne ishq kiya hai ya koi bhool ki hai khayal aaya hai ab raasta badal lenge abhii talak to bahut zindagi fuzool ki hai KHuda kare ki ye pauda zameen ka ho jaa.e ki aarzoo mire aangan ko ek phool ki hai na jaane kaun sa lamha mire qaraar ka haina jaane kaun si sa'at tire husool ki hai na jaane kaun sa chehra mirii kitaab ka haina jaane kaun si soorat tire nuzool ki hai jinhen khayal ho aankhoñ ka laut jaayen vo ab is ke baa'd hukoomat safar men dhool ki hai ye shohraten ha men yoonhi nahin mili hain shakeel ghazal ne ham se bhi bahut vasool ki hai
Shakeel Azmi
18 likes
main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho
Shakeel Azmi
51 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shakeel Azmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Shakeel Azmi's ghazal.







