nazar mila ke mire paas aa ke luut liya nazar hati thi ki phir muskura ke luut liya shikast-e-husn ka jalva dikha ke luut liya nigah nichi kiye sar jhuka ke luut liya duhai hai mire allah ki duhai hai kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke luut liya salam us pe ki jis ne utha ke parda-e-dil mujhi men rah ke mujhi men sama ke luut liya unhin ke dil se koi us ki azmaten puchhe vo ek dil jise sab kuchh luta ke luut liya yahan to khud tiri hasti hai ishq ko darkar vo aur honge jinhen muskura ke luut liya khusha vo jaan jise di gai amanat-e-ishq rahe vo dil jise apna bana ke luut liya nigah daal di jis par hasin ankhon ne use bhi husn-e-mujassam bana ke luut liya bade vo aae dil o jaan ke lutne vaale nazar se chhed diya gudguda ke luut liya raha kharab-e-mohabbat hi vo jise tu ne khud apna dard-e-mohabbat dikha ke luut liya koi ye luut to dekhe ki us ne jab chaha tamam hasti-e-dil ko jaga ke luut liya karishma-sazi-e-husn-e-azal are tauba mira hi aina mujh ko dikha ke luut liya na lutte ham magar un mast ankhdiyon ne 'jigar' nazar bachate hue dabdaba ke luut liya nazar mila ke mere pas aa ke lut liya nazar hati thi ki phir muskura ke lut liya shikast-e-husn ka jalwa dikha ke lut liya nigah nichi kiye sar jhuka ke lut liya duhai hai mere allah ki duhai hai kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke lut liya salam us pe ki jis ne utha ke parda-e-dil mujhi mein rah ke mujhi mein sama ke lut liya unhin ke dil se koi us ki azmaten puchhe wo ek dil jise sab kuchh luta ke lut liya yahan to khud teri hasti hai ishq ko darkar wo aur honge jinhen muskura ke lut liya khusha wo jaan jise di gai amanat-e-ishq rahe wo dil jise apna bana ke lut liya nigah dal di jis par hasin aankhon ne use bhi husn-e-mujassam bana ke lut liya bade wo aae dil o jaan ke lutne wale nazar se chhed diya gudguda ke lut liya raha kharab-e-mohabbat hi wo jise tu ne khud apna dard-e-mohabbat dikha ke lut liya koi ye lut to dekhe ki us ne jab chaha tamam hasti-e-dil ko jaga ke lut liya karishma-sazi-e-husn-e-azal are tauba mera hi aaina mujh ko dikha ke lut liya na lutte hum magar un mast ankhdiyon ne 'jigar' nazar bachate hue dabdaba ke lut liya
Related Ghazal
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii
Kumar Vishwas
53 likes
chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi
Zubair Ali Tabish
58 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
More from Jigar Moradabadi
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
duniya ke sitam yaad na apni hi vafaa yaad ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad shaayad ki mire bhoolne waale ne kiya yaad chheda tha jise pahle-pahl teri nazar ne ab tak hai vo ik naghma-e-be-saaz-o-sada yaad jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawaazishus vaqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko marne ki ada yaad na jeene ki ada yaad muddat hui ik haadsa-e-ishq ko lekin ab tak hai tire dil ke dhadkane ki sadaa yaad haan haan tujhe kya kaam mirii shiddat-e-gham se haan haan nahin mujh ko tire daaman ki hawa yaad main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chuka tha kyun aa gaii aise men tiri laghizish-e-paa yaad kya lutf ki main apna pata aap bataaun kijeye koi bhooli hui khaas apni ada yaad
Jigar Moradabadi
2 likes
be-kaif dil hai aur ji.e ja raha hooñ main khaali hai sheesha aur pi.e ja raha hooñ main paiham jo aah aah ki.e ja raha hooñ main daulat hai gham zakaat diye ja raha hooñ main majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhna jeena nahin qubool ji.e ja raha hooñ main vo dil kahaan hai ab ki jise pyaar keejie majbooriyaan hain saath diye ja raha hooñ main ruksat hui shabaab ke hamraah zindagi kehne ki baat hai ki ji.e ja raha hooñ main pahle sharaab zeest thii ab zeest hai sharaab koi pila raha hai pi.e ja raha hooñ main
Jigar Moradabadi
1 likes
jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega
Jigar Moradabadi
2 likes
agar na zohra-jabeenon ke darmiyaañ guzre to phir ye kaise kate zindagi kahaan guzre jo tere aariz o gesu ke darmiyaañ guzre k abhii k abhii vahii lamhe bala-e-jaan guzre mujhe ye vaham raha muddaton ki jurat-e-shauq kahii na khaatir-e-maasoom par giran guzre har ik maqaam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha magar ham ahl-e-mohabbat kashaan kashaan guzre junoon ke sakht maraahil bhi teri yaad ke saath haseen haseen nazar aa.e jawaan jawaan guzre mirii nazar se tiri justuju ke sadqe men ye ik jahaan hi nahin saikdon jahaan guzre hujoom-e-jalwa men parwaaz-e-shauq kya kehna ki jaise rooh sitaaron ke darmiyaañ guzre khatamuaaf zamaane se bad-gumaan ho kar tiri vafaa pe bhi kya kya ha men gumaan guzre mujhe tha shikwa-e-hijraan ki ye hua mehsoos mire qareeb se ho kar vo na-gahaan guzre rah-e-wafa men ik aisa maqaam bhi aaya ki ham KHud apni taraf se bhi bad-gumaan guzre khuloos jis men ho shaamil vo daur-e-ishq-o-hawasna raayegaan k abhii guzra na raayegaan guzre usii ko kahte hain jannat usii ko dozakh bhi vo zindagi jo haseenon ke darmiyaañ guzre bahut haseen manaazir bhi husn-e-fitrat kena jaane aaj tabeeyat pe kyun giran guzre vo jin ke s aa.e se bhi bijliyaan larzatee theen mirii nazar se kuchh aise bhi aashiyaan guzre mira to farz chaman-bandee-e-jahaan hai faqat mirii bala se bahaar aa.e ya khizaan guzre kahaan ka husn ki KHud ishq ko khabar na hui rah-e-talab men kuchh aise bhi imtihaan guzre bharii bahaar men taaraaji-e-chaman mat pooch KHuda kare na phir aankhoñ se vo samaan guzre koi na dekh sakaa jin ko vo dilon ke siva muaamlaat kuchh aise bhi darmiyaañ guzre k abhii k abhii to isee ek musht-e-khaak ke gird tawaaf karte hue haft aasmaañ guzre bahut haseen sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kaanton ke darmiyaañ guzre abhii se tujh ko bahut naagawaar hain hamdam vo haadsaat jo ab tak ravaan-davaan guzre jinhen ki deeda-e-shaair hi dekh sakaa hai vo inqilaab tire saamne kahaan guzre bahut aziz hai mujh ko unhen kya yaad jigar vo haadsaat-e-mohabbat jo na-gahaan guzre
Jigar Moradabadi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







