nigahon ka markaz bana ja raha huun mohabbat ke hathon luta ja raha huun main qatra huun lekin ba-aghhosh-e-dariya azal se abad tak baha ja raha huun mubarak mubarak miri ye fanaen do-alam pe chhaya chala ja raha huun vahi husn jis ke hain ye sab mazahir usi husn men hal hua ja raha huun ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko main ham-dosh mauj-e-fana ja raha huun na jaane kahan se na jaane kidhar ko bas ik apni dhun men uda ja raha huun mujhe rok sakta ho koi to roke ki chhup kar nahin barmala ja raha huun mere paas aao ye kya samne huun miri samt dekho ye kya ja raha huun nigahon men manzil miri phir rahi hai yunhi girta padta chala ja raha huun tiri mast nazren ghhazab dha rahi hain ye aalam hai jaise uda ja raha huun kidhar hai tu ai ghhairat-e-husn khud men mohabbat ke hathon bika ja raha huun na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti jidhar chal pada huun chala ja raha huun na surat na maani na paida na pinhan ye kis husn men gum hua ja raha huun nigahon ka markaz bana ja raha hun mohabbat ke hathon luta ja raha hun main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya azal se abad tak baha ja raha hun mubarak mubarak meri ye fanaen do-alam pe chhaya chala ja raha hun wahi husn jis ke hain ye sab mazahir usi husn mein hal hua ja raha hun ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun na jaane kahan se na jaane kidhar ko bas ek apni dhun mein uda ja raha hun mujhe rok sakta ho koi to roke ki chhup kar nahin barmala ja raha hun mere pas aao ye kya samne hun meri samt dekho ye kya ja raha hun nigahon mein manzil meri phir rahi hai yunhi girta padta chala ja raha hun teri mast nazren ghazab dha rahi hain ye aalam hai jaise uda ja raha hun kidhar hai tu ai ghairat-e-husn khud mein mohabbat ke hathon bika ja raha hun na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti jidhar chal pada hun chala ja raha hun na surat na mani na paida na pinhan ye kis husn mein gum hua ja raha hun
Related Ghazal
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
Tehzeeb Hafi
203 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
mere dil men ye tere siva kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai ham mohabbat men haare hue log hain aur mohabbat men jeeta hua kaun hai mere pahluu se uth ke gaya kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai tune jaate hue ye bataaya nahin main teraa kaun hooñ tu meraa kaun hai
Tehzeeb Hafi
145 likes
More from Jigar Moradabadi
ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha
Jigar Moradabadi
1 likes
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega
Jigar Moradabadi
2 likes
ab to ye bhi nahin raha ehsaas dard hota hai ya nahin hota ishq jab tak na kar chuke rusva aadmi kaam ka nahin hota toot padta hai dafa'atan jo ishqbesh-tar der-paa nahin hota vo bhi hota hai ek vaqt ki jab maa-siwaa maa-siwaa nahin hota haaye kya ho gaya tabi'at ko gham bhi rahat-fazaa nahin hota dil hamaara hai ya tumhaara hai ham se ye faisla nahin hota jis pe teri nazar nahin hotius ki jaanib KHuda nahin hota main ki be-zaar umr bhar ke li.e dil ki dam-bhar juda nahin hota vo hamaare qareeb hote hain jab hamaara pata nahin hota dil ko kya kya sukoon hota hai jab koi aasraa nahin hota ho ke ik baar saamna un se phir kabhi saamna nahin hota
Jigar Moradabadi
4 likes
agar na zohra-jabeenon ke darmiyaañ guzre to phir ye kaise kate zindagi kahaan guzre jo tere aariz o gesu ke darmiyaañ guzre k abhii k abhii vahii lamhe bala-e-jaan guzre mujhe ye vaham raha muddaton ki jurat-e-shauq kahii na khaatir-e-maasoom par giran guzre har ik maqaam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha magar ham ahl-e-mohabbat kashaan kashaan guzre junoon ke sakht maraahil bhi teri yaad ke saath haseen haseen nazar aa.e jawaan jawaan guzre mirii nazar se tiri justuju ke sadqe men ye ik jahaan hi nahin saikdon jahaan guzre hujoom-e-jalwa men parwaaz-e-shauq kya kehna ki jaise rooh sitaaron ke darmiyaañ guzre khatamuaaf zamaane se bad-gumaan ho kar tiri vafaa pe bhi kya kya ha men gumaan guzre mujhe tha shikwa-e-hijraan ki ye hua mehsoos mire qareeb se ho kar vo na-gahaan guzre rah-e-wafa men ik aisa maqaam bhi aaya ki ham KHud apni taraf se bhi bad-gumaan guzre khuloos jis men ho shaamil vo daur-e-ishq-o-hawasna raayegaan k abhii guzra na raayegaan guzre usii ko kahte hain jannat usii ko dozakh bhi vo zindagi jo haseenon ke darmiyaañ guzre bahut haseen manaazir bhi husn-e-fitrat kena jaane aaj tabeeyat pe kyun giran guzre vo jin ke s aa.e se bhi bijliyaan larzatee theen mirii nazar se kuchh aise bhi aashiyaan guzre mira to farz chaman-bandee-e-jahaan hai faqat mirii bala se bahaar aa.e ya khizaan guzre kahaan ka husn ki KHud ishq ko khabar na hui rah-e-talab men kuchh aise bhi imtihaan guzre bharii bahaar men taaraaji-e-chaman mat pooch KHuda kare na phir aankhoñ se vo samaan guzre koi na dekh sakaa jin ko vo dilon ke siva muaamlaat kuchh aise bhi darmiyaañ guzre k abhii k abhii to isee ek musht-e-khaak ke gird tawaaf karte hue haft aasmaañ guzre bahut haseen sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kaanton ke darmiyaañ guzre abhii se tujh ko bahut naagawaar hain hamdam vo haadsaat jo ab tak ravaan-davaan guzre jinhen ki deeda-e-shaair hi dekh sakaa hai vo inqilaab tire saamne kahaan guzre bahut aziz hai mujh ko unhen kya yaad jigar vo haadsaat-e-mohabbat jo na-gahaan guzre
Jigar Moradabadi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







