ghazalKuch Alfaaz

nukta-chin hai ghham-e-dil us ko sunae na bane kya bane baat jahan baat banae na bane i cannot pour my heart to her, for she does criticize how can i get my goal when i, cant even verbalize main bulata to huun us ko magar ai jazba-e-dil us pe ban jaae kuchh aisi ki bin aae na bane i do call out to her, my feelings, but what can i say something happens and she cant help but stay away khel samjha hai kahin chhod na de bhuul na jaae kaash yuun bhi ho ki bin mere satae na bane she should not forsake forget me ,for it is no play without my teasing, if only, she found it hard to stay ghhair phirta hai liye yuun tire khat ko ki agar koi puchhe ki ye kya hai to chhupae na bane my rival roams, your message tucked so by his side if someone were to ask what's this, he's unable to hide is nazakat ka bura ho vo bhale hain to kya haath aaven to unhen haath lagae na bane her daintiness be damned, tho noble, she may be as much e'en when i manage to get hold, i'm unable to touch kah sake kaun ki ye jalvagari kis ki hai parda chhoda hai vo us ne ki uthae na bane who can fathom who it is behind the veil concealed its been dropped in such a way it cannot be unveiled maut ki raah na dekhun ki bin aae na rahe tum ko chahun ki na aao to bulae na bane i do not wait for death for it will surely accrue if i wish that you don't come, i can't call out to you bojh vo sar se gira hai ki uthae na uthe kaam vo aan pada hai ki banae na bane the burden that's fallen on my head i cannot unseat a task has now befallen me that i cannot complete ishq par zor nahin hai ye vo atish 'ghhalib' ki lagae na lage aur bujhae na bane love is not in one's control, this is that fire roused it cannot be willed to ignite, nor can it be doused nukta-chin hai gham-e-dil us ko sunae na bane kya bane baat jahan baat banae na bane i cannot pour my heart to her, for she does criticize how can i get my goal when i, cant even verbalize main bulata to hun us ko magar ai jazba-e-dil us pe ban jae kuchh aisi ki bin aae na bane i do call out to her, my feelings, but what can i say something happens and she cant help but stay away khel samjha hai kahin chhod na de bhul na jae kash yun bhi ho ki bin mere satae na bane she should not forsake forget me ,for it is no play without my teasing, if only, she found it hard to stay ghair phirta hai liye yun tere khat ko ki agar koi puchhe ki ye kya hai to chhupae na bane my rival roams, your message tucked so by his side if someone were to ask what's this, he's unable to hide is nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya hath aawen to unhen hath lagae na bane her daintiness be damned, tho noble, she may be as much e'en when i manage to get hold, i'm unable to touch kah sake kaun ki ye jalwagari kis ki hai parda chhoda hai wo us ne ki uthae na bane who can fathom who it is behind the veil concealed its been dropped in such a way it cannot be unveiled maut ki rah na dekhun ki bin aae na rahe tum ko chahun ki na aao to bulae na bane i do not wait for death for it will surely accrue if i wish that you don't come, i can't call out to you bojh wo sar se gira hai ki uthae na uthe kaam wo aan pada hai ki banae na bane the burden that's fallen on my head i cannot unseat a task has now befallen me that i cannot complete ishq par zor nahin hai ye wo aatish 'ghaalib' ki lagae na lage aur bujhae na bane love is not in one's control, this is that fire roused it cannot be willed to ignite, nor can it be doused

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

More from Mirza Ghalib

gham nahin hota hai azaadon ko besh az-yak-nafs barq se karte hain raushan sham-e-maatam-khaana ham mahfilein barham kare hai ganjinfaa-baaz-e-khyaal hain warq-gardaani-e-nairang-e-yak-but-khaana ham baavjood-e-yak-jahaan hangaama paidaai nahin hain charaaghaan-e-shabistaan-e-dil-e-parwaana ham zof se hai ne qanaat se ye tark-e-justujoo hain wabaal-e-takiya-gaah-e-himmat-e-mardaana ham daaim-ul-habs is men hain laakhon tamannaayein asad jaante hain seena-e-pur-khun ko zindaan-khaana ham bas-ki hain bad-mast-e-b-shikan b-shikan-e-may-khaana ham moo-e-sheesha ko samjhte hain khat-e-paimaana ham bas-ki har-yak-moo-e-zulf-afshaan se hai taar-e-shua panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shaana ham mashq-e-az-khud-raftagi se hain b-gulzaar-e-khyaal aashna taabeer-e-khwab-e-sabzaa-e-begaana ham fart-e-be-khwabi se hain shab-haa-e-hijr-e-yaar men jun zabaan-e-sham'a daag-e-garmi-e-afsaana ham shaam-e-gham men soz-e-ishq-e-aatish-e-rukhsaar se pur-fashaan-e-sokhtan hain soorat-e-parwaana ham hasrat-e-arz-e-tamannaa yaa se samjha chahiye do-jahaan hashr-e-zabaan-e-khushk hain jun shaana ham kashti-e-aalam b-toofaan-e-taghaaful de ki hain aalam-e-aab-e-gudaaz-e-jauhar-e-afsaana ham vehshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na pooch nang-e-baalidan hain jun moo-e-sar-e-deewaana ham

Mirza Ghalib

0 likes

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

husn-e-mah garche b-hangaam-e-kamaal achha haius se miraa mah-e-khursheed-jamaal achha hai bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigaah jee men kahte hain ki muft aa.e to maal achha hai aur bazaar se le aa.e agar toot gaya saagar-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achha hai be-talab den to mazaa us men siva milta hai vo gada jis ko na ho khoo-e-sawaal achha hai un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq vo samjhte hain ki beemaar ka haal achha hai dekhiye paate hain ushshaq buton se kya faiz ik brahman ne kaha hai ki ye saal achha hai hum-sukhan tesha ne farhaad ko sheerin se kiya jis tarah ka ki kisi men ho kamaal achha hai qatra dariyaa men jo mil jaa.e to dariyaa ho jaa.e kaam achha hai vo jis ka ki maal achha hai khizr-sultaan ko rakhe khaaliq-e-akbar sarsabz shah ke baagh men ye taaza nihaal achha hai ham ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai

Mirza Ghalib

1 likes

mehram nahin hai tu hi navaa-ha-e-raaz ka yaa warna jo hijaab hai parda hai saaz ka rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazaara hai ye vaqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naaz ka tu aur soo-e-ghair nazar-ha-e-tez tez main aur dukh tiri miza-ha-e-daraaz ka sarfa hai zabt-e-aah men meraa vagarna men tooma hooñ ek hi nafs-e-jaan-gudaaz ka hain bas-ki josh-e-baada se sheeshe uchhal rahe har gosha-e-bisaat hai sar sheesha-baaz ka kaavish ka dil kare hai taqaza ki hai hunooz nakhun pe qarz is girh-e-neem-baaz ka taaraaj-e-kaavish-e-gham-e-hijraan hua asad seena ki tha dafeena guhar-ha-e-raaz ka

Mirza Ghalib

2 likes

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-moo aa.e yak martaba ghabra ke kaho koi ki vo aa.e hooñ kashmakash-e-naz'a men haan jazb-e-mohabbat kuchh kah na sakoon par vo mire poochne ko aa.e hai saika o shola o seemaab ka aalam aanaa hi samajh men mirii aata nahin go aa.e zaahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakeerain haan munh se magar baadaa-e-dosheena ki boo aa.e jallaad se darte hain na wa'iz se jhagdate ham samjhe hue hain use jis bhes men jo aa.e haan ahl-e-talab kaun sune taana-e-na-yaft dekha ki vo milta nahin apne hi ko kho aa.e apna nahin ye sheva ki aaraam se baitheenus dar pe nahin baar to ka'be hi ko ho aa.e ki hum-nafson ne asar-e-giryaa men taqreer achchhe rahe aap is se magar mujh ko dubo aa.e us anjuman-e-naaz ki kya baat hai ghalib ham bhi ga.e waan aur tiri taqdeer ko ro aa.e

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.