paanv padta hua rasta nahin dekha jaata jaane vaale tira jaana nahin dekha jaata teri marzi hai jidhar ungli pakad kar le ja mujh se ab tere alava nahin dekha jaata ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari darmiyan apna bhi saaya nahin dekha jaata tu bhi ai shakhs kahan tak mujhe bardasht kare baar baar ek hi chehra nahin dekha jaata ye tire chahne vaale bhi ajab hain janan ishq karte hain ki hota nahin dekha jaata ye tere baa'd khula hai ki judai kya hai mujh se ab koi akela nahin dekha jaata panw padta hua rasta nahin dekha jata jaane wale tera jaana nahin dekha jata teri marzi hai jidhar ungli pakad kar le ja mujh se ab tere alawa nahin dekha jata ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari darmiyan apna bhi saya nahin dekha jata tu bhi ai shakhs kahan tak mujhe bardasht kare bar bar ek hi chehra nahin dekha jata ye tere chahne wale bhi ajab hain jaanan ishq karte hain ki hota nahin dekha jata ye tere ba'd khula hai ki judai kya hai mujh se ab koi akela nahin dekha jata
Related Ghazal
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Abbas Tabish
koi takra ke subuk-sar bhi to ho saka hai meri ta'aamir men patthar bhi to ho saka hai kyun na ai shaKHs tujhe haath laga kar dekhooñ tu mire vaham se badh kar bhi to ho saka hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniya teraa shak aur kisi par bhi to ho saka hai ye jo hai phool hatheli pe ise phool na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saka hai shaakh par baithe parinde ko udaane waale ped ke haath men patthar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki baahar hi numoo ho meri meraa khilna mire andar bhi to ho saka hai ye jo hai ret ka teela mire qadmon ke tale koi dam men mire u uupar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki ham haar ke jeeten taabish ishq ka khel barabar bhi to ho saka hai
Abbas Tabish
8 likes
tootte ishq men kuchh haath bantaate jaate saara malba mere u uupar na giraate jaate itni ujlat men bhi kya aankh se ojhal hona ja rahe the to mujhe tum nazar aate jaate kam se kam rakhta palatne ki tavqko tum se haath men haath liya tha to dabate jaate kin andheron men mujhe chhod diya hai tumne is se behtar tha mujhe aag lagaate jaate main bhi hota tere raaste ke darakhton men darakht is tarah dekh to leta tujhe aate jaate
Abbas Tabish
12 likes
ye bataa yaum-e-mohabbat ka samaan hai ki nahin shahar ka shahar gulaabon ki dukaaan hai ki nahin aadatan uske li.e phool khareede varna nahin maaloom vo is baar yahaañ hai ki nahin ye tere baad jo leta hooñ main lambi saansen mujh...ko ye jaanna hai jism men jaañ hai ki nahin ham to phoolon ke evaz phool liya karte hain kya khabar iska rivaaz aap ke yahaañ hai ki nahin us gali ka to pata theek bataaya tune ye bataa us men vo dildaar makaan hai ki nahin pahle to mujh...ko dilaate hai vo ghussa taabish aur phir poochte hai munh men zabaan hai ki nahin
Abbas Tabish
13 likes
judaai ka zamaana yuñ thikaane lag gaya tha bichhad kar usse main likhne likhaane lag gaya tha t abhii to zang aalooda hui talwaar meri main dushman par muhabbat aazmaane lag gaya tha abhii samjha raha tha vo mujhe bose ka matlab ki main shahtoot ke ras men nahaane lag gaya tha mohabbat ho nahin paai to uskaa kya karoon main ki main to us gali men aane jaane lage gaya tha t abhii to meri aankhoñ ko nahin rone ki aadat main chhoti umr men aañsu chhupaane lag gaya tha
Abbas Tabish
19 likes
ab nazarandaaz karne ki bhi aasaani nahin kaunsi si ja hai jahaan main zer-e-nigraani nahin baat kar ai khoobsurat shakhs koi baat kar aur saabit kar tujhe koi pareshaani nahin ham guzaarish par guzaara kar rahe hai in dinon tujhse tujhko cheen lene ki abhii thaanii nahin
Abbas Tabish
12 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abbas Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Abbas Tabish's ghazal.







