ghazalKuch Alfaaz

raat se jang koi khel naiiñ tum charaaghon men itnaa tel naiiñ aa gaya hooñ to kheench apni taraf meri jaanib mujhe dhakel naiiñ jab main chaahunga chhod jaaunga ik saraaye hai jism jail naiiñ bench dekhi hai KHvaab men khaali aur patri par us pe rail naiiñ jis ko dekha tha kal darakht ke gird vo haraa azdaha tha bel naiiñ

Related Ghazal

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Ammar Iqbal

yoonhi be-baal-o-par khade hue hain ham qafas tod kar khade hue hain dasht guzra hai mere kamre se aur deewar-o-dar khade hue hain KHud hi jaane lage the aur KHud hi raasta rok kar khade hue hain aur kitnii ghumaoge duniya ham to sar thaam kar khade hue hain barguzeeda buzurg neem ke ped thak ga.e hain magar khade hue hain muddaton se hazaar-ha aalam ek ummeed par khade hue hain

Ammar Iqbal

1 likes

khud-parasti se ishq ho gaya hai apni hasti se ishq ho gaya hai jab se dekha hai is fakeerni ko faqa-masti se ishq ho gaya hai ek darvesh ko tiri khaatir saari bastii se ishq ho gaya hai KHud tarasha hai jab se but apna but-parasti se ishq ho gaya hai ye falak-zaad ki kahaanii hai is ko pasti se ishq ho gaya hai

Ammar Iqbal

6 likes

jahal ko aagahi banaate hue mil gaya raushni banaate hue kya qayamat kisi pe guzregi aakhiri aadmi banaate hue kya hua tha zaraa pata to chale vaqt kya tha ghadi banaate hue kaise kaise banaa diye chehre apni be-chehergi banaate hue dasht ki wusaaten badhaati theen meri aawaargi banaate hue us ne naasoor kar liya hogaa zakham ko shaayeri banaate hue

Ammar Iqbal

9 likes

zaraa si der jale jal ke raakh ho jaa.e vo raushni de bhale jal ke raakh ho jaa.e vo aftaab jise sab salaam karte hain jo vaqt par na dhale jal ke raakh ho jaa.e main door ja ke kahii baansuri bajaaunga bala se rom jale jal ke raakh ho jaa.e vo ek lams-e-gurezaan hai aatish-e-be-soz mujhe lagaaye gale jal ke raakh ho jaa.e koi charaaghh bache subh tak to taarikee usii charaaghh-tale jal ke raakh ho jaa.e

Ammar Iqbal

2 likes

teergii taq men ja dii hui hai dhoop dahleez par pa dii hui hai dil pe naakaamiyon ke hain paivand aas ki soi bhi ga dii hui hai mere jaisi hai meri parchhaaien dhoop men pal ke ye ba dii hui hai gher rakha hai na-rasaai ne aur KHvaahish wahin kha dii hui hai main ne tasveer fenk dii hai magar keel deewaar men ga dii hui hai haarta bhi nahin gham-e-dauraan zid pe ummeed bhi a dii hui hai dil kisi ke khayal men hai gum raat ko KHvaab ki pa dii hui hai

Ammar Iqbal

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ammar Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ammar Iqbal's ghazal.