rukhsat hua to aankh mila kar nahin gaya vo kyuun gaya hai ye bhi bata kar nahin gaya vo yuun gaya ki bad-e-saba yaad aa gai ehsas tak bhi ham ko dila kar nahin gaya yuun lag raha hai jaise abhi laut aaega jaate hue charaghh bujha kar nahin gaya bas ik lakir khinch gaya darmiyan men divar raste men bana kar nahin gaya shayad vo mil hi jaae magar justuju hai shart vo apne naqsh-e-pa to mita kar nahin gaya ghar men hai aaj tak vahi khushbu basi hui lagta hai yuun ki jaise vo aa kar nahin gaya tab tak to phuul jaisi hi taaza thi us ki yaad jab tak vo pattiyon ko juda kar nahin gaya rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe aur khaak men bhi mujh ko mila kar nahin gaya vaisi hi be-talab hai abhi meri zindagi vo khar-o-khas men aag laga kar nahin gaya 'shahzad' ye gila hi raha us ki zaat se jaate hue vo koi gila kar nahin gaya rukhsat hua to aankh mila kar nahin gaya wo kyun gaya hai ye bhi bata kar nahin gaya wo yun gaya ki baad-e-saba yaad aa gai ehsas tak bhi hum ko dila kar nahin gaya yun lag raha hai jaise abhi laut aaega jate hue charagh bujha kar nahin gaya bas ek lakir khinch gaya darmiyan mein diwar raste mein bana kar nahin gaya shayad wo mil hi jae magar justuju hai shart wo apne naqsh-e-pa to mita kar nahin gaya ghar mein hai aaj tak wahi khushbu basi hui lagta hai yun ki jaise wo aa kar nahin gaya tab tak to phul jaisi hi taza thi us ki yaad jab tak wo pattiyon ko juda kar nahin gaya rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe aur khak mein bhi mujh ko mila kar nahin gaya waisi hi be-talab hai abhi meri zindagi wo khar-o-khas mein aag laga kar nahin gaya 'shahzad' ye gila hi raha us ki zat se jate hue wo koi gila kar nahin gaya
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Shahzad Ahmad
charaaghh KHud hi bujhaaya bujha ke chhod diya vo gair tha use apna banaa ke chhod diya hazaar chehre hain maujood aadmi ghaayab ye kis kharaabe men duniya ne la ke chhod diya main apni jaañ men use jazb kis tarah karta use gale se lagaaya laga ke chhod diya main ja chuka hooñ mire vaaste udaas na ho main vo hooñ tu ne jise muskuraa ke chhod diya kisi ne ye na bataaya ki fasla kya hai har ek ne mujhe rastaa dikha ke chhod diya hamaare dil men hai kya jhaank kar na dekh sake KHud apni zaat se parda utha ke chhod diya vo teraa rog bhi hai aur tira ilaaj bhi hai usii ko dhundh jise tang aa ke chhod diya vo anjuman men mila bhi to us ne baat na ki kabhi kabhi koi jumla chhupa ke chhod diya rakhoon kisi se tavakko to kya rakhoon shehzaad KHuda ne bhi to zameen par giraa ke chhod diya
Shahzad Ahmad
5 likes
apni tasveer ko aankhoñ se lagata kya hai ik nazar meri taraf bhi tira jaata kya hai meri ruswaai men vo bhi hain barabar ke shareek mire qisse mire yaaron ko sunaata kya hai paas rah kar bhi na pahchaan sakaa tu mujh ko door se dekh ke ab haath hilaata kya hai zehan ke pardo pe manzil ke hayoole na banaa gaur se dekhta ja raah men aata kya hai zakhm-e-dil jurm nahin tod bhi de mohr-e-sukoot jo tujhe jaante hain un se chhupata kya hai safar-e-shauq men kyun kaanpate hain paanv tire aankh rakhta hai to phir aankh churaata kya hai umr bhar apne garebaan se uljhane waale tu mujhe mire hi saa.e se daraata kya hai chaandni dekh ke chehre ko chhupaane waale dhoop men baith ke ab baal sukhaata kya hai mar ga.e pyaas ke maare to utha abr-e-karam bujh gaii bazm to ab shama' jalata kya hai main tira kuchh bhi nahin hooñ magar itnaa to bataa dekh kar mujh ko tire zehan men aata kya hai teraa ehsaas zaraa sa tiri hasti paayaab to samundar kii tarah shor machaata kya hai tujh men kas-bal hai to duniya ko baha kar le ja chaai kii pyaali men toofaan uthaata kya hai teri awaaz ka jaadu na chalega un par jaagne waalon ko shehzaad jagaata kya hai
Shahzad Ahmad
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahzad Ahmad.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahzad Ahmad's ghazal.







