sab log jidhar vo hain udhar dekh rahe hain ham dekhne waalon ki nazar dekh rahe hain tevar tire ai rashk-e-qamar dekh rahe hain ham shaam se aasaar-e-sehr dekh rahe hain meraa dil-e-gum-gashta jo dhoonda nahin milta vo apna dehan apni kamar dekh rahe hain koi to nikal aayega sarbaaz-e-mohabbat dil dekh rahe hain vo jigar dekh rahe hain hai majma-e-aghyaar ki hangaama-e-mahshar kya sair mire deeda-e-tar dekh rahe hain ab ai nigah-e-shauq na rah jaa.e tamannaa is vaqt udhar se vo idhar dekh rahe hain har-chand ki har roz ki ranjish hai qayamat ham koi din us ko bhi magar dekh rahe hain aamad hai kisi ki ki gaya koi idhar se kyun sab taraf-e-raahguzar dekh rahe hain takraar tajalli ne tire jalwe men kyun ki hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe hain nairang hai ek ek tira deed ke qaabil ham ai falak-e-shobda-gar dekh rahe hain kab tak hai tumhaara sukhan-e-talkh gawara is zahar men kitna hai asar dekh rahe hain kuchh dekh rahe hain dil-e-bismil ka tadapna kuchh ghaur se qaateel ka hunar dekh rahe hain ab tak to jo qismat ne dikhaaya vahii dekha aainda ho kya nafa o zarar dekh rahe hain pahle to suna karte the 'aashiq ki museebat ab aankh se vo aath pahar dekh rahe hain kyun kufr hai deedaar-e-sanam hazrat-e-waaiz allah dikhaata hai bashar dekh rahe hain khat gair ka padhte the jo toka to vo bole akhbaar ka parcha hai khabar dekh rahe hain padh padh ke vo dam karte hain kuchh haath par apne hañs hañs ke mire zakham-e-jigar dekh rahe hain main daagh hooñ marta hooñ idhar dekhiye mujh ko munh fer ke ye aap kidhar dekh rahe hain
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Dagh Dehlvi
raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men
Dagh Dehlvi
1 likes
dil ko kya ho gaya KHuda jaane kyun hai aisa udaas kya jaane apne gham men bhi us ko sarfaa haina khila jaane vo na kha jaane is tajaahul ka kya thikaana hai jaan kar jo na muddaa jaane kah diya main ne raaz-e-dil apnaus ko tum jaano ya KHuda jaane kya garz kyun idhar tavajjoh ho haal-e-dil aap ki bala jaane jaante jaante hi jaanega mujh men kya hai abhii vo kya jaane kya ham us bad-gumaan se baat karen jo sataish ko bhi gilaa jaane tum na paoge saada-dil mujh sa jo taghaaful ko bhi haya jaane hai abas jurm-e-ishq par ilzaam jab khata-waar bhi KHataa jaane nahin kotaah daaman-e-ummeed aage ab dast-e-na-rasa jaane jo ho achha hazaar achhon ka wa'iz us but ko tu bura jaane ki mirii qadr misl-e-shaah-e-dakan kisi nawwaab ne na raja ne us se utthegi kya museebat-e-ishq ibtida ko jo intiha jaane daagh se kah do ab na ghabraao kaam apna bataa hua jaane
Dagh Dehlvi
2 likes
kaun sa taair-e-gum-gashta use yaad aaya dekhta bhaalta har shaakh ko sayyaad aaya mire qaabu men na paharon dil-e-naashaad aaya vo mira bhoolne vaala jo mujhe yaad aaya koi bhoola hua andaaz-e-sitam yaad aaya ki tabassum tujhe zalim dam-e-bedaad aaya laaye hain log janaaze ki tarah mahshar men kis museebat se tira kushta-e-bedaad aaya jazb-e-wahshat tire qurbaan tira kya kehna khinch ke rag rag men mire nashtar-e-fassaad aaya us ke jalwe ko garz kaun-o-makaan se kya tha daad lene ke li.e husn-e-khuda-daad aaya bastiyon se yahii awaaz chali aati hai jo kiya tu ne vo aage tire farhaad aaya dil-e-veeraan se raqeebon ne muraadein paai kaam kis kis ke mira khirman-e-barbaad aaya ishq ke aate hi munh par mire phooli hai basant ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aaya ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna jab mire haath koi khaama-e-faulaad aaya eed hai qatl mira ahl-e-tamaasha ke li.e sab gale milne lage jab ki vo jallaad aaya chain karte hain vahaañ ranj uthaane waale kaam uqba men hamaara dil-e-naashaad aaya dii shab-e-wasl mo'azzin ne azaan pichhli raat haaye kam-bakht ko kis vaqt KHuda yaad aaya mire naale ne sunaai hai kharee kis kis ko munh farishton pe ye gustaakh ye azaad aaya gham-e-jaaved ne dii mujh ko mubaarakbaa dii jab suna ye ki unhen sheva-e-bedaad aaya main tamanna-e-shahaadat ka mazaa bhool gaya aaj is shauq se armaan se jallaad aaya shaadiyaana jo diya naala o shevan ne diya jab mulaqaat ko naashaad ki naashaad aaya leejie suniye ab afsaana-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aaya aap ki bazm men sab kuchh hai magar daagh nahin ham ko vo khaana-kharaab aaj bahut yaad aaya
Dagh Dehlvi
0 likes
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya
Dagh Dehlvi
1 likes
in aankhoñ ne kya kya tamasha na dekha haqeeqat men jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar vo dui uth gaii hai ki apna bhi saani na dekha na dekha un aankhoñ ke qurbaan jaaun jinhonne hazaaron hijaabo men parwaana dekha na himmat na qismat na dil hai na aañkhenna dhoondhaan paaya na samjha na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tune ye seena ye dil ye kaleja na dekha vo kab dekh saka hai us ki tajalli jis insaan ne apna hi jalwa na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahaan aa ke jo kuchh suna tha na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne vaala aisa na dekha gaya kaarwaan chhod kar mujh ko tanhaa zaraa mere aane ka rastaa na dekha tiri yaad hai ya hai teraa tasavvur kabhi daagh ko ham ne tanhaa na dekha
Dagh Dehlvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







