ghazalKuch Alfaaz

sadaaein dete hue aur KHaak udaate hue main apne aap se guzra hooñ tujh tak aate hue phir us ke baa'd zamaane ne mujh ko raund diya main gir pada tha kisi aur ko uthaate hue kahaanii khatm hui aur aisi khatm hui ki log rone lage taaliyan bajaate hue phir us ke baa'd ata ho gaii mujhe taaseer main ro pada tha kisi ko ghazal sunaate hue khareedna hai to dil ko khareed le fauran khilaune toot bhi jaate hain aazmaate hue tumhaara gham bhi kisi tifl-e-sheer-khaar sa hai ki oongh jaata hooñ main KHud use sulaate hue agar mile bhi to milta hai raah men faaris kahii se aate hue ya kahii ko jaate hue

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

More from Rehman Faris

yahii dua hai yahii hai salaam ishq ba-khair mire s abhii rufqa-e-kiraam ishq ba-khair dayaar-e-hijr ki sooni udaas galiyon men pukaarta hai koi subh-o-shaam ishq ba-khair main kar raha tha dua ki guzaarishein us se so kah gaii hai udaasi ki shaam ishq ba-khair bade ajeeb hain shahr-e-junoon ke baashinde hamesha kahte hain ba'd-az-salaam ishq ba-khair ye rah zaroor tumhaare hi ghar ko jaati hai likha hua hai yahaañ gaam gaam ishq ba-khair bayaan ki hai ghazal-waar daastaan-e-ishq so is kitaab ka rakha hai naam ishq ba-khair ufuq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi abhii mila hai udhar se payaam-e-ishq ba-khair

Rehman Faris

2 likes

nazar uthaaye to kya kya fasana banta hai sau peshe-e-yaar nigaahen jhuk aanaa banta hai vo laakh be-khabr-o-be-wafa sahi lekin talab kiya hai gar us ne to j aanaa banta hai ragon talak utar aayi hai zulmat-e-shab-e-gham so ab charaaghh nahin dil jalana banta hai paraai aag mira ghar jala rahi hai so ab KHamosh rahna nahin ghul mach aanaa banta hai qadam qadam pe tawazun ki baat mat kijeye ye may-kada hai yahaañ ladkhadana banta hai bichhadne waale tujhe kis tarah bataaun main ki yaad aanaa nahin teraa aanaa banta hai ye dekh kar ki tire aashiqon men main bhi hooñ jamaal-e-yaar tira muskurana banta hai junoon bhi sirf dikhaava hai vahshatein bhi galat deewana hai nahin faaris deewana banta hai

Rehman Faris

1 likes

mujhe garz hai sitaare na mahtaab ke saath chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam nibha rahe ho ta'alluq bade hisaab ke saath main is li.e nahin thakta tire ta'aqub se mujhe yaqeen hai ki paani bhi hai saraab ke saath sawaal-e-wasl pe inkaar karne waale sun sawaal khatm nahin hogaa is javaab ke saath KHamosh jheel ke paani men vo udaasi thii ki dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath jata diya ki mohabbat men gham bhi hote hain diya gulaab to kaañte bhi the gulaab ke saath main le udoonga tire khadd-o-khaal se ta'beerna dekh mirii taraf chashm-e-neem-khwaab ke saath are ye sirf bahaana hai baat karne ka mirii majaal ki jhagda karoon janab ke saath visaal-o-hijr ki sarhad pe jhut-pute men kahii vo be-hijaab hua tha magar hijaab ke saath shikasta aaina dekha phir apna dil dekha dikhaai dii mujhe taa'beer-e-KHvaab KHvaab ke saath vahaañ miloonga jahaan dono vaqt milte hain main kam-naseeb tire jaise kaamyaab ke saath dayaar-e-hijr ke roza-guzaar chahte hain ki roza khole tire aur sharaab-e-naab ke saath tum achchhii dost ho so meraa mashwara ye hai mila-jula na karo faaris'-e-kharaab ke saath

Rehman Faris

4 likes

KHaak udti hai raat-bhar mujh men kaun firta hai dar-b-dar mujh men mujh ko KHud men jagah nahin milti tu hai maujood is qadar mujh men mausam-e-giriya ek guzarish hai gham ke pakne talak thehar mujh men be-ghari ab mira muqaddar hai ishq ne kar liya hai ghar mujh men aap ka dhyaan KHoon ke maanind daudta hai idhar-udhar mujh men hausla ho to baat ban jaa.e hausla hi nahin magar mujh men

Rehman Faris

5 likes

main kaar-aamad hooñ ya be-kaar hooñ main magar ai yaar teraa yaar hooñ main jo dekha hai kisi ko mat bataana ilaaqe bhar men izzat-daar hooñ main KHud apni zaat ke armaaye men bhi sifar feesad ka hisse-daar hooñ main aur ab kyun bein karte aa ga.e hon kaha tha na bahut beemaar hooñ main mirii to saari duniya bas tumhi ho galat kya hai jo duniya-daar hooñ main kahaanii men jo hota hi nahin hai kahaanii ka vahii kirdaar hooñ main ye tay karta hai dastak dene vaala kahaan dar hooñ kahaan deewaar hooñ main koi samjhaaye mere dushmanon ko zaraa si dosti ki maar hooñ main mujhe patthar samajh kar pesh mat aa zaraa sa rahm kar jaan-daar hooñ main bas itnaa soch kar kijeye koi hukm badaa munh-zor khidmat-gaar hooñ main koi shak hai to be-shak aazma le tira hone ka da'we-daar hooñ main agar har haal men KHush rahna fan hai to phir sab se badaa fankaar hooñ main zamaana to mujhe kahtaa hai faaris magar faaris ka parda-daar hooñ main unhen khilna sikhaata hooñ main faaris gulaabon ka suhoolat-kaar hooñ main

Rehman Faris

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rehman Faris.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rehman Faris's ghazal.