safar men dhuup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhiid men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khvab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo kisi ke waste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Nida Fazli
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi
Nida Fazli
0 likes
jaane waalon se raabta rakhna dosto rasm-e-faatihah rakhna ghar ki ta'aamir chahe jaisi hous men rone ki kuchh jagah rakhna masjidein hain namaaziyo ke li.e apne ghar men kahii KHuda rakhna jism men failne laga hai shahar apni tanhaaiyaan bacha rakhna milna-julna jahaan zaroori hai milne-julne ka hausla rakhna umr karne ko hai pachaas ko paar kaun hai kis jagah pata rakhna
Nida Fazli
1 likes
chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain
Nida Fazli
0 likes
har ghadi KHud se uljhana hai muqaddar meraa main hi kashtii hooñ mujhi men hai samundar meraa kis se poochoon ki kahaan gum hooñ kaii barson se har jagah dhoondhta firta hai mujhe ghar meraa ek se ho ga.e mausamon ke chehre saare meri aankhoñ se kahii kho gaya manzar meraa muddatein beet gaiin KHvaab suhaana dekhe jaagta rehta hai har neend men bistar meraa aaina dekh ke niklaa tha main ghar se baahar aaj tak haath men mahfooz hai patthar meraa
Nida Fazli
1 likes
tu qareeb aa.e to qurbat ka yuñ izhaar karoon aaina saamne rakh kar tira deedaar karoon saamne tere karoon haar ka apni elaan aur akelaa men tiri jeet se inkaar karoon pahle sochun use phir us ki banaaun tasveer aur phir us men hi paida dar-o-deewar karoon mire qabze men na miTTi hai na baadal na hawa phir bhi chaahat hai ki har shaakh samar-baar karoon subh hote hi ubhar aati hai saalim ho kar vahii deewaar jise roz main mismar karoon
Nida Fazli
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







