saath manzil thii magar khauf-o-khatr aisa tha umr-bhar chalte rahe log safar aisa tha jab vo aa.e to main KHush bhi hua sharminda bhi meri taqdeer thii aisi mira ghar aisa tha hifz theen mujh ko bhi chehron ki kitaaben kya kya dil shikasta tha magar tez nazar aisa tha aag odhe tha magar baant raha tha saaya dhoop ke shahar men ik tanhaa shajar aisa tha log KHud apne charaaghon ko bujha kar soye shahar men tez hawaon ka asar aisa tha
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
More from Rahat Indori
ise saamaan-e-safar jaan ye jugnoo rakh le raah men teergii hogii mire aañsu rakh le tu jo chahe to tira jhooth bhi bik saka hai shart itni hai ki sone ki taraazu rakh le vo koi jism nahin hai ki use choo bhi saken haan agar naam hi rakhna hai to khushboo rakh le tujh ko an-dekhi bulan dii men safar karna hai ehtiyaatan mirii himmat mire baazu rakh le mirii KHvaahish hai ki aangan men na deewaar uthe mire bhaai mire hisse ki zameen tu rakh le
Rahat Indori
0 likes
mere ashkon ne kaii aankhoñ men jal-thal kar diya ek paagal ne bahut logon ko paagal kar diya apni palkon par saja kar mere aañsu aap ne raaste ki dhool ko aankhoñ ka kaajal kar diya main ne dil de kar use ki thii vafaa ki ibtidaus ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya ye hawaaein kab nigaahen fer len kis ko khabar shohraton ka takht jab toota to paidal kar diya devataaon aur khudaaon ki lagaaee aag ne dekhte hi dekhte bastii ko jungle kar diya zakham ki soorat nazar aate hain chehron ke nuqoosh ham ne aainon ko tahzeebon ka maqtal kar diya shahar men charcha hai aaKHir aisi ladki kaun hai jis ne achhe-khaase ik sha'ir ko paagal kar diya
Rahat Indori
8 likes
purane daanv par har din naye aañsu lagata hai vo ab bhi ik fate roomaal par khushboo lagata hai use kah do ki ye unchaaiyaan mushkil se milti hain vo suraj ke safar men mom ke baazu lagata hai main kaali raat ke tezaab se suraj banata hooñ mirii chadar men ye paivand ik jugnoo lagata hai yahaañ lachhman ki rekha hai na seeta hai magar phir bhi bahut phere hamaare ghar ke ik sadhu lagata hai namaazen mustaqil pahchaan ban jaati hai chehron ki tilak jis tarah maathe par koi hindu lagata hai na jaane ye anokha farq is men kis tarah aaya vo ab collar men phoolon ki jagah bichhoo lagata hai andhere aur ujaale men ye samjhauta zaroori hai nishaane ham lagaate hain thikaane tu lagata hai
Rahat Indori
4 likes
mere kaarobaar men sab ne badi imdaad ki daad logon ki gala apna ghazal ustaad ki apni saansen bech kar main ne jise aabaad ki vo gali jannat to ab bhi hai magar shaddaad ki umr bhar chalte rahe aankhoñ pe patti baandh kar zindagi ko dhoondhne men zindagi barbaad ki dastaanon ke sabhi kirdaar kam hone lage aaj kaaghaz chuntee phirti hai pari baghdaad ki ik sulagta cheekhta maahol hai aur kuchh nahin baat karte ho yagaana kis ameenabad ki
Rahat Indori
18 likes
apne deewar-o-dar se poochte hain ghar ke haalaat ghar se poochte hain kyun akelaa hain qafile waale ek ik hum-safar se poochte hain kya kabhi zindagi bhi dekhenge bas yahii umr-bhar se poochte hain jurm hai KHvaab dekhna bhi kya raat-bhar chashm-e-tar se poochte hain ye mulaqaat aaKHiri to nahin ham judaai ke dar se poochte hain zakham ka naam phool kaise pada tere dast-e-hunar se poochte hain kitne jungle hain in makaanon men bas yahii shahar bhar se poochte hain ye jo deewaar hai ye kis ki hai ham idhar vo udhar se poochte hain hain kaneezen bhi is mahal men kya shah-zaadon ke dar se poochte hain kya kahii qatl ho gaya suraj raat se raat-bhar se poochte hain kaun waaris hai chaanv ka aaKHir dhoop men hum-safar se poochte hain ye kinaare bhi kitne saada hain kashtiyon ko bhanwar se poochte hain vo guzarta to hogaa ab tanhaa ek ik raahguzaar se poochte hain
Rahat Indori
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rahat Indori.
Similar Moods
More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.







