ghazalKuch Alfaaz

shaair-e-fitrat hooñ jab bhi fikr farmaata hooñ main rooh ban kar zarre zarre men samaa jaata hooñ main aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hooñ main jaise har shay men kisi shay ki kamii paata hooñ main jis qadar afsaana-e-hasti ko doharaata hooñ main aur bhi be-gaana-e-hasti hua jaata hooñ main jab makaan-o-la-makaan sab se guzar jaata hooñ main allah allah tujh ko KHud apni jagah paata hooñ main teri soorat ka jo aaina use paata hooñ main apne dil par aap kya kya naaz farmaata hooñ main yak-b-yak ghabra ke jitni door hat aata hooñ main aur bhi us shokh ko nazdeek-tar paata hooñ main meri hasti shauq-e-paiham meri fitrat iztiraab koi manzil ho magar guzra chala jaata hooñ main haaye-ree majbooriyaan tark-e-mohabbat ke li.e mujh ko samjhaate hain vo aur un ko samjhaata hooñ main meri himmat dekhna meri tabeeyat dekhna jo suljh jaati hai gut thii phir se uljhaata hooñ main husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai apne hi qadmon ki KHud hi thokren khaata hooñ main teri mehfil tere jalwe phir taqaza kya zaroor le utha jaata hooñ zalim le chala jaata hooñ main ta-kuja ye parda-daari-ha-e-ishq-o-laaf-e-husn haan sambhal jaayen do-aalam hosh men aata hooñ main meri khaatir ab vo takleef-e-tajalli kyun karen apni gard-e-shauq men KHud hi chhupa jaata hooñ main dil mujassam sher-o-naghma vo saraapa rang-o-boo kya fazaayein hain ki jin men hal hua jaata hooñ main ta-kuja zabt-e-mohabbat ta-kuja dard-e-firaq rahm kar mujh par ki teraa raaz kahlaata hooñ main waah-re shauq-e-shahaadat koo-e-qaatil ki taraf gungunata raqs karta jhoomta jaata hooñ main ya vo soorat KHud jahaan-e-rang-o-boo mahkoom tha ya ye aalam apne saa.e se daba jaata hooñ main dekhna is ishq ki ye turfa-kaari dekhna vo jafaa karte hain mujh par aur sharmaata hooñ main ek dil hai aur toofaan-e-haawadis ai jigar ek sheesha hai ki har patthar se takraata hooñ main

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Jigar Moradabadi

kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen

Jigar Moradabadi

1 likes

ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha

Jigar Moradabadi

1 likes

be-kaif dil hai aur ji.e ja raha hooñ main khaali hai sheesha aur pi.e ja raha hooñ main paiham jo aah aah ki.e ja raha hooñ main daulat hai gham zakaat diye ja raha hooñ main majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhna jeena nahin qubool ji.e ja raha hooñ main vo dil kahaan hai ab ki jise pyaar keejie majbooriyaan hain saath diye ja raha hooñ main ruksat hui shabaab ke hamraah zindagi kehne ki baat hai ki ji.e ja raha hooñ main pahle sharaab zeest thii ab zeest hai sharaab koi pila raha hai pi.e ja raha hooñ main

Jigar Moradabadi

1 likes

jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega

Jigar Moradabadi

2 likes

vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye

Jigar Moradabadi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jigar Moradabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.