siine ke zakhm paanv ke chhale kahan gae ai husn tere chahne vaale kahan gae shanon ko chhin chhin ke phenka gaya kahan aine tod-phod ke daale kahan gae khalvat men raushni hai na mahfil men raushni ahl-e-vafa charaghh-e-vafa le kahan gae but-khane men bhi dher hain tukde haram men bhi jam-o-subu kahan the uchhale kahan gae ankhon se ansuon ko mili khaak men jagah paale kahan gae the nikale kahan gae barbad-e-rozgar hamara hi naam hai aaen tamasha dekhne vaale kahan gae chhupte gae dilon men vo ban kar ghhazal ke bol main dhundhta raha mire naale kahan gae uthte huon ko sab ne sahara diya 'kalim' girte hue ghharib sambhale kahan gae sine ke zakhm panw ke chhaale kahan gae ai husn tere chahne wale kahan gae shanon ko chhin chhin ke phenka gaya kahan aaine tod-phod ke dale kahan gae khalwat mein raushni hai na mahfil mein raushni ahl-e-wafa charagh-e-wafa le kahan gae but-khane mein bhi dher hain tukde haram mein bhi jam-o-subu kahan the uchhaale kahan gae aankhon se aansuon ko mili khak mein jagah pale kahan gae the nikale kahan gae barbaad-e-rozgar hamara hi nam hai aaen tamasha dekhne wale kahan gae chhupte gae dilon mein wo ban kar ghazal ke bol main dhundhta raha mere nale kahan gae uthte huon ko sab ne sahaara diya 'kalim' girte hue gharib sambhaale kahan gae
Related Ghazal
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
raat ko deep ki lo kam nahin rakhi jaati dhundh men roshni madhyam nahin rakhi jaati kaise dariyaa ki hifaazat tere jim men theharaau tujh se ik aankh agar nam nahin rakhi jaati isliye chhodkar jaane lage sab chaaragaraa zakhm se izzate marham nahin rakhi jaati aise kaise main tujhe chaahne lag jaaun bhala ghar ki buniyaad to yakdam nahin rakhi jaati
Tehzeeb Hafi
25 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
jab se usne kheecha hai khidki ka parda ek taraf uskaa kamra ek taraf hai baaki duniya ek taraf maine ab tak jitne bhi logon men KHud ko baanta hai bachpan se rakhta aaya hooñ teraa hissa ek taraf ek taraf mujhe jal dii hai uske dil men ghar karne ki ek taraf vo kar deta hai rafta rafta ek taraf yuñ to aaj bhi teraa dukh dil dahla deta hai lekin tujh se juda hone ke baad ka pehla hafta ek taraf uski aankhoñ ne mujhse meri khuddaari cheeni varna paanv ki thokar se kar deta tha main duniya ek taraf meri marzi thii main zarre chunta ya lahren chunta usne sehra ek taraf rakha aur dariyaa ek taraf
Tehzeeb Hafi
122 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
More from Kaleem Aajiz
meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche
Kaleem Aajiz
1 likes
mirii subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunchen mujhe dar ye hai buraai tire naam tak na pahunchen mire paas kya vo aate mira dard kya mitaate mira haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunchen ho kisi ka mujh pe ehsaan ye nahin pasand mujh ko tiri subh ki tajalli mirii shaam tak na pahunchen tiri be-rukhi pe zalim mira jee ye chahta hai ki vafaa ka mire lab par kabhi naam tak na pahunchen main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hooñ vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunchen vo sanam bigad ke mujh se mira kya bigaad lega kabhi raaz khol doon main to salaam tak na pahunchen mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan se kabhi daam tak na pahunchen unhen meherbaan samajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunchen hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunchen jise main ne jagmagaya usii anjuman men saaqi mira zikr tak na aa.e mira naam tak na pahunchen tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna main nahin hooñ door itnaa ki salaam tak na pahunchen
Kaleem Aajiz
0 likes
mujhe is ka koi gilaa nahin ki bahaar ne mujhe kya diya tiri aarzoo to nikaal dii tira hausla to badha diya go sitam ne tere har ik tarah mujhe na-umeed banaa diya ye mirii vafaa ka kamaal hai ki nibaah kar ke dikha diya koi bazm ho koi anjuman ye shi'aar apna qadeem hai jahaan raushni ki kamii mili wahin ik charaaghh jala diya tujhe ab bhi mere khuloos ka na yaqeen aa.e to kya karoon tire gesuon ko sanwaar kar tujhe aaina bhi dikha diya mirii shaay'ri men tire siva koi maajra hai na muddaa jo tiri nazar ka fasana tha vo mirii ghazal ne suna diya ye gareeb aziz'-e-be-watan ye ghubaar-e-khaatir-e-anjuman ye KHaraab jis ke li.e hua usii bevafaa ne bhula diya
Kaleem Aajiz
0 likes
dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka
Kaleem Aajiz
0 likes
har chot pe pooche hai bataa yaad rahegi ham ko ye zamaane ki ada yaad rahegi din raat ke aañsu sehar o shaam ki aahen is baagh ki ye aab-o-hawa yaad rahegi kis dhoom se badhti hui pahunchee hai kahaan tak duniya ko tiri zulf-e-rasa yaad rahegi karte rahenge tum se mohabbat bhi vafaa bhi go tum ko mohabbat na vafaa yaad rahegi kis baat ka tu qaul-o-qasam le hai brahman har baat buton ki b-khuda yaad rahegi chalte ga.e ham phool banaate ga.e chaale sehra ko mirii laghizish-e-paa yaad rahegi jis bazm men tum jaaoge us bazm ko aajiz ye guftugoo-e-be-sar-o-pa yaad rahegi
Kaleem Aajiz
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaleem Aajiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.







