ghazalKuch Alfaaz

tera chehra kitna suhana lagta hai tere aage chand purana lagta hai tirchhe tirchhe tiir nazar ke lagte hain sidha sidha dil pe nishana lagta hai aag ka kya hai pal do pal men lagti hai bujhte bujhte ek zamana lagta hai paanv na bandha panchhi ka par bandha aaj ka bachcha kitna siyana lagta hai sach to ye hai phuul ka dil bhi chhalni hai hansta chehra ek bahana lagta hai sunne vaale ghanton sunte rahte hain mera fasana sab ka fasana lagta hai 'kaif' bata kya teri ghhazal men jaadu hai bachcha bachcha tera divana lagta hai tera chehra kitna suhana lagta hai tere aage chand purana lagta hai tirchhe tirchhe tir nazar ke lagte hain sidha sidha dil pe nishana lagta hai aag ka kya hai pal do pal mein lagti hai bujhte bujhte ek zamana lagta hai panw na bandha panchhi ka par bandha aaj ka bachcha kitna siyana lagta hai sach to ye hai phul ka dil bhi chhalni hai hansta chehra ek bahana lagta hai sunne wale ghanton sunte rahte hain mera fasana sab ka fasana lagta hai 'kaif' bata kya teri ghazal mein jadu hai bachcha bachcha tera diwana lagta hai

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Kaif Bhopali

salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaa.e siyaahi KHoon ban jaa.e qalam talwaar ho jaa.e zamaane se kaho kuchh saiqaa-raftaar ho jaa.e hamaare saath chalne ke li.e taiyyaar ho jaa.e zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mira deedaar ho jaa.e vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaa.e mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana ham nigaahen daal den jis par vahii sarkaar ho jaa.e

Kaif Bhopali

1 likes

haaye logon ki karam-farmaiyaan tohmaten badnaamiyaan ruswaaiyaan zindagi shaayad isee ka naam hai dooriyaan majbooriyaan tanhaaiyaan kya zamaane men yuñ hi kattee hai raat karvatein betaabiyaan angadaaiyaan kya yahii hoti hai shaam-e-intizaar aahaten ghabrahaten parchaaiyaan ek rind-e-mast ki thokar men hain shaahiyaan sultaaniyaan daraaiyaan ek paikar men simat kar rah gaiin khoobiyaan zebaaiyaan raanaaiyaan rah gaiin ik tifl-e-maktab ke huzoor hikmaten aagaahiyaan danaaiyan zakham dil ke phir hare karne lagin badliyaan barkha rutein purvaaiyaan deeda-o-daanista un ke saamne laghzishein naakaamiyaan paspaa-iyaan mere dil ki dhadkano men dhal gaiin choodiyaan mausiqiyaan shehnaaiyaan un se mil kar aur bhi kuchh badh gaiin uljhane fikren qayaas-aaraaiyaan kaif paida kar samundar ki tarah wusaaten khaamoshiyaan gehraaiyaan

Kaif Bhopali

2 likes

na aaya mazaa shab ki tanhaaiyon men sehar ho gaii chand angadaaiyon men na rangeeniyon men na raanaaiyon men nazar ghir gaii apni parchaaiyon men mujhe muskuraa muskuraa kar na dekho mire saath tum bhi ho rusvaaiyon men ghazab ho gaya un ki mehfil se aanaa ghira ja raha hooñ tamaashaaiyon men mohabbat hai ya aaj tark-e-mohabbat zaraa mil to jaayen vo tanhaaiyon men idhar aao tum ko nazar lag na jaa.e chhupa luun tumhein dil ki gahraaiyon men are sunne waalo ye nag men nahin hain mire dil ki cheekhen hain shehnaaiyon men vo ai kaif jis din se mire hue hain to saara zam aanaa hai shaidaaiyon men

Kaif Bhopali

2 likes

thoda sa aks chaand ke paikar men daal de tu aa ke jaan raat ke manzar men daal de jis din mirii jabeen kisi dahleez par jhukeus din KHuda shigaaf mire sar men daal de allah tere saath hai mallaah ko na dekh ye tooti footi naav samundar men daal de aa tere maal o zar ko main taqdees bakhsh doon la apna maal o zar mirii thokar men daal de bhag aise rehnuma se jo lagta hai khizr sa jaane ye kis jagah tujhe chakkar men daal de is se tire makaan ka manzar hai bad-numa chingaari mire foos ke chappar men daal de main ne panaah dii tujhe baarish ki raat men tu jaate jaate aag mire ghar men daal de ai kaif jaagte tujhe pichhla pahar hua ab laash jaise jism ko bistar men daal de

Kaif Bhopali

2 likes

tum se na mil ke KHush hain vo daava kidhar gaya do roz men gulaab sa chehra utar gaya jaan-e-bahaar tum ne vo kaañte chubhoye hain main har gul-e-shagufta ko choone se dar gaya is dil ke tootne ka mujhe koi gham nahin achha hua ki paap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha hooñ ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mira kaif mar gaya

Kaif Bhopali

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaif Bhopali.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaif Bhopali's ghazal.