tere aane ki jab khabar mahke teri khushbu se saara ghar mahke shaam mahke tire tasavvur se shaam ke baad phir sahar mahke raat bhar sochta raha tujh ko zehn-o-dil mere raat bhar mahke yaad aae to dil munavvar ho diid ho jaae to nazar mahke vo ghadi-do-ghadi jahan baithe vo zamin mahke vo shajar mahke tere aane ki jab khabar mahke teri khushbu se sara ghar mahke sham mahke tere tasawwur se sham ke baad phir sahar mahke raat bhar sochta raha tujh ko zehn-o-dil mere raat bhar mahke yaad aae to dil munawwar ho did ho jae to nazar mahke wo ghadi-do-ghadi jahan baithe wo zamin mahke wo shajar mahke
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
More from Nawaz Deobandi
leke maazi ko jo haal aaya to dil kaanp gaya jab kabhi unka khayal aaya to dil kaanp gaya aisa toda tha muhabbat men kisi ne dil ko jab kisi sheeshe men baal aaya to dil kaanp gaya sar bulan dii pe to maghroor the ham bhi lekin chadhte suraj pe zawaal aaya to dil kaanp gaya badnazar uthne hi waali thii kisi ki jaanib apne beti ka khayal aaya to dil kaanp gaya
Nawaz Deobandi
7 likes
vahaañ kaise koii diya jale jahaan door tak ye hawa na ho unhen haal-e-dil na sunaaiye jinhen dard-e-dil ka pata na ho hon ajab tarah kii shikaayaten hon ajab tarah kii inaayaten tujhe mujh se shikwe hazaar hon mujhe tujh se koii gilaa na ho koii aisa she'r bhi de KHuda jo tiri ata ho tiri ata kabhi jaisa main ne kaha na ho kabhi jaisa main ne suna na ho na diye ka hai na hawa ka hai yahaañ jo bhi kuchh hai KHuda ka hai yahaañ aisa koii diya nahin jo jala ho aur vo bujha na ho main mareez-e-ishq hooñ chaaragar tu hai dard-e-ishq se be-KHabar ye tadap hi us ka ilaaj hai ye tadap na ho to shifa na ho
Nawaz Deobandi
5 likes
KHud ko kitna chhota karna padta hai bete se samjhauta karna padta hai jab aulaaden naalaayaq ho jaati hain apne u uupar ghussa karna padta hai sachchaai ko apnaana aasaan nahin duniya bhar se jhagda karna padta hai jab saare ke saare hi beparda hon aise men KHud parda karna padta hai pyaason ki bastii men shole bharka kar phir paani ko mehnga karna padta hai hañs kar apne chahre ki har silvat par sheeshe ko sharminda karna padta hai
Nawaz Deobandi
2 likes
manzil pe na pahunchen use rastaa nahin kahte do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte ik ham hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna ik tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte kam-himmati khatra hai samundar ke safar men toofaan ko ham dosto khatra nahin kahte ban jaa.e agar baat to sab kahte hain kya kya aur baat bigad jaa.e to kya kya nahin kahte
Nawaz Deobandi
33 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nawaz Deobandi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nawaz Deobandi's ghazal.







