teri surat ko dekhta huun main us ki qudrat ko dekhta huun main jab hui subh aa gae naseh unhin hazrat ko dekhta huun main vo musibat suni nahin jaati jis musibat ko dekhta huun main dekhne aae hain jo meri nabz un ki surat ko dekhta huun main maut mujh ko dikhai deti hai jab tabiat ko dekhta huun main shab-e-furqat utha utha kar sar subh-e-ishrat ko dekhta huun main duur baitha hua sar-e-mahfil rang-e-sohbat ko dekhta huun main har musibat hai be-maza shab-e-ghham aafat aafat ko dekhta huun main na mohabbat ko jante ho tum na muravvat ko dekhta huun main koi dushman ko yuun na dekhega jaise qismat ko dekhta huun main hashr men 'daghh' koi dost nahin saari khilqat ko dekhta huun main teri surat ko dekhta hun main us ki qudrat ko dekhta hun main jab hui subh aa gae naseh unhin hazrat ko dekhta hun main wo musibat suni nahin jati jis musibat ko dekhta hun main dekhne aae hain jo meri nabz un ki surat ko dekhta hun main maut mujh ko dikhai deti hai jab tabiat ko dekhta hun main shab-e-furqat utha utha kar sar subh-e-ishrat ko dekhta hun main dur baitha hua sar-e-mahfil rang-e-sohbat ko dekhta hun main har musibat hai be-maza shab-e-gham aafat aafat ko dekhta hun main na mohabbat ko jaante ho tum na murawwat ko dekhta hun main koi dushman ko yun na dekhega jaise qismat ko dekhta hun main hashr mein 'dagh' koi dost nahin sari khilqat ko dekhta hun main
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Dagh Dehlvi
ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii
Dagh Dehlvi
1 likes
kaun sa taair-e-gum-gashta use yaad aaya dekhta bhaalta har shaakh ko sayyaad aaya mire qaabu men na paharon dil-e-naashaad aaya vo mira bhoolne vaala jo mujhe yaad aaya koi bhoola hua andaaz-e-sitam yaad aaya ki tabassum tujhe zalim dam-e-bedaad aaya laaye hain log janaaze ki tarah mahshar men kis museebat se tira kushta-e-bedaad aaya jazb-e-wahshat tire qurbaan tira kya kehna khinch ke rag rag men mire nashtar-e-fassaad aaya us ke jalwe ko garz kaun-o-makaan se kya tha daad lene ke li.e husn-e-khuda-daad aaya bastiyon se yahii awaaz chali aati hai jo kiya tu ne vo aage tire farhaad aaya dil-e-veeraan se raqeebon ne muraadein paai kaam kis kis ke mira khirman-e-barbaad aaya ishq ke aate hi munh par mire phooli hai basant ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aaya ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna jab mire haath koi khaama-e-faulaad aaya eed hai qatl mira ahl-e-tamaasha ke li.e sab gale milne lage jab ki vo jallaad aaya chain karte hain vahaañ ranj uthaane waale kaam uqba men hamaara dil-e-naashaad aaya dii shab-e-wasl mo'azzin ne azaan pichhli raat haaye kam-bakht ko kis vaqt KHuda yaad aaya mire naale ne sunaai hai kharee kis kis ko munh farishton pe ye gustaakh ye azaad aaya gham-e-jaaved ne dii mujh ko mubaarakbaa dii jab suna ye ki unhen sheva-e-bedaad aaya main tamanna-e-shahaadat ka mazaa bhool gaya aaj is shauq se armaan se jallaad aaya shaadiyaana jo diya naala o shevan ne diya jab mulaqaat ko naashaad ki naashaad aaya leejie suniye ab afsaana-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aaya aap ki bazm men sab kuchh hai magar daagh nahin ham ko vo khaana-kharaab aaj bahut yaad aaya
Dagh Dehlvi
0 likes
dil ko kya ho gaya KHuda jaane kyun hai aisa udaas kya jaane apne gham men bhi us ko sarfaa haina khila jaane vo na kha jaane is tajaahul ka kya thikaana hai jaan kar jo na muddaa jaane kah diya main ne raaz-e-dil apnaus ko tum jaano ya KHuda jaane kya garz kyun idhar tavajjoh ho haal-e-dil aap ki bala jaane jaante jaante hi jaanega mujh men kya hai abhii vo kya jaane kya ham us bad-gumaan se baat karen jo sataish ko bhi gilaa jaane tum na paoge saada-dil mujh sa jo taghaaful ko bhi haya jaane hai abas jurm-e-ishq par ilzaam jab khata-waar bhi KHataa jaane nahin kotaah daaman-e-ummeed aage ab dast-e-na-rasa jaane jo ho achha hazaar achhon ka wa'iz us but ko tu bura jaane ki mirii qadr misl-e-shaah-e-dakan kisi nawwaab ne na raja ne us se utthegi kya museebat-e-ishq ibtida ko jo intiha jaane daagh se kah do ab na ghabraao kaam apna bataa hua jaane
Dagh Dehlvi
2 likes
raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men
Dagh Dehlvi
1 likes
baaki jahaan men qais na farhaad rah gaya afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyo men bhi azaad rah gaya chashm-e-sanam ne yuñ to bigaade hazaar ghar ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar men ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka jo bhoolna tha mujh ko vahii yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagii jaan muft haath teri girah men kya dil-e-naashaad rah gaya pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya yuñ aankh un ki kar ke ishaara palat gaii goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya hain tere dil men sab ke thikaane bure bhale main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya vo din ga.e ki thii mire seene men kuchh kharaash ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya ai daagh dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya
Dagh Dehlvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







