tha mustaar husn se us ke jo nuur tha khurshid men bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek naale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke taiin malum ab hua ki bahut main bhi duur tha atish buland dil ki na thi varna ai kalim yak shoala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis men raat ek tire partave baghhair kya shama kya patang har ik be-huzur tha us fasl men ki gul ka gareban bhi hai hava divana ho gaya so bahut zi-shuur tha munim ke paas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar gai jo uur tha ham khaak men mile to mile lekin ai siphar us shokh ko bhi raah pe laana zarur tha kal paanv ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar vo ustukhvan shikaston se chuur tha kahne laga ki dekh ke chal raah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghhurur tha tha vo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin men 'mir' samjhe na ham to fahm ka apni qusur tha tha mustaar husn se us ke jo nur tha khurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek nale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain malum ab hua ki bahut main bhi dur tha aatish buland dil ki na thi warna ai kalim yak shoala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis mein raat ek tere partawe baghair kya shama kya patang har ek be-huzur tha us fasl mein ki gul ka gareban bhi hai hawa diwana ho gaya so bahut zi-shuur tha munim ke pas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar gai jo ur tha hum khak mein mile to mile lekin ai siphar us shokh ko bhi rah pe lana zarur tha kal panw ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar wo ustukhwan shikaston se chur tha kahne laga ki dekh ke chal rah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghurur tha tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein 'mir' samjhe na hum to fahm ka apni qusur tha
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Meer Taqi Meer
kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki
Meer Taqi Meer
0 likes
mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa
Meer Taqi Meer
0 likes
mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
dekhega jo tujh ro ko so hairaan rahega waabasta tire moo ka pareshaan rahega vaa'da to kiya is se dam-e-subh ka lekinus dam tai mujh men bhi agar jaan rahega muna'im ne banaa zulm ki rakh ghar to banaya par aap koi raat hi mehmaan rahega chhootoon kahii eeza se laga ek hi jallaad ta-hashr mire sar pe ye ehsaan rahega chimte rahenge dast-e-mohabbat men sar-o-tegh mahshar tai khaali na ye maidaan rahega jaane ka nahin shor sukhun ka mire hargiz ta-hashr jahaan men mira deevaan rahega dil dene ki aisi harkat un ne nahin ki jab tak jiyega meer pashemaan rahega
Meer Taqi Meer
0 likes
khush-qadaan jab sawaar hote hain sarv-o-qumri shikaar hote hain tere baalon ke wasf men mere she'r sab paechdaar hote hain aao yaad-e-butaan pa bhool na jaao ye taghaful-shiaar hote hain dekh levengay gair ko tujh paaas sohbaton men bhi yaar hote hain sadqe ho leven ek-dam tere paahir to tujh paar nisaar hote hain tu kare hai qaraar milne ka ham abhii be-qaraar hote hain haft-iqleem har gali hai kahii dilli se bhi dayaar hote hain rafta rafta ye tifl-e-khush-zaahir fitna-e-rozgaar hote hain us ke nazdeek kuchh nahin izzat meer'-ji yuñ hi khwaar hote hain
Meer Taqi Meer
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







