ghazalKuch Alfaaz

tukde nahin hain ansuon men dil ke chaar panch surkhab baithe paani men hain mil ke chaar panch munh khole hain ye zakhm jo bismil ke chaar panch phir lenge bose khanjar-e-qatil ke chaar panch kahne hain matlab un se hamen dil ke chaar panch kya kahiye ek munh hain vahan mil ke chaar panch dariya men gir pada jo mira ashk ek garm but-khane lab pe ho gae sahil ke chaar panch do-char lashe ab bhi pade tere dar pe hain aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar panch rahen hain do majaz o haqiqat hai jin ka naam raste nahin hain ishq ki manzil ke chaar panch ranj o ta'ab musibat o ghham yaas o dard o daaghh aah o fughhan rafiq hain ye dil ke chaar panch do tiin jhatke duun juun hi vahshat ke zor men zindan men tukde hoven salasil ke chaar panch farhad o qais o vamiq o azra the chaar dost ab ham bhi aa mile to hue mil ke chaar panch naaz o ada o ghhamza nigah panja-e-mizha maren hain ek dil ko ye pil pil ke chaar panch iima hai ye ki devenge nau din ke baa'd dil likh bheje khat men sher jo be-dil ke chaar panch hiire ke nau-ratan nahin tere hue hain jam' ye chandni ke phuul magar khil ke chaar panch mina-e-nuh-falak hai kahan bada-e-nashat shishe hain ye to zahr-e-halahal ke chaar panch nakhun karen hain zakhmon ko do do mila ke ek the aath das so ho gae ab chhil ke chaar panch gar anjum-e-falak se bhi tadad kijiye niklen ziyada daaghh mire dil ke chaar panch maren jo sar pe sil ko utha kar qalaq se ham das panch tukde sar ke hon aur sil ke chaar panch maan ai 'zafar' tu panj-tan o char-yar ko hain sadr-e-din ki yahi mahfil ke chaar panch tukde nahin hain aansuon mein dil ke chaar panch surkhab baithe pani mein hain mil ke chaar panch munh khole hain ye zakhm jo bismil ke chaar panch phir lenge bose khanjar-e-qatil ke chaar panch kahne hain matlab un se hamein dil ke chaar panch kya kahiye ek munh hain wahan mil ke chaar panch dariya mein gir pada jo mera ashk ek garm but-khane lab pe ho gae sahil ke chaar panch do-chaar lashe ab bhi pade tere dar pe hain aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar panch rahen hain do majaz o haqiqat hai jin ka nam raste nahin hain ishq ki manzil ke chaar panch ranj o ta'ab musibat o gham yas o dard o dagh aah o fughan rafiq hain ye dil ke chaar panch do tin jhatke dun jun hi wahshat ke zor mein zindan mein tukde howen salasil ke chaar panch farhad o qais o wamiq o azra the chaar dost ab hum bhi aa mile to hue mil ke chaar panch naz o ada o ghamza nigah panja-e-mizha maren hain ek dil ko ye pil pil ke chaar panch ima hai ye ki dewenge nau din ke ba'd dil likh bheje khat mein sher jo be-dil ke chaar panch hire ke nau-ratan nahin tere hue hain jam' ye chandni ke phul magar khil ke chaar panch mina-e-nuh-falak hai kahan baada-e-nashat shishe hain ye to zahr-e-halahal ke chaar panch nakhun karen hain zakhmon ko do do mila ke ek the aath das so ho gae ab chhil ke chaar panch gar anjum-e-falak se bhi tadad kijiye niklen ziyaada dagh mere dil ke chaar panch maren jo sar pe sil ko utha kar qalaq se hum das panch tukde sar ke hon aur sil ke chaar panch man ai 'zafar' tu panj-tan o chaar-yar ko hain sadr-e-din ki yahi mahfil ke chaar panch

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

More from Bahadur Shah Zafar

ham ne tiri khaatir se dil-e-zaar bhi chhodaa tu bhi na hua yaar aur ik yaar bhi chhodaa kya hogaa rafoogar se rafu meraa garebaan ai dast-e-junoon tu ne nahin taar bhi chhodaa deen de ke gaya kufr ke bhi kaam se ''aashiq tasbeeh ke saath us ne to zunnar bhi chhodaa goshe men tiri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khaana-e-khummaar bhi chhodaa is se hai ghareebon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo maara to na zardaar bhi chhodaa tedhe na ho ham se rakho ikhlaas to seedha tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhi chhodaa kya chhodein aseeraan-e-mohabbat ko vo jis ne sadqe men na ik murgh-e-giriftaar bhi chhodaa pahunchee mirii ruswaai ki kyunkar khabar us kous shokh ne to dekhna akhbaar bhi chhodaa karta tha jo yaa aane ka jhoota kabhi iqaar muddat se zafar us ne vo iqaar bhi chhodaa

Bahadur Shah Zafar

0 likes

kyunkar na khaaksaar rahen ahl-e-keen se door dekho zameen falak se falak hai zameen se door parwaana wasl-e-sham'a pe deta hai apni jaañ kyunkar rahe dil us ke rukh-e-aatishi se door majmoo-e-wasl-wa-hijr jo naa men men hai raqam hai harf bhi kahii se mile aur kahii se door go teer-e-be-gumaan hai mire paas par abhii jaa.e nikal ke seena-e-charkh-e-bareen se door vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas lekin hamesha bhaagte ho tum humeen se door hairaan hooñ ki us ke muqaabil ho aaina jo pur-ghuroor khinchta hai maah-e-mubeen se door yaa tak adoo ka paas hai un ko ki bazm men vo baithe bhi hain to mire hum-nasheen se door manzoor ho jo deed tujhe dil ki aankh se pahunchen tiri nazar nigah-e-door-been se door duniya-e-doo ki de na mohabbat KHuda zafar insaan ko fenk de hai ye eimaan o deen se door

Bahadur Shah Zafar

1 likes

jigar ke tukde hue jal ke dil kebab hua ye ishq jaan ko mere koi azaab hua kiya jo qatl mujhe tum ne khoob kaam kiya ki main azaab se chhoota tumhein savaab hua kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida garz ki roz naya ik mujhe khitaab hua piyuun na rashk se khun kyunki dam-b-dam apna ki saath gair ke vo aaj ham-sharaab hua tumhaare lab ke lab-e-jaam ne li.e bose lab apne kaata kiya main na kaamyaab hua gali gali tiri khaatir fira ba-chashm-e-pur-aab laga ke tujh se dil apna bahut KHaraab hua tiri gali men bahaaye phire hai sail-e-sarishk hamaara kaasa-e-sar kya hua habaab hua jawaab-e-khat ke na likhne se ye hua maaloom ki aaj se ha men ai nama-bar javaab hua mangaaee thii tiri tasveer dil ki taskin ko mujhe to dekhte hi aur iztiraab hua sitam tumhaare bahut aur din hisaab ka ek mujhe hai soch ye hi kis tarah hisaab hua zafar badal ke radif aur tu ghazal vo suna ki jis ka tujh se har ik she'r intikhaab hua

Bahadur Shah Zafar

1 likes

bharii hai dil men jo hasrat kahooñ to kis se kahooñ sune hai kaun museebat kahooñ to kis se kahooñ jo tu ho saaf to kuchh main bhi saaf tujh se kahooñ tere hai dil men kudoorat kahooñ to kis se kahooñ na kohkan hai na majnoon ki the mere hamdard main apna dard-e-mohabbat kahooñ to kis se kahooñ dil us ko aap diya aap hi pashemaan hooñ ki sach hai apni nadaamat kahooñ to kis se kahooñ kahooñ main jis se use hove sunte hi vehshat phir apna qissa-e-vahshat kahooñ to kis se kahooñ raha hai tu hi to gham-khwaar ai dil-e-ghamgeen tere siva gham-e-furqat kahooñ to kis se kahooñ jo dost ho to kahooñ tujh se dosti kii baat tujhe to mujh se adavat kahooñ to kis se kahooñ na mujh ko kehne kii taqat kahooñ to kya ahvaalna us ko sunne kii fursat kahooñ to kis se kahooñ kisi ko dekhta itnaa nahin haqeeqat men zafr main apni haqeeqat kahooñ to kis se kahooñ

Bahadur Shah Zafar

0 likes

itnaa na apne jaa men se baahar nikal ke chal duniya hai chal-chalaav ka rastaa sambhal ke chal auron ke bal pe bal na kar itnaa na chal nikal bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal insaan ko kal ka putla banaya hai us ne aap aur aap hi vo kahtaa hai putle ko kal ke chal phir aañkhen bhi to deen hain ki rakh dekh kar qadam kahtaa hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal kya chal sakega ham se ki pahchaante hain ham tu laakh apni chaal ko zalim badal ke chal hai shama sar ke bal jo mohabbat men garm ho parwaana apne dil se ye kahtaa hai jal ke chal bulbul ke hosh nikhat-e-gul ki tarah uda gulshan men mere saath zaraa itr mal ke chal gar qasd soo-e-dil hai tira ai nigah-e-yaar do-chaar teer paik se aage ajal ke chal jo imtihaan-e-tabah kare apna ai zafar to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal

Bahadur Shah Zafar

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bahadur Shah Zafar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bahadur Shah Zafar's ghazal.