ghazalKuch Alfaaz

tum aina hi na har baar dekhte jaao miri taraf bhi to sarkar dekhte jaao na jaao hal-e-dil-e-zar dekhte jaao ki ji na chahe to na-char dekhte jaao bahar-e-umr men baghh-e-jahan ki sair karo khila hua hai ye gulzar dekhte jaao yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jaao uthao aankh na sharmao ye to mahfil hai ghhazab se janib-e-aghhyar dekhte jaao nahin hai jins-e-vafa ki tumhen jo qadr na ho banenge kitne kharidar dekhte jaao tumhen ghharaz jo karo rahm paemalon par tum apni shokhi-e-raftar dekhte jaao qasam bhi khaai thi quran bhi uthaya tha phir aaj hai vahi inkar dekhte jaao ye shamat aai ki us ki gali men dil ne kaha khula hai rauzan-e-divar dekhte jaao hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga fughhan men hashr ke asar dekhte jaao shab-e-visal adu ki yahi nishani hai nishan-e-bosa-e-rukhsar dekhte jaao tumhari aankh mire dil se le sabab be-vajh hui hai ladne ko tayyar dekhte jaao idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zahid yahin hai khana-e-khummar dekhte jaao raqib barsar-e-parkhash ham se hota hai badhegi muft men takrar dekhte jaao nahin hain jurm-e-mohabbat men sab ke sab mulzim khata muaaf khata-var dekhte jaao dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi naya hai shoabada har baar dekhte jaao bana diya miri chahat ne ghhairat-e-yusuf tum apni garmi-e-bazar dekhte jaao na jaao band kiye aankh rah-ravan-e-adam idhar udhar bhi khabar-dar dekhte jaao suni-sunai pe hargiz kabhi amal na karo hamare haal ke akhbar dekhte jaao koi na koi har ik sher men hai baat zarur janab-e-'daghh' ke ashar dekhte jaao tum aaina hi na har bar dekhte jao meri taraf bhi to sarkar dekhte jao na jao haal-e-dil-e-zar dekhte jao ki ji na chahe to na-chaar dekhte jao bahaar-e-umr mein bagh-e-jahan ki sair karo khila hua hai ye gulzar dekhte jao yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jao uthao aankh na sharmao ye to mahfil hai ghazab se jaanib-e-aghyar dekhte jao nahin hai jins-e-wafa ki tumhein jo qadr na ho banenge kitne kharidar dekhte jao tumhein gharaz jo karo rahm paemalon par tum apni shokhi-e-raftar dekhte jao qasam bhi khai thi quran bhi uthaya tha phir aaj hai wahi inkar dekhte jao ye shamat aai ki us ki gali mein dil ne kaha khula hai rauzan-e-diwar dekhte jao hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga fughan mein hashr ke aasar dekhte jao shab-e-visal adu ki yahi nishani hai nishan-e-bosa-e-rukhsar dekhte jao tumhaari aankh mere dil se le sabab be-wajh hui hai ladne ko tayyar dekhte jao idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zahid yahin hai khana-e-khummar dekhte jao raqib barsar-e-parkhash hum se hota hai badhegi muft mein takrar dekhte jao nahin hain jurm-e-mohabbat mein sab ke sab mulzim khata muaf khata-war dekhte jao dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi naya hai shoabada har bar dekhte jao bana diya meri chahat ne ghairat-e-yusuf tum apni garmi-e-bazar dekhte jao na jao band kiye aankh rah-rawan-e-adam idhar udhar bhi khabar-dar dekhte jao suni-sunai pe hargiz kabhi amal na karo hamare haal ke akhbar dekhte jao koi na koi har ek sher mein hai baat zarur janab-e-'dagh' ke ashaar dekhte jao

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

More from Dagh Dehlvi

ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii

Dagh Dehlvi

1 likes

raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men

Dagh Dehlvi

1 likes

khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya

Dagh Dehlvi

1 likes

ye baat baat men kya nazuki nikalti hai dabii dabii tire lab se hañsi nikalti hai thehar thehar ke jala dil ko ek baar na phoonk ki is men boo-e-mohabbat abhii nikalti hai bajaae shikwa bhi deta hooñ main dua us ko mirii zabaan se karoon kya yahii nikalti hai khushi men ham ne ye shokhi k abhii nahin dekhi dam-e-itaab jo rangat tiri nikalti hai hazaar baar jo maanga karo to kya haasil dua vahii hai jo dil se k abhii nikalti hai ada se teri magar khinch raheen hain talwaarein nigah nigah se chhuri par chhuri nikalti hai muheet-e-ishq men hai kya umeed o beem mujhe ki doob doob ke kashtii mirii nikalti hai jhalak rahi hai sar-e-shaakh-e-miza KHoon ki boond shajar men pahle samar se kali nikalti hai shab-e-firaq jo khole hain ham ne zakham-e-jigar ye intizaar hai kab chaandni nikalti hai samajh to leejie kehne to deejie matlab bayaañ se pahle hi mujh par chhuri nikalti hai ye dil ki aag hai ya dil ke noor ka hai zuhoor nafs nafs men mire raushni nikalti hai kaha jo main ne ki mar jaaunga to kahte hain hamaare zaiche men zindagi nikalti hai samajhne waale samjhte hain pech ki taqreer ki kuchh na kuchh tiri baaton men fee nikalti hai dam-e-akheer tasavvur hai kis paree-vash ka ki mirii rooh bhi ban kar pari nikalti hai sanam-kade men bhi hai husn ik khudaai ka ki jo nikalti hai soorat pari nikalti hai mire nikale na niklegi aarzoo mirii jo tum nikaalna chaaho abhii nikalti hai gham-e-firaq men ho daagh is qadar betaab zaraa se ranj men jaañ aap ki nikalti hai

Dagh Dehlvi

0 likes

gair ko munh laga ke dekh liya jhooth sach aazma ke dekh liya un ke ghar daagh ja ke dekh liya dil ke kehne men aa ke dekh liya kitnii farhat-faza thii boo-e-wafaus ne dil ko jala ke dekh liya kabhi ghash men raha shab-e-wa'da kabhi gardan utha ke dekh liya jins-e-dil hai ye vo nahin sauda har jagah se manga ke dekh liya log kahte hain chup lagii hai tujhe haal-e-dil bhi suna ke dekh liya jaao bhi kya karoge mehr-o-wafa baar-ha aazma ke dekh liya zakhm-e-dil men nahin hai qatra-e-khoon khoob ham ne dikha ke dekh liya idhar aaina hai udhar dil hai jis ko chaaha utha ke dekh liya un ko khilvat-sara men be-parda saaf maidaan pa ke dekh liya us ne subh-e-shab-e-visaal mujhe jaate jaate bhi aa ke dekh liya tum ko hai wasl-e-ghair se inkaar aur jo ham ne aa ke dekh liya daagh ne khoob aashiqi ka mazaa jal ke dekha jala ke dekh liya

Dagh Dehlvi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dagh Dehlvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.