ghazalKuch Alfaaz

tum itna jo muskura rahe ho kya ghham hai jis ko chhupa rahe ho ankhon men nami hansi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaenge zahr piite piite ye ashk jo piite ja rahe ho jin zakhmon ko vaqt bhar chala hai tum kyuun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho tum itna jo muskura rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhon mein nami hansi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaenge zahr pite pite ye ashk jo pite ja rahe ho jin zakhmon ko waqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se mat kha rahe ho

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua

Tehzeeb Hafi

183 likes

More from Kaifi Azmi

khaar-o-khas to uthe raasta to chale main agar thak gaya qaafila to chale chaand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam KHair bujhne do un ko hawa to chale haakim-e-shahr ye bhi koi shahar hai masjidein band hain may-kada to chale us ko mazhab kaho ya siyaasat kaho KHud-kushi ka hunar tum sikha to chale itni laashen main kaise utha paaooñga aap eenton ki hurmat bacha to chale belche laao kholo zameen ki taheen main kahaan dafn hooñ kuchh pata to chale

Kaifi Azmi

0 likes

tum itnaa jo muskuraa rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhoñ men nami hañsi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaayenge zahar peete peete ye ashk jo peete ja rahe ho jin zaKHmon ko vaqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho

Kaifi Azmi

4 likes

jo vo mire na rahe main bhi kab kisi ka raha bichhad ke un se saleeqa na zindagi ka raha labon se ud gaya jugnoo ki tarah naam us ka sahaara ab mire ghar men na raushni ka raha guzarne ko to hazaaron hi qafile guzre zameen pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha

Kaifi Azmi

4 likes

laai phir ik lagzish-e-mastaana tere shahar men phir banengi masjidein may-khaana tere shahar men aaj phir tootengi tere ghar ki naazuk khidkiyaan aaj phir dekha gaya deewaana tere shahar men jurm hai teri gali se sar jhuka kar lautna kufr hai pathraav se ghabraana tere shahar men shaah-naa men likkhe hain khandaraat ki har iint par har jagah hai dafn ik afsaana tere shahar men kuchh kaneezen jo hareem-e-naaz men hain baaryaab maangti hain jaan o dil nazraana tere shahar men nangi sadkon par bhatk kar dekh jab marti hai raat rengta hai har taraf veeraana tere shahar men

Kaifi Azmi

0 likes

shor yoonhi na parindon ne machaaya hogaa koi jungle ki taraf shahar se aaya hogaa ped ke kaatne waalon ko ye maaloom to tha jism jal jaayenge jab sar pe na saaya hogaa baani-e-jashn-e-bahaaraan ne ye socha bhi nahin kis ne kaanton ko lahu apna pilaaya hogaa bijli ke taar pe baitha hua hansta panchi sochta hai ki vo jungle to paraaya hogaa apne jungle se jo ghabra ke ude the pyaase har saraab un ko samundar nazar aaya hogaa

Kaifi Azmi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaifi Azmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaifi Azmi's ghazal.