ghazalKuch Alfaaz

tum se pahle vo jo ik shakhs yahan takht-nashin tha us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqin tha koi thahra ho jo logon ke muqabil to batao vo kahan hain ki jinhen naaz bahut apne taiin tha aaj soe hain tah-e-khak na jaane yahan kitne koi shola koi shabnam koi mahtab-jabin tha ab vo phirte hain isi shahr men tanha liye dil ko ik zamane men mizaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha chhodna ghar ka hamen yaad hai 'jalib' nahin bhule tha vatan zehn men apne koi zindan to nahin tha tum se pahle wo jo ek shakhs yahan takht-nashin tha us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqin tha koi thahra ho jo logon ke muqabil to batao wo kahan hain ki jinhen naz bahut apne tain tha aaj soe hain tah-e-khak na jaane yahan kitne koi shola koi shabnam koi mahtab-jabin tha ab wo phirte hain isi shahr mein tanha liye dil ko ek zamane mein mizaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha chhodna ghar ka hamein yaad hai 'jalib' nahin bhule tha watan zehn mein apne koi zindan to nahin tha

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

More from Habib Jalib

us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya

Habib Jalib

1 likes

phir dil se aa rahi hai sadaa us gali men chal shaayad mile ghazal ka pata us gali men chal kab se nahin hua hai koi she'r kaam ka ye she'r ki nahin hai fazaa us gali men chal vo baam o dar vo log vo rusvaaiyon ke zakham hain sab ke sab aziz juda us gali men chal us phool ke baghair bahut jee udaas hai mujh ko bhi saath le ke saba us gali men chal duniya to chahti hai yoonhi faasle rahen duniya ke mashwaron pe na ja us gali men chal be-noor o be-asar hai yahaañ ki sada-e-saaz tha us sukoot men bhi mazaa us gali men chal jaalib pukaarti hain vo shola-nawaiyaan ye sard rut ye sard hawa us gali men chal

Habib Jalib

2 likes

aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah

Habib Jalib

1 likes

kahii aah ban ke lab par tira naam aa na jaa.e tujhe be-vafa kahooñ main vo maqaam aa na jaa.e zaraa zulf ko sambhalo mira dil dhadak raha hai koi aur taair-e-dil tah-e-daam aa na jaa.e jise sun ke toot jaa.e mira aarzoo bhara dil tiri anjuman se mujh ko vo payaam aa na jaa.e vo jo manzilon pe la kar kisi hum-safar ko looten unhin rahzano men teraa kahii naam aa na jaa.e isee fikr men hain ghaltan ye nizaam-e-zar ke bande jo tamaam-e-zindagi hai vo nizaam aa na jaa.e ye mah o nujoom hañs len mire aañsuon pe jaalib mira mahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaa.e

Habib Jalib

0 likes

kuchh log khayaalon se chale jaayen to soyen beete hue din raat na yaad aayen to soyen chehre jo k abhii ham ko dikhaai nahin denge aa aa ke tasavvur men na tardpaayen to soyen barsaat ki rut ke vo tarab-rez manaazir seene men na ik aag si bharkaayen to soyen subhon ke muqaddar ko jagaate hue mukhde aanchal jo nigaahon men na leharaayen to soyen mehsoos ye hota hai abhii jaag rahe hain lahore ke sab yaar bhi so jaayen to soyen

Habib Jalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Habib Jalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.