ghazalKuch Alfaaz

tu apni avaz men gum hai main apni avaz men chup donon biich khadi hai duniya aina-e-alfaz men chup avval avval bol rahe the khvab-bhari hairani men phir ham donon chale gae patal se gahre raaz men chup khvab-sara-e-zat men zinda ek to surat aisi hai jaise koi devi baithi ho hujra-e-raz-o-niyaz men chup ab koi chhu ke kyuun nahin aata udhar sire ka jivan-ang jante hain par kya batlaen lag gai kyuun parvaz men chup phir ye khel-tamasha saara kis ke liye aur kyuun sahab jab is ke anjam men chup hai jab is ke aghhaz men chup nind-bhari ankhon se chuma diye ne suraj ko aur phir jaise shaam ko ab nahin jalna khinch li is andaz men chup ghhaib-samay ke gyaan men pagal kitni taan lagaega jitne sur hain saaz se bahar us se ziyada saaz men chup tu apni aawaz mein gum hai main apni aawaz mein chup donon bich khadi hai duniya aaina-e-alfaz mein chup awwal awwal bol rahe the khwab-bhari hairani mein phir hum donon chale gae patal se gahre raaz mein chup khwab-sara-e-zat mein zinda ek to surat aisi hai jaise koi dewi baithi ho hujra-e-raaz-o-niyaz mein chup ab koi chhu ke kyun nahin aata udhar sire ka jiwan-ang jaante hain par kya batlaen lag gai kyun parwaz mein chup phir ye khel-tamasha sara kis ke liye aur kyun sahab jab is ke anjam mein chup hai jab is ke aaghaz mein chup nind-bhari aankhon se chuma diye ne suraj ko aur phir jaise sham ko ab nahin jalna khinch li is andaz mein chup ghaib-samay ke gyan mein pagal kitni tan lagaega jitne sur hain saz se bahar us se ziyaada saz mein chup

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

More from Obaidullah Aleem

aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e

Obaidullah Aleem

1 likes

koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun

Obaidullah Aleem

1 likes

hijr karte ya koi vasl guzaara karte ham bahr-haal basar KHvaab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq men aayi thii ki ham KHaak ko haath lagaate to sitaara karte ab to mil jaao ha men tum ki tumhaari khaatir itni door aa ga.e duniya se kinaara karte mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazaara karte ek chehre men to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke li.e phir koi aa.e yahaañ kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere men diya aankh men KHvaab teri jaanib hi tire log ishaara karte zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan ham tire chehre se aaina sanwaara karte

Obaidullah Aleem

1 likes

vo raat be-panaah thii aur main gareeb tha vo jis ne ye charaaghh jalaya ajeeb tha vo raushni ki aankh uthaai nahin gaii kal mujh se meraa chaand bahut hi qareeb tha dekha mujhe to taba ravaan ho gaii mirii vo muskuraa diya to main shayar adeeb tha rakhta na kyun main rooh o badan us ke saamne vo yuñ bhi tha tabeeb vo yuñ bhi tabeeb tha har silsila tha us ka KHuda se mila hua chup ho ki lab-kusha ho bala ka khateeb tha mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath gulshan men naghma-sanj ajab andaleeb tha main bhi raha hooñ khalvat-e-jaanan men ek shaam ye KHvaab hai ya Vaaqaii main khush-naseeb tha harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke baab men KHud meraa tajurba hai vo be-had najeeb tha dekha hai us ko khilwat o jalvat men baar-ha vo aadmi bahut hi ajeeb-o-ghareeb tha likkho tamaam umr magar phir bhi tum aleemus ko dikha na paao vo aisa habeeb tha

Obaidullah Aleem

0 likes

banaa gulaab to kaañte chubha gaya ik shaKHs hua charaaghh to ghar hi jala gaya ik shaKHs tamaam rang mire aur saare KHvaab mire fasana the ki fasana banaa gaya ik shaKHs main kis hawa men udoon kis fazaa men lehraaoon dukhon ke jaal har ik soo bichha gaya ik shaKHs palat sakoon hi na aage hi badh sakoon jis par mujhe ye kaun se raaste laga gaya ik shaKHs mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal mirii hi tarah ka mujh men samaa gaya ik shaKHs mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use mile vo zakham ki phir yaad aa gaya ik shaKHs khula ye raaz ki aaina-khaana hai duniya aur us men mujh ko tamasha banaa gaya ik shaKHs

Obaidullah Aleem

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Obaidullah Aleem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.