ghazalKuch Alfaaz

us ne sukut-e-shab men bhi apna payam rakh diya hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya amad-e-dost ki naved ku-e-vafa men aam thi main ne bhi ik charaghh sa dil sar-e-sham rakh diya shiddat-e-tishnagi men bhi ghhairat-e-mai-kashi rahi us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya us ne nazar nazar men hi aise bhale sukhan kahe main ne to us ke paanv men saara kalam rakh diya dekho ye mere khvab the dekho ye mere zakhm hain main ne to sab hisab-e-jan bar-sar-e-am rakh diya ab ke bahar ne bhi kiin aisi shararten ki bas kabk-e-dari ki chaal men tera khiram rakh diya jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha us ne to saare shahr ko kar ke ghhulam rakh diya aur 'faraz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya aamad-e-dost ki nawed ku-e-wafa mein aam thi main ne bhi ek charagh sa dil sar-e-sham rakh diya shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya us ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe main ne to us ke panw mein sara kalam rakh diya dekho ye mere khwab the dekho ye mere zakhm hain main ne to sab hisab-e-jaan bar-sar-e-am rakh diya ab ke bahaar ne bhi kin aisi shararten ki bas kabk-e-dari ki chaal mein tera khiram rakh diya jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha us ne to sare shahr ko kar ke ghulam rakh diya aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

More from Ahmad Faraz

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

ajab junoon-e-masaafat men ghar se niklaa tha khabar nahin hai ki suraj kidhar se niklaa tha ye kaun phir se unhin raaston men chhod gaya abhii abhii to azaab-e-safar se niklaa tha ye teer dil men magar be-sabab nahin utara koi to harf lab-e-chaaragar se niklaa tha ye ab jo aag banaa shahar shahar faila hai yahii dhuaan mire deewar-o-dar se niklaa tha main raat toot ke roya to chain se soya ki dil ka zahar mirii chashm-e-tar se niklaa tha ye ab jo sar hain khameeda kulaah ki khaatir ye aib bhi to ham ahl-e-hunr se niklaa tha vo qais ab jise majnoon pukaarte hain faraaz tiri tarah koi deewaana ghar se niklaa tha

Ahmad Faraz

3 likes

KHaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete kya beet gaii ab ke faraaz ahl-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyun nahin dete

Ahmad Faraz

4 likes

ab aur kya kisi se maraasim badhaayein ham ye bhi bahut hai tujh ko agar bhool jaayen ham sehara-e-zindagi men koi doosra na tha sunte rahe hain aap hi apni sadaaein ham is zindagi men itni faraaghat kise naseeb itnaa na yaad aa ki tujhe bhool jaayen ham tu itni dil-zada to na thii ai shab-e-firaq aa tere raaste men sitaare lutaaein ham vo log ab kahaan hain jo kahte the kal faraaz he he khuda-na-karda tujhe bhi rulaayein ham

Ahmad Faraz

3 likes

is qadar musalsal theen shiddatein judaai ki aaj pahli baar us se main ne be-vafaaii ki warna ab talak yuñ tha khwahishon ki baarish men ya to toot kar roya ya ghazal-saraai ki taj diya tha kal jin ko ham ne teri chaahat men aaj un se majbooran taaza aashnaai ki ho chala tha jab mujh ko ikhtilaaf apne se tu ne kis ghadi zalim meri ham-navaai ki tark kar chuke qaasid koo-e-naa-muraadaan ko kaun ab khabar laave shehr-e-aashnaai ki tanj o ta'na o tohmat sab hunar hain naaseh ke aap se koi pooche ham ne kya buraai ki phir qafas men shor utha qaaidiyon ka aur sayyaad dekhna uda dega phir khabar rihaai ki dukh hua jab us dar par kal faraaz ko dekha laakh aib the us men khoo na thii gadaai ki

Ahmad Faraz

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.