ghazalKuch Alfaaz

us shaam vo rukhsat ka saman yaad rahega vo shahr vo kucha vo makan yaad rahega vo tiis ki ubhri thi idhar yaad rahegi vo dard ki uttha tha yahan yaad rahega ham shauq ke shole ki lapak bhuul bhi jaaen vo sham-e-fasurda ka dhuan yaad rahega haan bazm-e-shabana men hama-shauq jo us din ham the tiri janib nigaran yaad rahega kuchh 'mir' ke abyat the kuchh 'faiz' ke misre ik dard ka tha jin men bayan yaad rahega ankhon men sulagti hui vahshat ke jilau men vo hairat o hasrat ka jahan yaad rahega jan-bakhsh si us barg-e-gul-e-tar ki taravat vo lams-e-aziz-e-do-jahan yaad rahega ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge tu yaad rahega hamen haan yaad rahega us sham wo rukhsat ka saman yaad rahega wo shahr wo kucha wo makan yaad rahega wo tis ki ubhri thi idhar yaad rahegi wo dard ki uttha tha yahan yaad rahega hum shauq ke shole ki lapak bhul bhi jaen wo sham-e-fasurda ka dhuan yaad rahega han bazm-e-shabana mein hama-shauq jo us din hum the teri jaanib nigaran yaad rahega kuchh 'mir' ke abyat the kuchh 'faiz' ke misre ek dard ka tha jin mein bayan yaad rahega aankhon mein sulagti hui wahshat ke jilau mein wo hairat o hasrat ka jahan yaad rahega jaan-bakhsh si us barg-e-gul-e-tar ki tarawat wo lams-e-aziz-e-do-jahan yaad rahega hum bhul sake hain na tujhe bhul sakenge tu yaad rahega hamein han yaad rahega

Related Ghazal

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Ibn۔e۔Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka subh ka hona doobhar kar den rastaa rok sitaaron ka jhoote sikko men bhi utha dete hain ye akshar saccha maal shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge 'aashiq log tum se to itnaa ho saka hai poochho haal bechaaron ka jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usii ki khoj rahi yuñ to hamaare shahar men akshar mela laga nigaaron ka ek zaraa si baat thii jis ka charcha pahuncha gali gali ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka insha jee ab ajnabiyo'n men chain se baaki umr kate jin ki khaatir bastii chhodi naam na lo un pyaaron ka

Ibn E Insha

0 likes

apne hamraah jo aate ho idhar se pahle dasht padta hai miyaan ishq men ghar se pahle chal diye uth ke soo-e-shahr-e-wafa koo-e-habeeb pooch lena tha kisi khaak-basar se pahle ishq pahle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha itne tadpe hain na ghabraaye na tarse pahle jee bahalta hi nahin ab koi sa'at koi pal raat dhalti hi nahin chaar pahar se pahle ham kisi dar pe na thitke na kahii dastak dii saikron dar the mirii jaañ tire dar se pahle chaand se aankh mili jee ka ujaala jaaga ham ko sau baar hui subh sehar se pahle

Ibn E Insha

0 likes

raat ke KHvaab sunaayein kis ko raat ke KHvaab suhaane the dhundle dhundle chehre the par sab jaane-pahchaane the zid dii wahshi allahad chanchal meethe log raseele log hont un ke ghazalon ke misre aankhoñ men afsaane the vehshat ka unwaan hamaari un men se jo naar banii dekhenge to log kaheinge insha'-ji deewane the ye ladki to in galiyon men roz hi ghooma karti thii is se un ko milnaa tha to is ke laakh bahaane the ham ko saari raat jagaaya jalte bujhte taaron ne ham kyun un ke dar par utre kitne aur thikaane the

Ibn E Insha

2 likes

ham un se agar mil baithe hain kya dosh hamaara hota hai kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai katne lagin raatein aankhoñ men dekha nahin palkon par akshar ya shaam-e-ghareebaan ka jugnoo ya subh ka taara hota hai ham dil ko li.e har des phire is jins ke gaahak mil na sake ai banjaaro ham log chale ham ko to khasaara hota hai daftar se uthe kaife men ga.e kuchh she'r kahe kuchh coffee pee poochho jo ma'aash ka insha'-ji yuñ apna guzaara hota hai

Ibn E Insha

0 likes

jog bijog ki baatein jhoothi sab jee ka bahaana ho phir bhi ham se jaate jaate ek ghazal sun jaana ho saari duniya akl ki bairi kaun yahaan par sayaana ho naahak naam dharen sab ham ko deewaana deewaana ho tum ne to ik reet banaa li sun lena sharmaana ho sab ka ek na ek thikaana apna kaun thikaana ho nagri nagri laakhon dwaare har dwaare par laakh sukhi lekin jab ham bhool chuke hain daaman ka phailaana ho tere ye kya jee men aayi kheench liye sharma kar hont ham ko zahar pilaane waali amrit bhi pilwaana ho ham bhi jhoothe tum bhi jhoothe ek isee ka saccha naam jis se deepak jalnaa seekha parwaana mar jaana ho seedhe man ko aan dabochhe meethi baatein sundar log meer nazeer kabeer aur insha sab ka ek gharaana ho

Ibn E Insha

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn۔e۔Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn۔e۔Insha's ghazal.