us shaam vo ruksat ka samaan yaad rahega vo shahar vo koocha vo makaan yaad rahega vo tees ki ubhri thii idhar yaad rahegi vo dard ki utha tha yahaañ yaad rahega ham shauq ke shole ki lapak bhool bhi jaayen vo sham-e-fasurda ka dhuaan yaad rahega haan bazm-e-shabaana men hama-shauq jo us din ham the tiri jaanib nigaraan yaad rahega kuchh meer ke abyaat the kuchh faiz ke misre ik dard ka tha jin men bayaañ yaad rahega aankhoñ men sulagti hui vehshat ke jilau men vo hairat o hasrat ka jahaan yaad rahega jaan-bakhsh si us barg-e-gul-e-tar ki taraawat vo lams-e-azeez-e-do-jahaan yaad rahega ham bhool sake hain na tujhe bhool sakenge tu yaad rahega ha men haan yaad rahega
Related Ghazal
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
More from Ibn E Insha
apne hamraah jo aate ho idhar se pahle dasht padta hai miyaan ishq men ghar se pahle chal diye uth ke soo-e-shahr-e-wafa koo-e-habeeb pooch lena tha kisi khaak-basar se pahle ishq pahle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha itne tadpe hain na ghabraaye na tarse pahle jee bahalta hi nahin ab koi sa'at koi pal raat dhalti hi nahin chaar pahar se pahle ham kisi dar pe na thitke na kahii dastak dii saikron dar the mirii jaañ tire dar se pahle chaand se aankh mili jee ka ujaala jaaga ham ko sau baar hui subh sehar se pahle
Ibn E Insha
0 likes
aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka subh ka hona doobhar kar den rastaa rok sitaaron ka jhoote sikko men bhi utha dete hain ye akshar saccha maal shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge 'aashiq log tum se to itnaa ho saka hai poochho haal bechaaron ka jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usii ki khoj rahi yuñ to hamaare shahar men akshar mela laga nigaaron ka ek zaraa si baat thii jis ka charcha pahuncha gali gali ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka insha jee ab ajnabiyo'n men chain se baaki umr kate jin ki khaatir bastii chhodi naam na lo un pyaaron ka
Ibn E Insha
0 likes
sunte hain phir chhup chhup un ke ghar men aate jaate ho insha sahab naahak jee ko vehshat men uljhaate ho dil ki baat chhupani mushkil lekin khoob chhupaate ho ban men daana shahar ke andar deewane kahlaate ho bekal bekal rahte ho par mehfil ke aadaab ke saath aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho peet men aise laakh jatan hain lekin ik din sab naakaam aap jahaan men rusva hoge vaaz ha men farmaate ho ham se naam junoon ka qaaim ham se dasht ki aabaa dii ham se dard ka shikwa karte ham ko zakham dikhaate ho
Ibn E Insha
0 likes
ham un se agar mil baithe hain kya dosh hamaara hota hai kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai katne lagin raatein aankhoñ men dekha nahin palkon par akshar ya shaam-e-ghareebaan ka jugnoo ya subh ka taara hota hai ham dil ko li.e har des phire is jins ke gaahak mil na sake ai banjaaro ham log chale ham ko to khasaara hota hai daftar se uthe kaife men ga.e kuchh she'r kahe kuchh coffee pee poochho jo ma'aash ka insha'-ji yuñ apna guzaara hota hai
Ibn E Insha
0 likes
kal chaudahveen ki raat thii shab bhar raha charcha tira kuchh ne kaha ye chaand hai kuchh ne kaha chehra tira ham bhi wahin maujood the ham se bhi sab poocha ki.e ham hañs diye ham chup rahe manzoor tha parda tira is shahar men kis se milen ham se to chhootiin mahfilein har shaKHs teraa naam le har shaKHs deewaana tira kooche ko tere chhod kar jogi hi ban jaayen magar jungle tire parbat tire bastii tiri sehra tira ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi uftaadagi ehsaan hai kya kya tira ai husn-e-be-parwa tira do ashk jaane kis li.e palkon pe aa kar tik ga.e altaaf ki baarish tiri ikraam ka dariyaa tira ai be-daregh o be-amaan ham ne kabhi ki hai fugaan ham ko tiri vehshat sahi ham ko sahi sauda tira ham par ye saKHtii ki nazar ham hain faqeer-e-rahguzar rastaa kabhi roka tira daaman kabhi thaama tira haan haan tiri soorat haseen lekin tu aisa bhi nahin ik shaKHs ke ashaar se shohra hua kya kya tira bedard sunni ho to chal kahtaa hai kya achchhii ghazal aashiq tira rusva tira shaair tira insha tira
Ibn E Insha
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ibn E Insha.
Similar Moods
More moods that pair well with Ibn E Insha's ghazal.







