ghazalKuch Alfaaz

waisa kahaan hai ham se jaisa ki aage tha tu auron se mil ke pyaare kuchh aur ho gaya tu chaalein tamaam be-dhab baatein fareb hain sab haasil ki ai shukr lab ab vo nahin raha tu jaate nahin uthaaye ye shor har sehar ke ya ab chaman men bulbul ham hi rahenge ya tu aa abr ek do dam aapas men rakhen sohbat kudhne ko hooñ main aandhi rone ko hai bala tu taqreeb par bhi to tu pahluu tahee kare hai das baar eed aayi kab kab gale mila tu tere dehan se us ko nisbat ho kuchh to kahiye gul go kare hai da'wa khaatir men kuchh na la tu dil kyoonke raast aave daava-e-aashnaai dariya-e-husn vo mah-e-kashti-b-kaf gada tu har fard yaas abhii se daftar hai tujh gale ka hai qahr jab ki hogaa harfon se aashna tu aalam hai shauq-e-kushta-e-khilkat hai teri rafta jaanon ki aarzoo tu aankhoñ ka muddaa tu munh kariye jis taraf ko so hi tiri taraf hai par kuchh nahin hai paida kidhar hai e KHuda tu aati b-khud nahin hai baad-e-bahaar ab tak do gaam tha chaman men tak naaz se chala tu kam meri aur aanaa kam aankh ka mil aanaa karne se ye adaayein hai muddaa ki ja tu guft-o-shunood akshar mere tire rahe hai zalim mua'af rakhiyo meraa kaha-suna to kah saanjh ke mooe ko ai meer roein kab tak jaise charaag-e-muflis ik-dam men jal bujha to

Related Ghazal

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

ashk-e-naadaan se kaho baad men pachhtaayenge aap girkar meri aankhoñ se kidhar jaayenge apne lafzon ko takallum se giraakar jaana apne lehje ki thakaavat men bikhar jaayenge ik teraa ghar tha meri had-e-musaafit lekin ab ye socha hai ki ham had se guzar jaayenge apne afkaar jala daalenge kaaghaz kaaghaz soch mar jaayegi to ham aap bhi mar jaayenge isse pahle ki judaai ki khabar tumse mile hamne socha hai ki ham tumse bichhad jaayenge

Khalil Ur Rehman Qamar

50 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

More from Meer Taqi Meer

kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki

Meer Taqi Meer

0 likes

mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa

Meer Taqi Meer

0 likes

mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ

Meer Taqi Meer

0 likes

ab meer'-ji to achchhe zindeeq hi ban baithe peshaani pe de qashka zunnar pahan baithe aazurda dil-e-ulfat ham chupke hi behtar hain sab ro uthegi majlis jo kar ke sukhun baithe uryaan phiren kab tak ai kaash kahii aa kar ta gard biyaabaan ki baala-e-badan baithe paikaan-e-khadang us ka yuñ seene ke udhar hai jon maar-e-siyah koi kaadhe hue fan baithe juz khat ke khayal us ke kuchh kaam nahin ham ko sabzi pi.e ham akshar rahte hain magan baithe shamsher-e-sitam us ki ab go ka chale har-dam shoreeda-sar apne se ham baandh kafan baithe bas ho to idhar-udhar yuñ firne na den tujh ko naachaar tire ham ye dekhen hain chalan baithe

Meer Taqi Meer

0 likes

yaaro mujhe muaaf rakho main nashe men hooñ ab do to jaam khaali hi do main nashe men hooñ ek ek qurt daur men yuñ hi mujhe bhi do jaam-e-sharaab pur na karo main nashe men hooñ masti se darhami hai mirii guftugoo ke beech jo chaaho tum bhi mujh ko kaho main nashe men hooñ ya haathon haath lo mujhe maanind-e-jaam-e-may ya thodii door saath chalo main nashe men hooñ maazoor hooñ jo paanv mira be-tarah pade tum sargiraan to mujh se na ho main nashe men hooñ bhaagi namaaz-e-jumaa to jaati nahin hai kuchh chaltaa hooñ main bhi tuk to raho main nashe men hooñ nazuk-mizaj aap qayamat hain meer jee jun sheesha mere munh na lago main nashe men hooñ

Meer Taqi Meer

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Taqi Meer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.