ghazalKuch Alfaaz

vo firaq aur vo visaal kahaan vo shab-o-roz o maah-o-saal kahaan fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise zauq-e-nazzaara-e-jamaal kahaan dil to dil vo dimaagh bhi na raha shor-e-sauda-e-khatt-o-khaal kahaan thii vo ik shaKHs ke tasavvur se ab vo raanaai-e-khayaal kahaan aisa aasaan nahin lahu rona dil men taqat jigar men haal kahaan ham se chhoota qimaar-khaana-e-ishq waan jo jaaven girah men maal kahaan fikr-e-duniya men sar khapata hooñ main kahaan aur ye vabaal kahaan muzmahil ho ga.e qaawa ghalib vo anaasir men e'tidaal kahaan bose men vo muzaaiqa na kare par mujhe taqat-e-sawaal kahaan falak-e-sifla be-muhaaba hai is sitam-gar ko infiyaal kahaan

Related Ghazal

ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere

Umair Najmi

59 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

ham kahaan hain ye pata lo tum bhi baat aadhi to sambhalo tum bhi dil lagaaya hi nahin tha tum ne dil-lagi ki thii mazaa lo tum bhi ham ko aankhoñ men na aanso lekin KHud ko KHud par to saja lo tum bhi jism ki neend men sone waalon rooh men KHvaab to paalo tum bhi

Kumar Vishwas

28 likes

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom haath utha li.e sabne aur dua nahin maaloom mausamon ke chehron se zardiyaan nahin jaati phool kyun nahin lagte khush-numa nahin maaloom rahbaro'n ke tevar bhi rahzano se lagte hain kab kahaan pe loot jaa.e qaafila nahin maaloom sarv to gaii rut men qaamaten ganwa baithe qumariyaan hui kaise be-sada nahin maaloom aaj sabko daava hai apni apni chaahat ka kaun kis se hota hai kal juda nahin maaloom manzaron kii tabdeeli bas nazar men rahtii hai ham bhi hote jaate hain kya se kya nahin maaloom ham faraaz sheron se dil ke zaKHm bharte hain kya karen maseeha ko jab davaa nahin maaloom

Ahmad Faraz

46 likes

mere hujre men nahin aur kahii par rakh do aasmaañ laaye ho le aao zameen par rakh do ab kahaan dhooñdhne jaaoge hamaare qaateel aap to qatl ka ilzaam humeen par rakh do main ne jis taak pe kuchh toote diye rakhe hain chaand taaron ko bhi le ja ke wahin par rakh do

Rahat Indori

28 likes

More from Mirza Ghalib

vo mirii cheen-e-jabeen se gham-e-pinhan samjha raaz-e-maktoob b-be-rabti-e-unwan samjha yak alif besh nahin saiqal-e-aaina hanooz chaak karta hooñ main jab se ki garebaan samjha sharh-e-asbaab-e-giraftaari-e-khaatir mat pooch is qadar tang hua dil ki main zindaan samjha bad-gumaani ne na chaaha use sargarm-e-khiraam rukh pe har qatra arq deeda-e-hairaan samjha izz se apne ye jaana ki vo bad-khoo hogaa nabz-e-khas se tapish-e-shola-e-sozaan samjha safar-e-ishq men ki zof ne rahat-talbi har qadam saa.e ko main apne shabistaan samjha tha gurezaan miza-e-yaar se dil ta dam-e-marg daf-e-paikaan-e-qaza is qadar aasaan samjha dil diya jaan ke kyun us ko wafadar asad ghalti ki ki jo kaafir ko musalmaan samjha ham ne wahshat-kada-e-bazm-e-jahaan men jun shama' sho'la-e-ishq ko apna sar-o-saamaan samjha

Mirza Ghalib

1 likes

tum apne shikwe ki baatein na khod khod ke poochho hazar karo mire dil se ki is men aag dabii hai dila ye dard-o-alam bhi to mughtanim hai ki aaKHirna giryaa-e-sehri hai na aah-e-neem-shabi hai nazar b-naqs-e-gadaayaan kamaal-e-be-adabi hai ki khaar-e-khushk ko bhi daava-e-chaman-nasbi hai hua visaal se shauq-e-dil-e-harees ziyaada lab-e-qadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labi hai khusa vo dil ki saraapa tilism-e-be-khabri ho junoon o yaas o alam rizq-e-mudda-talbi hai chaman men kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamaasha ki berg barg-e-saman sheesha reza-e-halbi hai imaam-e-zaahir-o-baatin ameer-e-soorat-o-maani ali wali asadullah jaansheen-e-nabi hai

Mirza Ghalib

1 likes

koh ke hon baar-e-khaatir gar sadaa ho jaaie be-takalluf ai sharaar-e-jasta kya ho jaaie beza-aasa nang-e-baal-o-par hai ye kunj-e-qafas az-sar-e-nau zindagi ho gar rihaa ho jaaie wus'at-e-mashrab niyaaz-e-kulfat-e-vahshat asad yak-bayaabaan saaya-e-baal-e-huma ho jaaie

Mirza Ghalib

0 likes

zikr meraa b-badi bhi use manzoor nahin gair ki baat bigad jaa.e to kuchh door nahin vaada-e-sair-e-gulistaan hai khusa taale-e-shauq muzda-e-qatl muqaddar hai jo mazkoor nahin shaahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par ha men manzoor nahin qatra apna bhi haqeeqat men hai dariyaa lekin ham ko taqleed-e-tunuk-zarfi-e-mansoor nahin hasrat ai zauq-e-kharaabi ki vo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki goon tan-e-ranjur nahin main jo kahtaa hooñ ki ham lenge qayamat men tumhein kis ra'unat se vo kahte hain ki ham hoor nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaaful men kisi rang se ma'zoor nahin saaf durdi-kash-e-paimaana-e-jam hain ham log waaye vo baada ki afshurda-e-angoor nahin hooñ zuhoori ke muqaabil men khifaai ghalib mere daave pe ye hujjat hai ki mashhoor nahin

Mirza Ghalib

2 likes

havas ko hai nashaat-e-kaar kya kyana ho marna to jeene ka mazaa kya tajaahul-peshagi se muddaa kya kahaan tak ai saraapa naaz kya kya nawaazish-ha-e-beja dekhta hooñ shikaayat-ha-e-rangeen ka gilaa kya nigaah-e-be-mahaaba chahta hooñ taghaful-ha-e-tamkeen-aazma kya farogh-e-shola-e-khas ya-nafas hai havas ko paas-e-naamoos-e-wafa kya nafs mauj-e-muheet-e-be-khu dii hai taghaful-ha-e-saaki ka gilaa kya dimaag-e-itr-e-pairaahan nahin hai gh'am-e-aawaargi-ha-e-saba kya dil-e-har-qatra hai saaz-e-anl-bahar ham us ke hain hamaara poochna kya muhaaba kya hai main zaamin idhar dekh shaheedaan-e-nigah ka khoon-bahaa kya sun ai ghaarat-gar-e-jins-e-wafa sun shikast-e-sheesha-e-dil ki sadaa kya kiya kis ne jigar-daari ka daava shakeeb-e-khaatir-e-aashiq bhala kya ye qaateel waada-e-sabr-aazma kyun ye kaafir fitna-e-taaqat-ruba kya bala-e-jaan hai ghalib us ki har baat ibaarat kya ishaarat kya ada kya

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.