ghazalKuch Alfaaz

vo laut aayi hai office se hijr khatm hua hamaare gaal pe ik kis se hijr khatm hua phir ek aag lagii jis men vasl ki thii chamak khayaal-e-yaar ki maachis se hijr khatm hua tha bazm-e-duniya men mushkil hamaara milnaa so nikal ke aa ga.e majlis se hijr khatm hua bhalii sharaab hai ye vasl naam hai us ka bas ek jaam piya jis se hijr khatm hua tumhaare hijr men sau vasl se guzar kar bhi ye sochta hooñ kahaan kis se hijr khatm hua

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

More from Swapnil Tiwari

neend se aa kar baitha hai KHvaab mire ghar baitha hai aks mira aaiine men le kar patthar baitha hai palken jhuki hain sehra ki jis pe samundar baitha hai ek bagoola yaadon ka kha kar chakkar baitha hai us ki neendon par ik KHvaab titli ban kar baitha hai raat ki table buk kar ke chaand dinner par baitha hai andhiyaara khaamoshi ki odh ke chadar baitha hai aatish dhoop gaii kab ki ghar men kyunkar baitha hai

Swapnil Tiwari

2 likes

yoon main dil ka khayal rakhta hoon is men teraa khayal rakhta hoon teri marzi ka bhi khayal nahin teraa itnaa khayal rakhta hoon aur mar jaata hai vahii beemaar jiska achha khayal rakhta hoon tujh ko phir bhi KHaraab hona hai phir bhi teraa khayal rakhta hoon

Swapnil Tiwari

3 likes

mazaak sahna nahin hai hañsi nahin karne udaas rahne men koi kamii nahin karne ye zindagi jo pukaare to shak sa hota hai kahii abhii to mujhe KHud-kushi nahin karne gunaah-e-ishq rihaa hote hi karenge phir gawaah banna nahin mukhbirii nahin karne bade hi ghusse men ye kah ke us ne vasl kiya mujhe to tum se koi baat hi nahin karne

Swapnil Tiwari

5 likes

ye dhoop giri hai jo mire lawn men aa kar le jaayegi jal dii hi ise shaam utha kar seene men chhupa shaam ki aankhoñ se bacha kar ik lehar ko ham laaye samundar se utha kar haan vaqt se pahle hi uda degi ise subh rakkhi na gaii chaand se gar shab ye daba kar ik subh bhalii si mire nazdeek se guzri main baitha raha hijr ki ik raat bichha kar phir subh se hi aaj alam dekh rahe hain yaadon ki koi film mire dil men chala kar phir chaai men biscut ki tarah bhooki si ye shaam kha jaayegi suraj ko samundar men duba kar

Swapnil Tiwari

0 likes

ye jo musalsal hanste ho kyuuñ hanste ho tum yuñ bhi KHush lagte ho kyuuñ hanste ho chat se neeche dekh ke kyuuñ hote ho KHush jab tum rassi dekhte ho kyuuñ hanste ho koi jo pooche haal to kahte ho achha hooñ gar tum sachmuch achchhe ho kyuuñ hanste ho

Swapnil Tiwari

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Swapnil Tiwari.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Swapnil Tiwari's ghazal.