ghazalKuch Alfaaz

ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota ya mira taaj gadayana banaya hota apna divana banaya mujhe hota tu ne kyuun khirad-mand banaya na banaya hota khaksari ke liye garche banaya tha mujhe kaash khak-e-dar-e-janana banaya hota nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko umr ka tang na paimana banaya hota dil-e-sad-chak banaya to bala se lekin zulf-e-mushkin ka tire shana banaya hota sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe to charaghh-e-dar-e-mai-khana banaya hota shola-e-husn chaman men na dikhaya us ne varna bulbul ko bhi parvana banaya hota roz mamura-e-duniya men kharabi hai 'zafar' aisi basti ko to virana banaya hota ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota ya mera taj gadayana banaya hota apna diwana banaya mujhe hota tu ne kyun khirad-mand banaya na banaya hota khaksari ke liye garche banaya tha mujhe kash khak-e-dar-e-jaanana banaya hota nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko umr ka tang na paimana banaya hota dil-e-sad-chaak banaya to bala se lekin zulf-e-mushkin ka tere shana banaya hota sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe to charagh-e-dar-e-mai-khana banaya hota shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne warna bulbul ko bhi parwana banaya hota roz mamura-e-duniya mein kharabi hai 'zafar' aisi basti ko to virana banaya hota

Related Ghazal

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

More from Bahadur Shah Zafar

ham ne tiri khaatir se dil-e-zaar bhi chhodaa tu bhi na hua yaar aur ik yaar bhi chhodaa kya hogaa rafoogar se rafu meraa garebaan ai dast-e-junoon tu ne nahin taar bhi chhodaa deen de ke gaya kufr ke bhi kaam se ''aashiq tasbeeh ke saath us ne to zunnar bhi chhodaa goshe men tiri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khaana-e-khummaar bhi chhodaa is se hai ghareebon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo maara to na zardaar bhi chhodaa tedhe na ho ham se rakho ikhlaas to seedha tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhi chhodaa kya chhodein aseeraan-e-mohabbat ko vo jis ne sadqe men na ik murgh-e-giriftaar bhi chhodaa pahunchee mirii ruswaai ki kyunkar khabar us kous shokh ne to dekhna akhbaar bhi chhodaa karta tha jo yaa aane ka jhoota kabhi iqaar muddat se zafar us ne vo iqaar bhi chhodaa

Bahadur Shah Zafar

0 likes

kyunkar na khaaksaar rahen ahl-e-keen se door dekho zameen falak se falak hai zameen se door parwaana wasl-e-sham'a pe deta hai apni jaañ kyunkar rahe dil us ke rukh-e-aatishi se door majmoo-e-wasl-wa-hijr jo naa men men hai raqam hai harf bhi kahii se mile aur kahii se door go teer-e-be-gumaan hai mire paas par abhii jaa.e nikal ke seena-e-charkh-e-bareen se door vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas lekin hamesha bhaagte ho tum humeen se door hairaan hooñ ki us ke muqaabil ho aaina jo pur-ghuroor khinchta hai maah-e-mubeen se door yaa tak adoo ka paas hai un ko ki bazm men vo baithe bhi hain to mire hum-nasheen se door manzoor ho jo deed tujhe dil ki aankh se pahunchen tiri nazar nigah-e-door-been se door duniya-e-doo ki de na mohabbat KHuda zafar insaan ko fenk de hai ye eimaan o deen se door

Bahadur Shah Zafar

1 likes

jigar ke tukde hue jal ke dil kebab hua ye ishq jaan ko mere koi azaab hua kiya jo qatl mujhe tum ne khoob kaam kiya ki main azaab se chhoota tumhein savaab hua kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida garz ki roz naya ik mujhe khitaab hua piyuun na rashk se khun kyunki dam-b-dam apna ki saath gair ke vo aaj ham-sharaab hua tumhaare lab ke lab-e-jaam ne li.e bose lab apne kaata kiya main na kaamyaab hua gali gali tiri khaatir fira ba-chashm-e-pur-aab laga ke tujh se dil apna bahut KHaraab hua tiri gali men bahaaye phire hai sail-e-sarishk hamaara kaasa-e-sar kya hua habaab hua jawaab-e-khat ke na likhne se ye hua maaloom ki aaj se ha men ai nama-bar javaab hua mangaaee thii tiri tasveer dil ki taskin ko mujhe to dekhte hi aur iztiraab hua sitam tumhaare bahut aur din hisaab ka ek mujhe hai soch ye hi kis tarah hisaab hua zafar badal ke radif aur tu ghazal vo suna ki jis ka tujh se har ik she'r intikhaab hua

Bahadur Shah Zafar

1 likes

itnaa na apne jaa men se baahar nikal ke chal duniya hai chal-chalaav ka rastaa sambhal ke chal auron ke bal pe bal na kar itnaa na chal nikal bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal insaan ko kal ka putla banaya hai us ne aap aur aap hi vo kahtaa hai putle ko kal ke chal phir aañkhen bhi to deen hain ki rakh dekh kar qadam kahtaa hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal kya chal sakega ham se ki pahchaante hain ham tu laakh apni chaal ko zalim badal ke chal hai shama sar ke bal jo mohabbat men garm ho parwaana apne dil se ye kahtaa hai jal ke chal bulbul ke hosh nikhat-e-gul ki tarah uda gulshan men mere saath zaraa itr mal ke chal gar qasd soo-e-dil hai tira ai nigah-e-yaar do-chaar teer paik se aage ajal ke chal jo imtihaan-e-tabah kare apna ai zafar to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal

Bahadur Shah Zafar

1 likes

bharii hai dil men jo hasrat kahooñ to kis se kahooñ sune hai kaun museebat kahooñ to kis se kahooñ jo tu ho saaf to kuchh main bhi saaf tujh se kahooñ tere hai dil men kudoorat kahooñ to kis se kahooñ na kohkan hai na majnoon ki the mere hamdard main apna dard-e-mohabbat kahooñ to kis se kahooñ dil us ko aap diya aap hi pashemaan hooñ ki sach hai apni nadaamat kahooñ to kis se kahooñ kahooñ main jis se use hove sunte hi vehshat phir apna qissa-e-vahshat kahooñ to kis se kahooñ raha hai tu hi to gham-khwaar ai dil-e-ghamgeen tere siva gham-e-furqat kahooñ to kis se kahooñ jo dost ho to kahooñ tujh se dosti kii baat tujhe to mujh se adavat kahooñ to kis se kahooñ na mujh ko kehne kii taqat kahooñ to kya ahvaalna us ko sunne kii fursat kahooñ to kis se kahooñ kisi ko dekhta itnaa nahin haqeeqat men zafr main apni haqeeqat kahooñ to kis se kahooñ

Bahadur Shah Zafar

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bahadur Shah Zafar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bahadur Shah Zafar's ghazal.