ye majma tumko sunna chahta hai wagarana shor kis ka mas'ala hai mujhe ab aur kitna rona hogaa tira kitna baqaya rah gaya hai khushi mehsoos karne waali shay thii parindon ko uda kar kya mila hai dariche band hote ja rahe hain tamasha thanda padta ja raha hai tumheen mazmoon baandho shayari men apun lahjaa banaana maangata hai ye kaase jald bharne lag ga.e hain bhikaari baddua dene laga hai tumhaari ek din ki soch hai aur hamaara umr-bhar ka tajruba hai
Related Ghazal
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham
Jaun Elia
67 likes
More from Zia Mazkoor
shah se chupke qaidee ne shehzaa dii ko paigaam likha jang se bhaagne waalon men shehzaade ka bhi naam likha dooradraaz se aane waale khat meri hamsaahi ke the ik din usne himmat karke apna asli naam likha ham dono ne apne apne deen pe kaayam rahna tha ghar ki ik deewaar pe allah ik deewaar pe raam likha ek mohabbat khatm hui to doosri ki taiyaari ki nayi kahaanii ke aagaaz men pahli ka anjaam likha
Zia Mazkoor
17 likes
phone to door vahaañ khat bhi nahin pahunchege ab ke ye log tumhein aisi jagah bhejenge zindagi dekh chuke tujh ko bade parde par aaj ke ba'd koi film nahin dekhenge mas'ala ye hai main dushman ke qareen pahunchunga aur kabootar mirii talwaar pe aa baithege ham ko ik baar kinaaron se nikal jaane do phir to sailaab ke paani ki tarah faileinge tu vo dariyaa hai agar jal dii nahin ki tu ne KHud samundar tujhe milne ke li.e aayenge sega-e-raaz men rakkhenge nahin ishq tira ham tire naam se KHushboo ki dukaaan kholenge
Zia Mazkoor
13 likes
ye baat soch ke tere hue hain ham dono ke tujh ko le ke bahut lad chuke hain ham dono ye sarhade to abhii kal banii hai mere dost hazaaron saal ikatthe rahe hain ham dono koi to tha vo jo ab haafeze ka hissa nahin vo baat kya thii jo bhule hue hain ham dono tum aisi baat kisi ko nahin bataaungi mujhe laga tha bade ho chuke hain ham dono hazaaron jode gulaabon men chhup ke baithe hain ye aur baat ke pakde ga.e hain ham dono
Zia Mazkoor
10 likes
hamaare saath koi mas'ala furaat ka hai wagarana ilm use apni mushkilaat ka hai mere hisaab se maazoori husn hai meraa agar ye aib hai to bhi KHuda ke haath ka hai ik aadhe kaam ke haq men to khair main bhi hoon tumhaare paas to daftar shifaarishaat ka hai hamaari baat ka jitna wasi'a pahluu hai zubaan pe laane men nuksaan kaaynaat ka hai ham uske hone na hone pe kitna lad rahe hain kisi ke vaaste yah khel nafsiyaat ka hai
Zia Mazkoor
8 likes
kis tarah eimaan laaun khwaab ki taabeer par chipkali chadhte hue dekhi hai us tasveer par usne aisi kothri men qaid rakha tha ha men raushni aankhoñ pe padtii thii ya phir zanjeer par maayein beton se khafa hain aur bete maon se ishq ghalib aa gaya hai doodh ki taaseer par main unhin aabaadiyon men jee raha hota kahii tum agar hanste nahin us din meri taqdeer par
Zia Mazkoor
19 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zia Mazkoor.
Similar Moods
More moods that pair well with Zia Mazkoor's ghazal.







