zakhm jhele daaghh bhi khaae bahut dil laga kar ham to pachhtae bahut jab na tab jagah se tum jaaya kiye ham to apni or se aae bahut dair se su-e-haram aaya na tuk ham mizaj apna idhar laae bahut phuul gul shams o qamar saare hi the par hamen in men tumhin bhaae bahut gar buka is shor se shab ko hai to rovenge sone ko ham-sae bahut vo jo nikla subh jaise aftab rashk se gul phuul murjhae bahut 'mir' se puchha jo main ashiq ho tum ho ke kuchh chupke se sharmae bahut zakhm jhele dagh bhi khae bahut dil laga kar hum to pachhtae bahut jab na tab jagah se tum jaya kiye hum to apni or se aae bahut dair se su-e-haram aaya na tuk hum mizaj apna idhar lae bahut phul gul shams o qamar sare hi the par hamein in mein tumhin bhae bahut gar buka is shor se shab ko hai to rowenge sone ko ham-sae bahut wo jo nikla subh jaise aaftab rashk se gul phul murjhae bahut 'mir' se puchha jo main aashiq ho tum ho ke kuchh chupke se sharmae bahut
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
More from Meer Taqi Meer
kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki
Meer Taqi Meer
0 likes
mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa
Meer Taqi Meer
0 likes
mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
kya mire aane pe tu ai but-e-maghrur gaya kabhi us raah se niklaa to tujhe ghur gaya le gaya subh ke nazdeek mujhe KHvaab ai waaye aankh us vaqt khulii qaafila jab door gaya gor se naale nahin uthte to nay ugati hai jee gaya par na hamaara sar pur-shor gaya chashm-e-khun-basta se kal raat lahu phir tapka ham ne jaana tha ki bas ab to ye naasoor gaya na-tawan ham hain ki hain KHaak gali ki us ki ab to be-taaqati se dil ka bhi maqdoor gaya le kahii munh pe naqaab apne ki ai ghairat-e-subh shama' ke chahra-e-rakhshaan se to ab noor gaya naala-e-meer nahin raat se sunte ham log kya tire kooche se ai shokh vo ranjoor gaya
Meer Taqi Meer
0 likes
khat likh ke koi saada na us ko malool ho ham to hooñ bad-gumaan jo qaasid-e-rasool ho chaahoon to bhar ke kaulee utha luun abhii tumhein kaise hi bhari ho mire aage to phool ho surma jo noor bakshe hai aankhoñ ko khalk ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi KHaak dhool ho jaaven nisaar hone ko ham kis bisaat par ik neem jaañ rakhen hain so vo jab qubool ho ham in dinon men lag nahin padte hain subh-o-shaam warna dua karen to jo chahein husool ho dil le ke launde dilli ke kab ka pacha ga.e ab un se khaai pee hui shay kiya vasool ho naakaam is li.e ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to meer saahib-o-qibla ajuul ho
Meer Taqi Meer
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







