zakhmon ke nae phuul khilane ke liye aa phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa masti liye ankhon men bikhere hue zulfen aa phir mujhe divana banane ke liye aa ab lutf isi men hai maza hai to isi men aa ai mire mahbub satane ke liye aa aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni dil bansuri teri hai bajane ke liye aa haan kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa maana ki mire ghar se adavat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagane ke liye aa pyare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa ashufta kahe hai koi divana kahe hai main kaun huun duniya ko batane ke liye aa kuchh roz se ham shahr men rusva na hue hain aa phir koi ilzam lagane ke liye aa ab ke jo vo aa jaae to 'ajiz' use le kar mahfil men ghhazal apni sunane ke liye aa zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa masti liye aankhon mein bikhere hue zulfen aa phir mujhe diwana banane ke liye aa ab lutf isi mein hai maza hai to isi mein aa ai mere mahbub satane ke liye aa aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni dil bansuri teri hai bajaane ke liye aa han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa mana ki mere ghar se adawat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagane ke liye aa pyare teri surat se bhi achchhi hai jo taswir main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa aashufta kahe hai koi diwana kahe hai main kaun hun duniya ko batane ke liye aa kuchh roz se hum shahr mein ruswa na hue hain aa phir koi ilzam lagane ke liye aa ab ke jo wo aa jae to 'ajiz' use le kar mahfil mein ghazal apni sunane ke liye aa
Related Ghazal
tumhaara kya hai tumhein sirf gyaan dena hai hamaari socho ha men imtihaan dena hai gulaab bhi hain gulaabon men khaar bhi hain bataa nishaani deni hai ya phir nishaan dena hai teraa sawaal meri jaan ka sawaal hai aur javaab dene se aasaan jaan dena hai unhonne apne mutaabiq saza suna dii hai ha men saza ke mutaabiq bayaan dena hai ye bezubaanon ki mehfil hai dost yaad rahe yahaañ KHamoshii ka matlab zubaan dena hai
Charagh Sharma
39 likes
vo paas kya zaraa sa muskuraa ke baith gaya main is mazaak ko dil se laga ke baith gaya jab us ki bazm men daar-o-rasan ki baat chali main jhat se uth gaya aur aage aa ke baith gaya darakht kaat ke jab thak gaya lakad-haara to ik darakht ke saa.e men ja ke baith gaya tumhaare dar se main kab uthna chahta tha magar ye meraa dil hai ki mujh ko utha ke baith gaya jo mere vaaste kursi lagaaya karta tha vo meri kursi se kursi laga ke baith gaya phir us ke baa'd kaii log uth ke jaane lage main uth ke jaane ka nuskha bataa ke baith gaya
Zubair Ali Tabish
40 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai
Ali Zaryoun
48 likes
aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin
Jawwad Sheikh
50 likes
More from Kaleem Aajiz
mujhe is ka koi gilaa nahin ki bahaar ne mujhe kya diya tiri aarzoo to nikaal dii tira hausla to badha diya go sitam ne tere har ik tarah mujhe na-umeed banaa diya ye mirii vafaa ka kamaal hai ki nibaah kar ke dikha diya koi bazm ho koi anjuman ye shi'aar apna qadeem hai jahaan raushni ki kamii mili wahin ik charaaghh jala diya tujhe ab bhi mere khuloos ka na yaqeen aa.e to kya karoon tire gesuon ko sanwaar kar tujhe aaina bhi dikha diya mirii shaay'ri men tire siva koi maajra hai na muddaa jo tiri nazar ka fasana tha vo mirii ghazal ne suna diya ye gareeb aziz'-e-be-watan ye ghubaar-e-khaatir-e-anjuman ye KHaraab jis ke li.e hua usii bevafaa ne bhula diya
Kaleem Aajiz
0 likes
dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka
Kaleem Aajiz
0 likes
shaane ka bahut khoon-e-jigar jaa.e hai pyaare tab zulf kahii taa-b-kamar jaa.e hai pyaare jis din koi gham mujh pe guzar jaa.e hai pyaare chehra tira us roz nikhar jaa.e hai pyaare ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa men tu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare rahne de jafaon ki kaddi dhoop men mujh ko saa.e men to har shaKHs thehar jaa.e hai pyaare vo baat zaraa si jise kahte hain gham-e-dil samjhaane men ik umr guzar jaa.e hai pyaare har-chand koi naam nahin meri ghazal men teri hi taraf sab ki nazar jaa.e pyaare
Kaleem Aajiz
0 likes
mirii shaayeri men na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa vahii dukh-bharon ki hikaayaten vahii dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi be-vafa ki nishaaniyaan yahii mire din ke rafeeq hain yahii mirii raat ki raaniyaan ye mirii zabaan pe ghazal nahin main suna raha hooñ kahaaniyaan ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan k abhii aañsuon ko sukha gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein k abhii dil ki naav dubo gaiin mire aañsuon ki ravaaniyaan abhii us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhii maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mira nichoda hua lahu abhii sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan
Kaleem Aajiz
0 likes
meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche
Kaleem Aajiz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaleem Aajiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.







